Namaz-e-Janaza Ki Azaan: Qur'an-o-Sunnat Ki Roshni Mein Haqeeqat

Aaj kal ke muashre me Bohot se musalman Ye Kehte aur sunte hai, ke Namaz-e-Janaza ki Azaan Jub insan Is dunia me Aata hai, aur tab jo Azaan us bache ko Sunai jati hai wahi uske Namaz-e-Janaza ki Azaan hai. 

Yani Jub Bacha Paida hota hai, tab Uske kaan me Azaan kahi jati hai. Aur jub wo marta hai tab us azan ki namaz parhi jati hai. 

Is baat ko Hum Qur'an-o-sunnat ki Roshni me Dekhenge Take hum Haqikat ko Samajh sake. 

A peaceful Islamic-inspired design showing a serene graveyard under a crescent moon, symbolizing the spiritual connection between life and death, with a silhouette of a person praying in the foreground.

Allah ﷻ ne farmaya: Rasool ﷺ jo kuchh tumhe den, use lelo, aur jis cheez se mana kare, usse ruk jao. 

(Surah hashr 7)

Is ayat se ye saaf wazeh hota hai ke Deen ke har mamle me nabi-e-kareem ﷺ ki itaat zaruri hai. Nabi ﷺ ne kabhi Namaz-e-Janaza ke liye azaan dene ka huqum nahi diya. Is liye ye amal Deen me shamil nahi ho sakta. 

Allah ﷻ ne farmaya: Aaj Maine tumhare liye Deen ko mukammal Kar diya. Aur apni ne'mat Tum par Tamaam kar di, aur tumhare liye Islam ko Deen ke tor par pasand kiya. 

(Surah maida 3)

Is ayat se ye wazeh hota hai ke Allah ﷻ ne nabi-e-kareem ﷺ ki hayat-e-zindagi me hi Deen ko mukammal Kar diya. Aur isme koi cheez, koi amal jo ummat-e-muslimah ke fayda ka ho baki nahi chhoda. Har Amal ko mukammal bata diya gaya hai. To is ayat ke baad Deen me kisi new ibadat ya amal ka shamil karna biddat, aur gumrahi hai. Aur wo amal Deen ka hissa nahi. 

Nabi-e-kareem ﷺ ne khud Bohot se janazo ki namaz padhi lekin kisi bhi hadees me Namaz-e-Janaza ki azan ka zikr nahi milta, ke aap ﷺ ne Namaz-e-Janaza se pehle azaan di ho, ya azaan dene ka huqum diya ho. Na hi ye amal sahaba-e-kiram se milta hai. Aur na tabieen se. 

Nabi-e-kareem ﷺ farmaya: jub namaz ka waqt ho jaye to tum mese se koi azaan de, aur jo tumme sabse bada ho wo namaz padhaye. 

(Sahih Bukhari 631)

Ye hadees ye batati hai ke Azaan sirf Farz namazo ke liye mukarrar hai, take logo ko namaz ke liye bulaya ja sake. Namaz-e-Janaza ke liye jamaat ki dawat Dene ka huqum nahi diya gaya, is liye azan ki zarurat nahi. 

Nabi-e-kareem ﷺ ne farmaya: jisne hamare is Deen me koi aisi cheez ijaad ki jo isme nahi hai, to wo amal mardood hai. 

(Sahih Bukhari 2697)

Is hadees se ye wazeh hota hai ke Agar koi ye samajhta aur manta hai ke Namaz-e-Janaza ki azaan wahi azaan hai jo bachhe ki paidaish ke waqt uske kaan me Sunai gai thi. To aisa Samajhna Aur manna Deen ka hissa nahi hai. Aur ise jo hakikat manta ho to ye amal manna mardood hai. 


Bache Ke Kaan Me Azaan Dena:

Hazrat Abu Rafe رضي الله أن kehte hai ke jub Hazrat hasan رضي paida hue the to Aap ﷺ ne Unke kaan me Azaan di. 

(Abu Dawood 5105)

Azaan Dena Shaitan ko door karne aur paida howe bache ko Islam ki buniyadi Talimaat se waqif karane ki Alamat hai. Isme Allah ki Tauheed aur nabi-e-kareem ﷺ ki risalat ka ailaan hota hai. Jo ek bache ki zindagi ka pehla dars hota hai. 


Imam nawawi rehmatullah alaih Ka kehna hai ke nau-molood ke kaan me Azaan Dena mustahab amal hai, aur ye nabi-e-kareem ﷺ ki sunnato me shamil hai. 

Ye amal karna farz ya wajib nahi balke mustahab hai, yani use karna behtreen hai aur na karne par koi gunah nahi. 


NOTE:

Namaz-e-Janaza ki azaan ka tasawwur Qur'an-o-sunnat aur ijma ke khilaaf hai. Paidaish par bachhe ke kaan me Azaan Dena Sunnat hai, lekin is azaan ko Namaz-e-Janaza se jodna shari'an Galat Aur Be-buniyad hai. 

Post a Comment (0)
Previous Post Next Post