Shab-e-Qadr Ki Ahmiyat Aur Iski Talaash: Qur'an Aur Hadees Ki Roshni Mein

 Nabi-e-kareem ï·º apne hujre se nikle, logo ko Shab-e-Qadr ke bare me batana chahte the (wo konsi raat hai). Itne me do musalman apas me lar pade. Aap ï·º ne farmaya: mai to is liye bahar nikla tha ke tumhe Shab-e-Qadr batlaun aur falan falan admi lar pade, to wo mere dil se utha li gai, aur shayad isi me kuch tumhari behtari ho. (To ab aisa karo ke) Shab-e-Qadr ko ramzan ki 27, 29 aur 25 ki raat me talash kiya karo. 

(Sahih Bukhari 49)

A serene night sky with a crescent moon, glowing stars, and divine light descending, symbolizing the sacredness and blessings of Shab-e-Qadr.

Is hadees ke har hisse me Mukhtalif sabaq aur Talimaat moujood hai. 

(1)

Nabi-e-kareem ï·º apne hujre se nikle, logo ko Shab-e-Qadr ke bare me batana chahte the:

Nabi ï·º ummat ke liye hamesha rehnumai faraham karte the, aur aap ne Shab-e-Qadr ki ahmiyat ko ujagar karne ke liye iske baare me ittila dene ka irada farmaya. 

Allah ï·» ne farmaya: Beshak humne ise Shab-e-Qadr me utara, Aur tum kya jano Shab-e-Qadr kya hai? Shab-e-Qadr hazaar mahino se behtar hai. 

(Surah Qadar 1-3)

Ye ayte Shab-e-Qadr ki azmat ko wazeh karti hai aur ye ke is raat me Allah ki rehmat nazil hoti hai. 

Nabi ï·º ne farmaya: jo shaks imaan aur ikhlas ke sath Shab-e-Qadr me Qayam kare, uske pichhle gunah maaf kar diye jaynge. 

(Sahih Bukhari 1901)

Isse wazeh hota hai ke nabi ï·º ummat ko Shab-e-Qadr ke bare me aagaah karke unhe is Azeem raat ki barkato se fayda uthane ka moka Dena chahte the. 


(2)

Itne me do musalman apas me lar pade:

Ye jumla is baat ko Zahir karta hai ke ummat ke darmiyan jhagre aur ikhtilaf Allah ki rehmato se mehroomi ka sabab bante hai. 

Allah ï·» ne farmaya: aur apas me mat karo warna tum kamzor pad jaoge aur tumhari Hawa ukhad jaygi. 

(Surah Anfal 46)

Ye ayat musalmano ko ittehad mohabbat se rehne ki takeed karti hai, take wo Allah ki rehmat aur madad se mehroom na reh jaye. 

Nabi ï·º ne farmaya: ek dusre se hasad na karo, na bughz rakho, aur na hi ek dusre se muh modho. Allah ke bande ban kar bhai-bhai ban jao. 

(Sahih Muslim 6536/ int 2563)

Ye jhagre se bachne ki ahmiyat ko wazeh karta hai kyu ke ikhtilaf barkato ke zawaal ka sabab bante hai. 


(3)

Aap ï·º ne farmaya: mai to is liye bahar nikla tha ke tumhe Shab-e-Qadr batlaun:

Allah ï·» ne farmaya: Beshak tumhare paas tumhi me se ek rasool Aaye, unhe tumhari takleef giraan guzarti hai, wo tumhari bhalai ke bade khwahish-mand hai. 

(Surah Tauba 128)


Nabi ï·º ne farmaya: meri aur logo ki misaal ek aise shaks ki hai jisne Aag jalai, jub uske chaaro taraf roshni ho gai to parwane aur kide-makode jo aag par girte hai isme girne lage, aur aag jalane wala inhe isme se nikalne laga lekin wo iske kaabu me nahi aye aur aag me girte rahe, is tarah me tumhari kamar pakad kar aag se nikalta hun aur tum ho ke isi me girte jate ho. 

(Sahih Bukhari 6483)


(4)

falan falan admi lar pade, to wo mere dil se utha li gai:

Ye hissa is baat ko Zahir karta hai ke ummat ke gunah aur ikhtilaf Allah ke rehmato se mehroomi ka sabab bante hai. 

Nabi ï·º ne farmaya: Allah ke bande bhai-bhai ban jao, musalman musalman ka bhai hai, na uspar zulm karta hai na usko ruswa karta hai, aur na usse hakarat se pesh ata hai. 

(Sahih Muslim 6541/ int 2564)


(5)

shayad isi me kuch tumhari behtari ho:

Ye hissa is baat ko Zahir karta hai ke Allah ke har faisle me Hiqmat hoti hai, chahe wo hume samajh aye ya na aye. 

Allah ï·» ne farmaya: ho sakta hai tum kisi cheez ko na-pasand karo aur wo tumhare haq me Behtar ho. Aur ho sakta hai ke tum kisi cheez ko pasand karo aur wo tumhare liye nuksan deh ho. Tumhare liye kya acha hai Aur kya bura ye Tum nahi jante Allah hi Janta hai. 

(Surah Al-Baqarah 216)


(6)

Shab-e-Qadr ko ramzan ki 27, 29 aur 25 ki raat me talash kiya karo:

Nabi ï·º ne farmaya: Shab-e-Qadr ko Ramazan ke Aakhri Ashre ki taaq raton me talash karo. 

(Sahih Bukhari 2017)


NOTE:

Ye hadees musalmano ko Shab-e-Qadr ki talaash, ittehad, jhagre se Ijtinab aur Allah ki hikmat par yaqeen rakhne ka dars deti hai. 

Musalmano ko Ramzan ke akhri ashre me ibadat ke zariye Shab-e-Qadr ko hasil karne ki koshish karni chahiye. 

Post a Comment (0)
Previous Post Next Post