Jadu (Sihr) in Islam: Haqeeqat, Alamat aur Qur'an o Hadees se Ilaaj

Jadu (Magic') (Sihr)

Jadu (Sihr) ek qadeem Amal hai jiske zariye kisi shaks par asar dalne, use nuksan pohchane, ya uske muamlat me rukawat dalne ki koshish ki jati hai. Qur'an aur Hadees me jadu ka zikr moujood hai, Aur Islam ne ise ek haqikat ke tour par Tasleem kiya hai, magar sath hi ise haram aur gunah karar diya hai. 

A symbolic illustration of magic (sihr) in Islam, featuring a shadowy sorcerer, a glowing mystical well, and the presence of a devilish entity in a dark desert-like setting under a night sky.

Allah ï·» ne farmaya: aur wo us jadu ke pichhe lag gaye jo suleman alaihis-salam ke dor me Shayateen parha karte the. Halanke suleman alaihis-salam ne Qufr nahi kiya tha, balke Shayateen ne kufr kiya tha, wo logo ko jadu sikhate the. 

(Surah Al-Baqarah 102)

Is ayat se wazeh hota hai ke jadu ke zariye kisi ko nuksan pohchana Shayateen ka amal hai, Allah ke nazdeek Qufr hai. 


Alamat:

Hazrat Ayesha رضي farmati hai: nabi ï·º par jadu ka asar hua yahan tak ke aap ko lagta tha ke aap ne koi kaam kiya hai halanke wo kiya nahi hota tha. 

(Sahih Bukhari 5765)

Ye Alamat zehni uljhan aur confusion ki nishani hai, jo jadu ka sabse aam asar hai. 

Olema alamato ki wazahat karte hai:

Jadu ka asar jismani kamzori aur bimari ke tor par Zahir ho sakta hai, jo tibbi sabab ke bagair hoti hai. 

Kisi bhi khaas bimari ka sabab na ho, magar jismani takleef ya be-chaini mehsoos ho. 

Jadu ke asar se raat ko Sukoon se na so pana, ya neend me khofnaak khwab dekhna hota hai. 

Be-wajah shak karna, udasi mehsoos karna ya kisi baat par ghabrana. 

Jadu ka ek aam nishana Rishto me fasad daalna hota hai jaise miya-biwi ke darmiyan jhagde. 

Allah ï·» ne farmaya: wo jadugar jadu ke zariye shohar aur biwi me judaai kar dete the. 

(Surah Al-Baqarah 102)


Jadu ke sath shaitani asraat bhi hote hai, jo insan ke Deen aur ibadat pe asar dalte hai. 

Namaz ya Qur'an ki tilawat me rukawat mehsoos karna, ibadat me dilchasbi ka na hona. 

Be-wajah dil ka ghabrana ya sukoon mehsoos na karna. 


Nabi-e-kareem ï·º par jadu:

Nabi ï·º par jadu ka waqiya Madina munawwara me pesh aya. Ye jadu ek yahoodi (Labeed bin An'aam) ne kiya tha. Ye jadu Nabi ï·º ke kuch baalo aur kanghi par kiya gaya tha aur is taweez ko Madina ke kuwen Zarwan me pattharo ke nicche dafan karke chhupa diya gaya tha. 

(Sahih Bukhari 5765)

Ye jadu Nabi ï·º ki jismani aur zehni halat par mamooli asar daal raha tha, magar iska koi asar Deen ki tabligh ya wahi ke muamlat par nahi huwa. 


Jadu ka Ilaaj:

Jub jadu ke asrat huwe to nabi ï·º ne Allah se madad talab ki, Aap ï·º ko khwab me bataya gaya ke jadu kahan chhupaya gaya hai aur iska ilaaj kya hai. 

Khwab me ek kuwan dikhaya gaya jise Zarwan kaha jata tha. Aap us kuwen ke paas gaye aur usme se jadu nikalwaya. 

Allah ne jadu ke asar ko khatam karne ke liye aap ï·º par Mau'awwizatain (Surah Falaq aur Surah Naas) nazil farmai. 

Aap ï·º ne in surton ko parha aur us taweez me jitni girahen lagai gai thi wo girah girah khulti gai. Har ayat ke sath jadu ka asar khatam ho gaya. 

Zaid bin Arqam رضي الله أن se rivayat hai ke: nabi ï·º par jub yahoodi ne jadu kiya to Jibraeel Alaihissalam Us jadu ko khatm karne Wali Do Surten Lekar Aye Aur aap ï·º ko Sikhai, Aap Ne Allah ke fazal se  un surto ko parh parh kar Jadu khatm kiya. Wo surte (Surah Falaq aur Surah Naas) hai. 

(Al-SilsilaTus Sahiha 2894)


Mau'awwizatain Ki Fazilat:

Surah Falaq aur Surah Naas Jadu Aur Har Kism ke shar se Hifazat ke liye sabse behtreen Surte hai. 

Nabi ï·º ne farmaya: Jo shaks Subha aur Shaam 3 3 Martaba Surah Falaq aur Surah Naas parhe, Use Allah Har cheez Se mehfooz Rakhega. 

(Tirmizi 3575)

Nabi ï·º ke Jadu ke waqiya Se is baat ki wazahat hoti hai ke jadu ek haqikat hai magar Allah ki Qudrat aur Hifazat Isse bohot hi Zyada Balatar hai. 

Isse hume ye sabak milta hai ke Jadu ya kisi bhi shaitani asar se bachne ke liye hume Qur'an aur Sunnat ka sahara lena chahiye. 

Islam ne jadu, taweez, mazaro par jane jaise amaal ko sakhti se mana kiya hai. Kyu ke ye sab cheeze tauheed ke khilaaf jati hai aur insaan ko shirk ki taraf le jati hai. 

Aaj kal bohot se log jadu ya kisi Mushkil ka hal talash karte waqt Allah par bharosa Karne ke bajaye, mazaro, jadukaro, ya taweez wagera ka sahara lete hai, jo Islam ke aihkam ke khilaaf hai. 

Allah ï·» ne farmaya: Aur Masjiden Allah ke liye hai, to Allah ke siwa kisi aur na fukaro. 

(Surah jinn 18)

Allah ï·» ne farmaya: agar Allah tumhe takleef pohchaye to Allah ke siwa use koi door nahi kar sakta. 

(Surah an'aam 17)

Nabi-e-kareem ï·º ne farmaya: jo shaks kisi kaahin ke paas gaya aur usne uski baat ki tasdeeq ki, to usne Us Allah ke Deen ka inkaar kiya jo mujh par nazil Kiya Gaya hai. 

(Abu Dawood 3904)

Nabi-e-kareem ï·º ne farmaya: jo Shaks Taweez Latkata hai Wo shirk karta hai. 

(Musnad Ahmad 17558)


NOTE:

Islam ne Hamesha Allah par bharosa karne, dua aur zikr ka sahara lene, aur har tarah ke shirk aur galat raste se bachne ki talqeen ki hai. Jadu, mazaro par jane ya taweez lene ke bajaye hume Qur'an aur Sunnat ke usoolo ko apnana chahiye aur Allah ki taraf Ruju karna chahiye, kyu ki Allah hi Mushkilat door karne wala hai. Aur Allah hi hifazat karne wala hai. 

Post a Comment (0)
Previous Post Next Post