Yahoodi ka Sawal, Hazrat Umar رضي ka Jawab aur Islam ki Azmat | Surah Maida 3 aur Hadith Se Samajh

Ek yahoodi ne Hazrat Umar رضي se kaha: ke Aye ameer-ul-Momineen! Tumhari kitab (Qur'an) me ek ayat hai jise tum parhte ho. Agar wo hum yahoodio par nazil hui hoti to hun iske nuzool ke din ko Eid bana lete. Aap رضي ne pucha wo konsi ayat hai? Usne jawab diya"Surah maida ki ayat number 3" Aaj Maine tumhare Deen ko mukammal Kar diya aur Apni ne'mat Tum par Tamaam kardi Aur tumhare Liye Deen-e-Islam Pasand Kiya.

Hazrat Umar رضي ne Jawab diya Hum is din Aur muqaam ko jante hai Jub ye ayat nabi ﷺ par nazil hui, us waqt Aap ﷺ Arafaat me Jumah Ke din Khade Huwe The. 

(Sahih Bukhari 45)

An elegant Islamic-themed image showing an open Quran with glowing light, symbolizing divine guidance and the sacred message of Surah Maida 5:3 about the completion of Islam.

(1)

Yahoodio ke Deen me Eid ke din ki badi Ahmiyat thi. Agar unko koi badi ne'mat ya khushi milti, to wo us din ko khaas tor par eid ki tarah manate, is ayat me Allah ﷻ ne Islam ke Deen ki takmeel, apni ne'mat ke tamam hone, aur Islam ke pasandida Deen hone ka Ailan kiya hai. Ye ek Azeem khabar thi jo shukr aur khushi ke kabil hai. Isi wajah se yahoodi ko laga ke agar ye ayat un par nazil hoti, to wo us din ko Eid ke tor par manate. 

Jub yahoodi ne Hazrat Umar رضي se ye kaha Tab hazrat Umar رضي Us waqt ke khalifa the. Aur Islam ki ahmiyat ko samajhne wale Buzurg sahabi the. 

(2)

Hazrat Umar رضي ka Jawab:

Hazrat Umar رضي ne Kaha Ke Hume Us din aur muqaam ki puri khabar hai jub ye ayat nazil hui thi. Ye ayat Yawm-e-Arfa (Hajj ke sabse Aiham Din) Aur Jumah ke din nazil hui thi. Dono din Musalmano ke liye azeem din hai. 

  1. Yawm-e-Arfa: Hajj ka sabse mubarak din hai jisme Allah apne bande ke gunah maaf karta hai. 
  2. Jumah Ka Din: musalmano ke liye har Hafte Ye Din Eid ka din hota hai. 
Hazrat Umar رضي ne Is jawab se samjhaya ke is ayat ke nuzool ka din pehle se hi azeem hai, is liye Alag se eid banane ki zarurat nahi. 


Allah ﷻ ne farmaya: beshak Allah ke nazdeek Deen Islam hi hai. 
(Surah Al-imran 19)
Deen ka matlab hai zindagi ka ek mukammal Tarika jo insaniyat ko Allah ki ibadat aur uske Huqm ke mutabik chalne ki Hidayat deta hai. 
Is ayat me Allah ﷻ wazeh farmata hai ke sirf Islam hi wo Deen hai jo Allah ke nazdeek maqbool hai. Iska matlab hai ke sirf wahi log Allah ki rehmat aur Nijaat ke mustahiq hai jo Islam ko Apnate hai aur uske mutabik amal karte hai. 
Jitne bhi Mazhab Islam ke siwa hai Allah ne unhe NaQabool kiya hai. Kyu ki ya to wo man-Gharat hai ya ab wo mansookh ho chuke hai. Islam ko Allah ne tamaam Deeno par Afzal banaya hai. 


Nabi ﷺ ne farmaya: Koi din Aisa nahi jisme Allah Yawm-e-Arfa se zyada Apne bando ko Dozakh se Azaad karta ho. 
(Sahih Muslim 3288/ int 1348)
Yawm-e-Arfa, Hajj ke din ka sabse Aiham moka hai jo Zul-Hijjah ke 9th din hota hai. Is din Allah apne bande ke gunaho ko maaf karta hai aur unhe Dozakh ki Aag se Nijaat deta hai. Ye Allah ki Azeem Rehmat aur Karam ka saboot hai. 
Is din musalmano ko chahiye ke wo Allah se magfirat talab kare aur apne gunaho ka ikraar kare, aur Allah ke huzur Aajizi Aur khulusiyat ke sath dua kare. Ye din shukr aur TAUBA ka din hai. 
Jo log Arafat ke maidan me hote hai, unka muqaam aur bhi afzal hota hai. Lekin is din ke amaal dunia ke tamam musalman kar sakte hai. Jaise ke Roze rakhna, Dua, aur istagfaar. 

Nabi ﷺ ne farmaya: tumhare liye aaj 2 eid ek sath jama ho gai hai. "Eid" aur "Jumah" .
(Sahih Bukhari 5572)
Agar eid-ul-Fitr ya Eid-ul-Adha ka din Jumah ke din par aye to is din ki fazilat Do Guna ho jati hai. Jumah ko musalmano ke liye haftawar Eid ka muqaam hasil hai, aur Eid ka din ek sharai Eid ka muqaam Rakhta hai, dono ka jama hona Allah ki ek khaas Ne'mat hai. 
Jumah ka din ek Azmat wala din hai, jisme Ibadat, Qur'an ki Tilawat, Aur Jumah ki namaz kaafi ahmiyat rakhti hai. Nabi ﷺ ne is din ko musalmano ki Eid kaha.

Nabi ﷺ ne farmaya: Jumah ka din Eid ka din hota hai. 
(Musnad Ahmad 8012/ 10903)

(Mishkat-ul-Masabih 1398)


NOTE: 
yahoodi ka sawal Hazrat Umar رضي ka jawab Islam ki azmat ko wazeh karta hai. Deen ki takmeel Allah ki Azeem ne'mat hai, jis par musalmano ko hamesha Shukr-guzaar rehna chahiye. 
Is ayat ka nuzool jumah aur arafah ke din hua, Jo ye batata hai ke Allah ne in dino ki azmat ko barhaya. 
Is hadees se maloom hota hai ke dusre mazhab ke log bhi Qur'an aur Islam ki Sacchai ko pehchante hai. 
Ye hadees imaan, shukr aur Deen ki takmeel ki ahmiyat ko samjhane ka behtreen sabak deti hai. 

Post a Comment (0)
Previous Post Next Post