Nabi ﷺ ne farmaya: ke tum mese koi shaks jub apne Islam ko umdah bana le (yani nifaq aur riya se paak karle) to har nek kaam ho wo karta hai uske badle 10 se lekar 700 guna tak nekiyan likhi jati hai, aur har bura kaam ho karta hai to wo utna hi likha jata hai jitna usne Kiya hai.
(Sahih Bukhari 42)
Ye hadees Allah ki rehmat, insaaf aur nek amal par mabni hai.
Allah ﷻ ne farmaya: jo koi ek neki lekar ayga usko usike 10 guna milenge.
(Surah an'aam 160)
Ye ayat Allah ki rehmat aur ajar dene ke usool ko bayan karti hai. Allah ﷻ nek amaal kar ajar sirf barabar nahi deta, balke usko 10 guna se ya usse bhi zyada barha deta hai. Ye system insan ko neki karne ke liye ubhaarta hai, aur batata hai ke Allah ka nizaam insaaf aur Inayat par mabni hai.
Allah insaaf ke sath-sath apni rehmat se ajar mazeed barha kar deta hai.
Nek amal karne wale ke liye ye ayat targib aur Basharat hai.
Allah ﷻ ne farmaya: Allah kisi par ek zarra barabar bhi zulm nahi karta, aur agar neki ho to uska ajar barha deta hai aur apne paas aur bada ajar ata karta hai.
(Surah nisa 40)
Ye ayat Allah ﷻ ke insaaf aur adal ko wazeh karti hai. Allah kisi par zulm nahi karta, yani kisi ne ek zarra barabar bhi gunah kiya hai to us gunah ko zyada nahi likhta sirf utna hi likhta hai jitna Kiya Gaya hai. Lekin agar koi neki kare to na sirf uska ajar barhata hai, balke usko mazeed fazal aur insaf bhi ata karta hai.
Ye insani fitrat ke liye ek motivation hai ke wo zyada se zyada neki kare aur gunah se bache.
Nabi ﷺ ne farmaya: Allah ﷻ ne nek aur bure amaal likh diye hai, aur inhe wazeh kar diya hai. Jo shaks ek neki ka irada kare aur use anjam de, Allah uske liye 10 se lekar 700 tak likhta hai.
(Sahih Bukhari 6491)
Ye hadees Qur'an ke usool ko mazeed tafseel se samjhati hai. Allah sirf nek amaal par ajar nahi deta balke:
- Agar koi sirf neki ka irada kare, aur kisi wajah se use anjaam na de sake, to bhi ek neki likhi jati hai.
- Aur agar amal ko anjaam diya jaye to kam-se-kam 10 guna aur zyada se zyada 700 guna tak ajar likha jata hai.
- Aur gunah sirf itna hi likha jata hai jitna Kiya jaye. Isme koi izafa nahi kiya jata.