Nabi ﷺ jub Madina tashreef Laye to pehle apni nanihal me utre, Jo ansaar the. Aur Wahan apne solah ya satrah mahine Bait-ul-muqaddas ki taraf muh karke namaz padhi aur aap ki khwahish thi ke aap ka Qibla baitullah ki taraf ho. To sabse pehli namaz jo Apne Baitullah ki taraf muh karke padhi wo asar ki namaz thi. Wahan Aap ﷺ ke sath logo ne bhi namaz padhi, fir apke sath namaz padhne walo mese ek admi nikla aur uska Masjid (bani-harish) ki taraf guzar hua to wo log ruku me the. To wo bola Main Allah ki Gawahi deta hun ke Maine nabi ﷺ ke sath Makke ki taraf Muh karke namaz padhi hai. (Ye sun kar) Wo log isi halat me Baitullah ki tarah ghoom Gaye. Aur jub nabi ﷺ Bait-ul-muqaddas ki taraf muh karke namaz padha karte the, to yahoodi aur Christian khush hote the, magar jub Aap ﷺ ne Baitullah ki tarah muh pher liya to unko ye na-gawar hua.
Abu ishaq ne bara'se ye hadees bhi nakal ki hai ke qible ki tabdili se pehle kuch musalman Intiqal kar chuke the. To Hume ye maloom nahi ho saka ke unki namaz ke bare me kya kaha jaye. Tab Allah ne ye ayat nazil ki: WA MA KAANA ALLAHU LIYUDI'A IMAANAKUM. (Surah Al-Baqarah 143)
(Sahih Bukhari 40)
Is hadees ko samajhne ke liye hum iske har hisse ko dhyan se samjhenge, isme qible ki tabdili ke hawale se wazahat ki gai hai.
(1)
Nabi ﷺ ka madina me aana aur Qible ka badalna:
Jub nabi ﷺ madina aaye to pehle apni nanihal (ansaar ke ghar) me Qiyam kiya. Madina me jub musalman namaz padhte the tab unka Qibla Bait-ul-muqaddas ki taraf tha. Ye us waqt tak tha jub tak Allah ne apne rasool ﷺ ko Qible ki tabdili ka Huqum nahi diya.
Allah ﷻ ne farmaya: Hum Aap ke chehre ko baar-baar Asman ki taraf uthte huwe dekh rahe hai, ab hum apko Us qible ki janib mutawajje karenge jisse aap khush ho jaye.
(Surah Al-Baqarah 144)
(2)
Is hadees me abu ishaq ne bara رضي الله أن se rivayat ki hai ke qible ki tabdili se pehle kuch musalman Intiqal kar chuke the. Unke bare me log confused the ke unki namazo ka kya hoga, kyu ke unhone Bait-ul-muqaddas ki taraf rukh karke namaz padhi thi.
Is waqt Allah ﷻ ne surah Al-Baqarah ayat: "Wa ma kaana Allahu liyudi'a imaanakum" nazil ki. Is ayat ka matlab hai, Allah apke imaan ko zaya nahi karega. Ye ayat un musalmano ke liye thi jo qible ki tabdili se pehle Intiqal kar chuke the.
(3)
Qible ke Tabdeel hone ka Masla:
Qible ki tabdili musalmano ke liye ek bohot bada test tha jo Allah ne liya. Is waqt Allah ne nabi ﷺ ko ye huqum diya ke Qibla Baitullah ki taraf mod diya jayga. Ye ek intizar ka waqt tha. Lekin wo log khof-zada ho gaye the jo hayat me the. Is liye ke unke imaan ka kya hoga jo Bait-ul-muqaddas ki taraf rukh karke namaz padha karte the aur unka Intiqal ho chuka.
Allah ﷻ ne farmaya: Allah tumhare imaan zaya nahi karega, Allah ﷻ logo ke liye Shafqat aur meharbani karne wala hai.
(Surah Al-Baqarah 143)
Is ayat ka maqsad ye the ke Allah un musalmano ki ibadato ko zaya nahi karega Jo Bait-ul-muqaddas ki taraf rukh karke namaz padh rahe the. Chahe unki wafaat ho gai ho. Allah unke imaan ko bekaar nahi hone dega.
Ye ayat un sab logo ke liye tasalli ka paigam hai jo apni namazo ko Allah ke huqum ke mutabik padhte hai. Allah ka huqum har Halat me rehmat aur hikmat ke mutabik hota hai.
Is waqt Allah ne Apni rehmat dikhai ke unki namazo ko kabhi bekar nahi kiya jayga, chahe wo Bait-ul-muqaddas ki taraf thi ya Baitullah ki taraf. Ye sab logo ke liye ek sabak tha ke Allah ki rehmat me kabhi kami nahi hoti.
(4)
Baitullah ki taraf Pehli Namaz:
Jub Allah ne qible ki tabdili ka Huqum diya to sabse pehli namaz jo Nabi ﷺ ne Baitullah ki taraf rukh karke padhi wo Asar ki namaz thi. Is waqt Aap ﷺ ke sath jo log the wo bhi apke sath Baitullah ki taraf rukh karke namaz padh rahe the.
Ek sahabi jo bani harish masjid ke paas se guzar rahe the, inhone dekha ke log Bait-ul-muqaddas ki taraf rukh karke namaz padh rahe hai, unhone Bait-ul-muqaddas se Baitullah ki taraf rukh karke namaz padhne ki gawahi di, aur log turant apne rukh ko mod kar Baitullah ki taraf ghoom Gaye. Ye us waqt ke Zinda gawah the ke Qible ki tabdili ka Huqum mil gaya hai.
(5)
Yahoodi aur Christian ka Reaction:
Jub nabi ﷺ Bait-ul-muqaddas ki taraf rukh karke namaz padhte the to yahoodi aur Christian khush hote the. Kyu ke yahoodi aur Christian ka Qibla bhi Bait-ul-muqaddas hi tha, is liye jub nabi ﷺ Bait-ul-muqaddas ki taraf rukh karke namaz padhte the to unko lagta tha ke musalman bhi unhi ke traditional aur belief system ko follow kar rahe hai.
Lekin jub Allah ne Qibla Baitullah ki taraf mod diya, to unko ye na-gawar ho gaya.
NOTE:
Is hadees se hume Ye sabak milta hai ke Allah apne bando ke Amaal zaya nahi karta, aur Har huqum huski rehmat aur hikmat ka hissa hota hai. Hame hamesha Allah ki Hidayat aur nabi ﷺ ki sunnato ko follow karna chahiye, chahe wo kitna bhi mushkil Lage.