Nabi ﷺ ne farmaya: musalman ko Gali Dene se Aadmi Fasiq Ho Jata hai, Aur Musalman Se Ladna Kufr Hai.
(Sahih Bukhari 48)
Ye hadees Islami Akhlaqiyat aur musalmano ke apas ke tallukat ke hawale se Aiham rehnumai Faraham karti hai.
(1)
Musalman Ko Gaali Dena:
Allah ﷻ ne farmaya: "aye iman walo" mard dusre mardo ka mazak na udhaye, Mumkin hai ke wo unse behtar ho, Aur na aurte aurto ka mazak udhaye, mumkin hai ke wo unse behtar ho, Aur apas me ek dusre par ayeb na lagao aur na ek dusre ko bure Laqab do, jo TAUBA na kare wo zaalim hai.
(Surah Hujurat 11)
Is ayat ka mafhoom ye hai ke kisi ki izzat ya shanakht par tanqeed ya mazak udane ka amal Islam me mana hai.
Jub kisi ka mazak udaya jata hai ya tanqeed ki jati hai, aksar isme gaali aur zaleel karne wale alfaaz shamil hote hai, ye amal musalman ki izzat aur Dili takleef ka sabab Banta hai.
Allah ﷻ farmata hai ke ye mumkin hai ke kisi ka mazak udaya jaye aur wo mazak udane wale se behtar ho.
Is ayat me Allah ﷻ ne ye bhi farmaya hai ke aur na ek dusre ko bure Laqab se pukaro. Bura Laqab lagana, ya zaleel karne ke liye gaali dena, ya kisi ki burai ko ujagar karna Fasiqo ka kaam hai. Imaan lane ke baad ye amal na sirf Akhlaqi zawal hai, balke Allah ki narazgi ka sabab Banta hai.
Gaali dena ya mazaak udana insan ki izzat ko niche girata hai. Ye amal musalmano ke darmiyan dushmani aur nafrat paida karta hai.
Is ayat me Allah ﷻ ye bhi farmaya: ke jo TAUBA na kare wo zaalim hai. Iska matlab ye hai ke agar koi gaali deta hai, ya kisi ko zaleel karta hai, to uspar farz hai ke wo jisko gaali di usse aur Allah se maafi mange, Aur apne Amaal ko durust kare.
Nabi ﷺ ne farmaya: musalman wo hai jiski zuban aur hath se dusre musalman mehfooz hon.
(2)
Musalman se Ladna:
Allah ﷻ ne farmaya: aur sab milkar Allah ki rassi ko Mazbuti se Thaam lo aur tafarqa na karo.
(Surah Al-imran 103)
Is ka matlab ye hai ke musalman apne Aqide aur amaal me sirf Qur'an-o-sunnat ke paband rahen, take tafarqa aur ikhtilafat se bach sake.
Allah ne ye huqum diya hai ke sab musalman apas me ek ho kar rahe aur ek dusre ke dushman na bane,
TAFARKA musalmano ke darmiyan ladai aur dushmani ka sabab Banta hai, jo ki ek pur-aman muashre ke liye khatarnak hai.
Jub musalman apas me tafarka aur ladai karte hai, to unki Mazhabi aur samaaji quwwat Kamzor ho jati hai.
Allah ﷻ ne farmaya: Aur zameen me fasaad na failao Baad iske ke isme islah kardo gai.
(Surah A'raf 56)
Fasaad ka matlab hai zameen me nafrat, dushmani aur Zulm ka Failana.
Ladai aur fasaad ek aisa amal hai jo Allah ke huqum ke khilaaf hai aur zameen me tabahi ka sabab Banta hai. Ye ayat hame Aman aur islah ka dars deti hai, aur fasaad aur burai se door rehne ki Taleem deti hai.
NOTE:
Is Hadees se ye pata chalta hai ke musalman ke liye lazim hai ke wo dusre musalman ke sath narmi, mohabbat aur izzat se pesh aye, gaali dena aur ladai jhagda karna Fasiq aur kufr ki alamat hai, jo ki Allah aur uske rasool ﷺ ki talimaat ke khilaaf hai.
Musalmano ko Chahiye ke wo ittehad, bhai-chara aur sabr ka muzahira kare take wo mazbut aur pur-aman muashra Qayam ho.