Janaze Ki Fazilat: Imaan Aur Sawab Ke Sath Namaz-e-Janaza Aur Dafan Ki Ahmiyat (Sahih Bukhari 47)

Nabi ﷺ ne farmaya: jo koi imaan rakh kar aur sawab ki niyat se kisi musalman ke janaze ke Sath jaye, aur namaz aur dafan se Faragat hone tak uske sath rahe, to wo 2 Qirat sawab lekar laute ga, har qirat itna bada hoga jaise Ohad ka pahad. Aur jo shaks janase par namaz parhkar dafan se pahle laut jaye to wo 1 Qirat sawab lekar lautega. 

(Sahih Bukhari 47)

A simple and respectful Islamic funeral setting featuring a janaza (funeral bier) covered with a plain white cloth, placed outdoors in a minimal and serene environment.

Ye hadees Janaze ke sath Jane, namaz-e-Janaza ada karne aur dafan tak maujood rehne ke Azeem ajr-o-sawab ko bayan karti hai. 


(1)

Janaze Ke Sath Jane Ki Fazilat:

Allah ﷻ ne farmaya: neki aur parhezgari me Ek dusre ki madad karo.

(Surah maida 2)

Is ayat me Allah musalmano ko huqum deta hai ke wo neki aur taqwe ke kaamo me ek dusre ki madad kare. 

Janaze ke sath Jana aur mayyat ke haq me dua karna uski magfirat ki darkhwast karna neki ke kaamo ka ek Azeem hissa hai. Ye amal is ayat ki amali tafseer hai ke isme ek musalman apne marhoom bhai ya behan ke liye Madadgaar banta hai aur uski Akhirat ke liye dua karta hai. 

  • Janaze ke sath jakar musalman mayyat ke huqooq ada karta hai. 
  • Ye amal ek musalman ka dusre musalman ke sath tallukat aur bhai-chare ki misaal hai. 
  • Ye Allah ki raza-mandi ka zariya hai, kyu ki Allah neki aur taqwe ke kaamo ko pasand karta hai. 


(2)

Namaz-e-Janaza Ki Fazilat:

Nabi ﷺ ne farmaya: jo shaks kisi janaze me shareek hua yahan tak ke Namaz-e-Janaza ada karli gai, to uske liye ek Qirat hai. 

(Sahih Muslim 2189/int 945)

Is hadees me musalman ko Namaz-e-Janaza ki ahmiyat aur uske sawab ke bare me bataya gaya hai. Nabi ﷺ ne Qirat ko Ohad pahad ke barabar Farmaya jo ek Azeem ajar hai. 

Is hadees ka matlab musalmano ko is amal ki taraf mutawajje karna hai ke wo Namaz-e-Janaza ko ek mamuli amal na samjhe, balke isme shirkat karna ek Azeem ibadat hai. 

(3)

Niyat Ki Shart:

Nabi ﷺ ne farmaya: amal ka daromadar Niyat par hai. 

(Sahih Bukhari 1) 

Agar amal ki niyat Allah ki Raza aur uske Huqm ki pairvi ho, to wo amal Maqbool hota hai aur uska ajar diya jata hai. Agar niyat sirf dunia ka fayda ya dikhawa ho to aise amal ka Allah ke nazdeek koi sawab nahi hota. 

  • Janaze me shirkat karne aur Namaz-e-Janaza ada karne ke liye sirf Allah ki Raza aur marhoom ki magfirat ki niyat honi chahiye. Agar niyat riya-kari ya logo ki tareef ke liye ho, to is amal ka sawab zaya ho jata hai. 
  • Jub ek musalman kisi janaze me shamil hota hai Allah se dua karta hai to uska amal Maqbool hota hai. 
  • Niyat ka talluk dikhawa nahi balke dil ke irade se hota hai. 
  • Nabi ﷺ ka ye farman yaad dilata hai ke Allah sirf unhi amal ko pasand karta hai jo ikhlas ke sath kiye jaye. 


(4)

Ijtimai Dua Ki Ahmiyat:

Namaz-e-Janaza ke dauran Ijtimai Dua aur magfirat talab karna mayyat ke liye rehmat aur barkat ka zariya hai. 

Allah ﷻ ne farmaya: aur jo log baad me aye, dua karte hai , aye hamare rub hume aur hamare bhaiyon ko maaf kar. 

(Surah Hashar 10)

Is ayat ke Allah ne un momineen ka zikr kiya jo apne se pehle imaan lane walo ke liye magfirat ki dua karte hai. Mayyat ke liye dua uski magfirat aur Allah ki rehmat ka sabab banti hai. Ye amal musalmano ka haq hai. 

(5)

Mayyat Ke Huqooq:

Mayyat ke huqooq me se hai ke musalman uske janaze me shirkat kare, aur use izzat ke sath dafan kare. 

Nabi ﷺ ne farmaya: musalman ke musalman par 5 Haqq hai, jinme se ek janaze ke sath chalna bhi hai. 

(Sahih Bukhari 1240)

Is hadees ke zariye hume ye samjhaya gaya hai ke musalman apne bhai ke liye zindagi ke baad bhi zimmedar hai. 

  • Mayyat ke sath chalna ur janaze me shirkat karna ek musalman ka haq hai. 
  • Namaz-e-Janaza mayyat ke liye magfirat ki dua hai, ye ibadat uske gunaho ki maafi aur Allah ki rehmat ki talab ka zariya banti hai. 
  • Mayyat ke huqooq me shamil hai ke use izzat ke sath dafan kiya jaye. 


NOTE:

  1. Hum janaze me shirkat karen.
  2. Namaz-e-Janaza me hazir ho aur mayyat ke liye dua kare. 
  3. Dafan ke amal me shirkat karke Allah ke Wade ke mutabik azeem sawab hasil karen. 
Ye hadees musalmano ko yaad dilati hai ke janaze me shirkat aur dafan tak maujood rehne ka amal na sirf marne wale ke liye baiss-e-rehmat hai balke shirkat karne walo ke liye bhi azeem ajr-o-sawab ka zariya hai. Hume is hadees ki fazilato ko samajh kar us par amal karna chahiye. 

Post a Comment (0)
Previous Post Next Post