Nabi ï·º ne farmaya: jo koi ramzan me raato ko iman rakh kar aur sawab ke liye ibadat kare uske agle gunah baksh diye jate hai.
Sahih Bukhari 37
Ye hadees ramzan ke mahine ki fazilat aur uski ahmiyat ko bayan karti hai.
Allah ï·» ne farmaya: Ramzan wo mahina hai jisme Qur'an nazil Kiya Gaya, jo insano ke liye hidayat aur haq aur batil ke darmiyan Fark karne wali Dalilen rakhta hai.
(Surah Al-Baqarah 185)
Ye ayat wazeh karti hai ke ramzan ka mahina sirf ibadat ke liye khaas nahi, balke is mahine me Allah ki khaas barkate nazil hoti hai, un barkato me Qur'an ka nuzool sabse bada in'aam hai.
Allah ï·» ne farmaya: jo bhalai tum apne liye age bhejoge, use Allah ke paas paoge.
(Surah Al-Baqarah 110)
Ramzan me ki gai ibadaten jaise namaz, roza, zakat aur dua, Allah ke nazdeek be-panah ajr-o-sawab Rakhti hai.
Nabi ï·º ne farmaya: jo shaks Shab-e-Qadr me imaan aur sawab ki niyat se Qiyam kare, uske pichle gunah maaf kar diye jaynge.
(Sahih Bukhari 1901)
Shab-e-Qadr Ramzan ki raato me se ek Aiham raat hai. Shab-e-Qadr ki raato me jo log puri raat ibadat me guzar dete hai Allah unke pichle gunah maaf kar deta hai. Magar pure Ramzan ki raate bhi ibadat ke liye fazilat rakhti hai.
Is hadees me 2 Sharten wazeh ki gai hai.
- Imaan: ibadat sirf Allah ki Raza ke liye ho aur dil me yaqeen ho ke Allah in ibadato ko qubool karega.
- Niyat: ibadat ki niyat sirf Allah ke Ajar ko hasil karne ki ho, na ke riya-kari dunia ke maqsad ke liye.