Unhone nabi ï·º ko ye irshad farmate huwe suna ke: jub ye banda musalman ho jaye aur uska Islam umdah ho (yaqeen aur Khuloos ke sath ho) to Allah uske gunaho ko jo usne Islam lane se pehle kiye maaf farma deta hai aur ab iske baad ke liye badla shuru ho jata hai, yani ek neki ke badle (10 guna) se lekar 700 guna tak (sawab) aur ek burai ka us burai ke mutabik badla diya jata hai, magar ye ke Allah ï·» us burai se bhi dar-Guzar kare.
(Sahih Bukhari 41)
Ye hadees Allah ki rehmat aur magfirat, neki aur badi ke amaal ke badle ke usool ko bayan karti hai.
(1)
Islam qubul karne ke baad Gunaho Ki Maafi:
Allah ï·» ne farmaya: keh dijiye ke Jo log Qurf kar rahe hai, Agar Wo baaz Aa jaye to jo kuch pehle ho chuka hai wo baksh diya jayga.
(Surah anfal 38)
Allah ï·» ne is ayat me Qufr par chalne walo ko ek Azeem Basharat di hai, agar wo apni galtiyon Ko chhod kar imaan qubul kar len, to Allah unke pichle Saare gunaho ko maaf kar dega, chahe wo chhote gunah ho ya bade.( Shirk aur Qufr bhi maaf ho jata hai. )
Is ayat se ye bhi sabit hota hai ke Allah apne bando ke liye bohot Raheem aur kareem hai. Allah hamesha apne bando ke liye maafi ke darwaze khule rakhta hai. Islam qubul karna ek nai zindgi shuru karne ke barabar hai, jisme insan apne purane amaalo ko bojh se azaad ho jata hai.
Ye ayat kafiro aur mushriko ke liye ek dawat hai ke wo apne galat Aqide aur Amaalo ko chhodkar Islam ko apnaye. Allah ka wada hai ke Jo imaan le ayga aur apni zindagi ko Allah ke huqmo ke mutabik guzarega uske pichle sabhi gunah maaf kar diye jaynge.
Islam sirf zuban ka iqraar nahi balke dil ka yaqeen aur amal ka sath zaruri hai. Jo shaks sache dil se Islam qubul karta hai Allah uske gunaho ko maaf kar deta hai. Aur uske baad usko uske nek amaal ka sawab dena shuru kar deta hai.
(2)
Nekiya 10 guna se lekar 700 guna tak badhai jati hai:
Allah ï·» ne farmaya: jo koi neki karega, use uske badle 10 guna ajar milega, aur jo burai karega uska badla usi ke barabar diya jayga.
(Surah an'aam 160)
Allah ï·» ne is ayat me ek aam usool bayan kia hai jo un sabhi logo ke liye hai jo neki karte hai.
Jo shaks kisi bhi tarah ki neki karega chahe wo zuban, dil ya hath se ho, Allah us neki ka ajar 10 guna zyada dega, ye Allah ke karam aur rehmat ka izhar hai.
Allah apne bando par kisi tarah ka zulm nahi karta nekiyon ka badla zyada milta hai magar burai ka badla sirf burai ke barabar hi diya jayga.
Allah ï·» ne farmaya: jo log Allah ki raah me kharch karte hai, unki misaal us dane jaisi hai jo 7 baliyan ugaye, aur Har Baali me 100 dane ho.
(Surah Al-Baqarah 261)
Allah ne is ayat me Allah ki raah me kharch karne ki ahmiyat Aur uske Ajar ko bayan kiya hai.
Ye misaal samjhati hai ke Allah ki raah me diya gaya har chhota ya bada Amal Kai gunah zyada badh jata hai. Ek dane ke 700 dane banne ka matlab hai ke Allah har chhoti se chhoti neki ka bhi ajar itna badha deta hai ki insan ki soch se bahar hai.
Ye ajar un logo ke liye hai jo sirf Allah ki Raza ke liye kharch karte hai. Ikhlas aur niyat ka, Amal ki qubuliyat me bohot bada Kirdar hota hai.
Allah ki raah me kharch karna sirf maali khairat tak mehdood nahi, balke kisi bhi tarah ki madad, ilm ka batana, ya kisi ki mushkil ko hal karna bhi isme shamil hai.
(3)
Allah ï·» ki Maafi Aur Bakshish:
Allah ï·» ne farmaya: beshak Allah tamam Gunaho ko Maaf Kar deta hai.
(Surah zumar 53)
Ye ayat is baat ki daleel hai ke Allah ki rehmat aur magfirat ke darwaze har shaks ke liye hamesha khule hai, chahe wo kitne hi bade gunah kyu na kar chuka ho. Bas shart ye hai ke wo apni Galti ka Iqraar kare aur Tauba ke sath Allah ki taraf Ruju kare.
Nabi ï·º ne farmaya: Islam pehle Gunaho ko Khatam kar deta hai.
(Sahih Muslim 321/ int 121)
Ye hadees batati hai ke Islam qubool karne ke baad banda ek nai zindgi shuru karta hai. Jisme uske pichhle gunaho ka asar khatam ho jata hai.
Islam sirf ibadat ka naam nahi balke Allah ke huqum ke mutabik chalne ka ek tarika hai. Jo koi shaks dil se Islam qubool karta hai. Allah uske pichhle gunaho ko maaf karke use paak insan bana deta hai.
Nabi ï·º ne farmaya: jo shaks aachhe dil se tauba karta hai, to goya wo aisa hai jaise uska koi gunah nahi.
(Ibn-e-majah 4250)
Tauba Allah ki taraf Wapas Ane ka sabse behtreen tarika hai. Jo Banda apne gunaho par sharminda hoke Allah ke samne maafi mangta hai, to Allah uske gunaho ko is tarah mita deta hai jaise wo usne kabhi kiye hi na ho.
Tauba tabhi Qubool hoti hai jub wo dil se ki jaye aur Banda gunaho se sach me baaz ane ka pakka irada kare. Sirf zuban se maafi mangne ka fayda nahi hoga jub tak dil me Allah ka khoff aur maafi ki tamanna na ho.
Note:
Ye hadees Allah ï·» ki be-panah rehmat ko Zahir karti hai.
- Islam qubool karne ke baad pichhle gunaho ki maafi Allah ï·» ki rehmat ka ek Azeem muzahira hai.
- Nekiyon ko kai guna badhana aur gunaho ko maaf karna Allah ki taraf se bando ke liye in'aam hai.
- Allah ï·» ki magfirat par imaan rakhna har musalman ke liye zaruri hai take wo gunaho se door rehkar neki ki taraf ruju kare.