Hazrat jareer bin Abdullah رضي الله أن farmate hai: Maine nabi ﷺ se is baat par ba'ait ki ke mai namaz Qayam karunga, Zakaat Ada Karunga, Aur har musalman ke liye khair-khwahi karunga.
(Sahih Bukhari 57)
Ye hadees 3 Aiham pehluon par mushtamil hai.
- Namaz Qayam karna.
- Zakaat Ada karna.
- Har Musalman Ke Liye Khair-khwahi Karna.
(1)
Namaz Qayam Karna:
Allah ﷻ ne farmaya: aur Namaz Qayam karo, aur zakaat do, aur ruku karne walo ke sath Ruku karo.
(Surah Al-Baqarah 43)
Nabi-e-kareem ﷺ ne farmaya: Qayamat ke din sabse pehle bande ke Amaal me se namaz ka hisab liya jayga, agar wo durust hui to wo Qamyab aur Nijaat Pa gaya, aur agar wo kharab Hui, to wo na-kaam, aur nuksan uthane wala hai.
(Tirmizi 413)
Namaz Deen ka sutoon hai aur namaz ka Qayam karna yani padhna har musalman par farz hai. Ye Allah se Talluk mazbut karne ka behtreen Zariya hai.
(2)
Zakaat Ada Karna:
Allah ﷻ ne farmaya: aur Namaz Qayam karo, aur zakaat do aur rasool ﷺ ki itaat karo take tum par Reham kiya jaye.
(Surah Noor 56)
Zakaat islami muashi nizaam ki buniyad hai jo gareeb, miskeen, aur Zarurat-mand logo ko Muashre me dunia aur Akhirat ke liye mazbut banane ka kaam karti hai.
(3)
Har Musalman Ke Liye Khair-khwahi Karna:
Allah ﷻ ne farmaya: Momin aapas me bhai-bhai hai.
(Surah hujurat 10)
Nabi-e-kareem ﷺ ne farmaya: Deen Khaur-khwahi ka naam hai, sahaba-e-kiram رضي ne puchha kiski Khair-khwahi? Aap ﷺ ne jawab diya: Allah ﷻ ki, uski kitab ki, uske rasool ki, musalmano ke ameero ki aur Aam musalmano ki Khaur-khwahi.
(Sahih Muslim 196/ int 55)
Har musalman ka dusre musalman ke liye khaur-khwahi ka jazba rakhna imaan ki mukammal kaifiyat ka hissa hai. Islam me musalmano ke huqooq, izzat aur madad Shamil hai.
Note:
Ye hadees islam ke amali usool ko wazeh karti hai jinme Allah ke huqum ( namaz aur zakaat) aur bando ke huqooq (Khair-khwahi) shamil hai. In Usoolo par amal karne se ek mazbut, mutawazan aur pur Aman islami muashra tashkeel pata hai.