Nabi ï·º ne farmaya: jisne Ramzan ke roze imaan aur khalis niyat ke sath rakhe uske pichle gunah baksh diye jaynge.
(Sahih Bukhari 38)
Ye hadees ramzan ke rozo ki fazilat aur imaan ki wazahat karti hai. Is hadees me 3 important points bayan kiye gaye hai.
- Imaan: roza rakhne wale ko Allah ki wahdaniyat aur uske ahkam par kaamil yaqeen hona chahiye. Ye imaan zaruri hai ke Allah ne roze farz kiye hai aur rozo ke ajar ka wada farmaya hai.
- Khalis Niyat: niyat sirf Allah ki Raza aur uske Qurb ke liye ho, agar roza kisi duniavi fayde ya dikhawe ke liye rakha jaye to wo ajar ke liye kafi nahi hoga.
- Pichle Gunah Maaf: ye Basharat chhote gunaho ke liye hai. Bade gunaho ki maafi ke liye Tauba Zaruri hai.
Allah ï·» ne farmaya: aye imaan walo tum par roze farz kiye gaye hai, jaise tumse pehle logo par farz kiye gaye the, take tum Taqwa Ikhtiyar Karo.
(Surah Al-Baqarah 183)
Is ayat me wazeh kiya gaya hai ke roze ka maqsad Taqwa hasil karna hai, jo imaan aur niyat ki ikhlasiyat par mumkin hai.
Allah ï·» ne farmaya: beshak nekiyan buraiyon ko mita deti hai.
(Surah hud 114)
Ramzan ke roze imaan aur nek niyat ke sath rakhne se ye wada pura hota hai ke gunaho ki bakshish hogi.
Nabi ï·º ne farmaya: jub Ramzan ka mahina ata hai to asman ke tamam darwaze khol diye jate hai, jahannam ke darwaze band kar diye jate hai, Aur shaitan ko zanjiro se jakad diya jata hai.
(Sahih Bukhari 1899)
Is hadees se ye samajh ata hai ke Ramzan Allah ki rehmat, magfirat aur Nijaat ka mahina hai. Is mahine me Allah apne bando ke liye asaniya paida karta hai, Shayateen ka asar Kam kar deta hai aur apni rehmat ke darwaze khol deta hai.
NOTE:
Ye hadees hame yaad dilati hai ke Ramzan ke roze sirf Zahiri ibadat nahi balke imaan, Taqwa aur khalis niyat ke sath rakhne ki zarurat hai.
Allah ï·» Qur'an me Aur nabi ï·º hadees me baar-baar iski taqeed karte hai.
Agar hum in usoolo par amal kare to ye roze hame sirf gunaho ki maafi nahi, balke Allah ka Qurb aur Akhirat me Kamyabi bhi ata karne me Madadgaar honge.