Ek safar me jo humne kiya tha, Aap ﷺ humse pichhe reh gaye aur humse us waqt mile jub (asar ki) namaz ka waqt Aa pohcha tha. Hum jaldi jaldi wudu kar rahe the. Pas paon ko khoob dhone ke badle hum yunhi sa dho rahe the. (Ye haal dekh kar) Aap ﷺ ne buland Aawaaz se phukara: "Dekho! Eediyon ki kharabi Dozakh se hone wali hai," Do ya teen baar aap ﷺ ne yunhi buland Aawaaz se farmaya.
(Sahih Bukhari 60)
(1)
Ek safar me jo humne kiya tha, Aap ﷺ humse pichhe reh gaye aur humse us waqt mile jub (asar ki) namaz ka waqt Aa pohcha tha:
Ye jumla batata hai ke safar me bhi namaz ki pabandi zaruri hai aur Nabi-e-Kareem ﷺ ne apne sahana ke sath mil kar namaz ada karna pasand farmaya.
Jaisa ke Allah ﷻ ne farmaya: beshak namaz momino par muqarrar waqt ke sath farz ki gai hai.
(Surah Nisa 103)
Ye ayat namaz ko waqt par ada karne ki takeed karti hai, chahe halat-e-safa ho ya hazar.
Nabi-e-Kareem ﷺ se pucha gaya Allah ko konsa amal sabse zyada pasand hai? Aap ﷺ ne farmaya: namaz ko uske waqt par ada karna.
(Sahih Muslim 254/ int 85)
Isse maloom hota hai ke namaz ko uske waqt par padhna islam me nihayat ahmiyat rakhta hai, hatta ke safar me Nabi ﷺ iska khaas aihtimam farmate the.
(2)
Hum jaldi jaldi wudu kar rahe the. Pas paon ko khoob dhone ke badle hum yunhi sa dho rahe the:
Yahan Sahaba-e-Kiram رضی اللہ عنہ ka amal sabit huwa ke wo safar ki halat me jaldi jaldi wudu kar rahe the aur paun ko mukammal dhone ki bajaye halka sa dho rahe the. Is par Nabi-e-Kareem ﷺ tanbeeh farmai, jisse maloom hota hai ke wudu me kisi bhi uzoo ko sahi tarike se dhona zaruri hai.
Allah ﷻ ne farmaya: Aye imaan walo! Jub tum namaz ke liye utho to apne chehro ko aur kohniyon samit apne hatho ko dho lo, aur sar ka Masha karo, aur takno tak paon dho lo.
(Surah maida 6)
Ye ayat wazeh tor par paon dhone ka huqum deti hai, jisse maloom hota hai ke agar paon Sahi tarike se na dhoye jaye to wudu mukammal nahi ho sakta.
(3)
Aap ﷺ ne buland Aawaaz se phukara: "Dekho! Eediyon ki kharabi Dozakh se hone wali hai," Do ya teen baar aap ﷺ ne yunhi buland Aawaaz se farmaya:
Nabi-e-Kareem ﷺ ne Sahaba-e-Kiram ko khabardar kiya ke wudu me eediyon ko Achhi tarah dhona zaruri hai, kyu ke agar wo sukhi reh jaye to wudu na-mukammal reh jata hai, aur na-mukammal wudu ke sath namaz kabhi mukammal nahi hoti, aur Allah Us namaz ko qubul nahi karega.
Allah ﷻ ne farmaya: aur apne kapdo ko paak saaf rakho.
(Surah Mudassir 4)
Is ayat me Allah ne kapdo ko paak saaf rakhne ka huqum diya hai. Isse ye samajh ata hai ke jub kapdo ko paak saaf rakhne ka wazeh huqum Allah ne diya hai. To taharat to aur bhi zyada zaruri hai. Khaas kar wudu ke aaza ki mukammal safai.
Note:
- Namaz ko uske muqarrar waqt par ada karna zaruri hai, chahe aap safar me ho ya na ho.
- Wudu me jaldbaazi na ki jaye balke har uzoo ko mukammal achi tarah dhona chahiye.
- Eediyon ko na dhona jahannam ke azaab ka sabab ban sakta hai, is liye wudu me iska khaas khyal rakha jaye.