Nabi ﷺ ne farmaya: jis Shaks ne LA ILAHA ILLALLAH keh liya aur uske dil me jao barabar bhi imaan hai, to wo ek na ek din Dozakh se zarur niklega. Aur Dozakh se wo shaks bhi zaruri niklega jisne Qalma parha aur uske dil me Gehun ke Dane barabar khair hai. Aur Dozakh se Wo bhi niklega Jisne Qalma parha aur uske dil me zarra barabar bhi khair hai.
(Sahih Bukhari 44)
Is hadees me 3 tarah ke logo ka zikr hai, wo iman ke mukhtalif darjaat aur Allah ki Rehmat ke mutallik hai.
(1)
Jis shaks ke dil me zarra Barabar Imaan Ho:
Ye wo log hai jo sabse kam imaan rakhte hai. Inka imaan behtreen nahi hota, aur ye apni zindagi me aksar galtiyan aur gunah karte hai. Lekin inke dil me Tauheed (LA ILAHA ILLALLAH) ka Aqida hota hai Aur ye shirk se door rehte hai.
Ye log apne gunaho ki wajah se shayad kuchh waqt ke liye jahannam me jaye, lekin Aakhir-Kaar Allah ki rehmat aur Tauheed ki wajah se Nijaat Pa lenge.
(2)
Jis Shaks Ke Dil Me Gehun Ke Dane Barabar Imaan Ho:
Ye log Zarre Se zyada Imaan Rakhte Hai, Lekin For Bhi Kamzor hai. Ye kabhi kabhi Allah ke Aihkamat Par Amal karte hai aur kabhi nahi. Ye log Nek Amal karne Ki koshish Karte hai, lekin unka Amal Mukammal Nahi Hota.
Ye log Jahannam Me zyada Waqt Tak nahi Rahenge. Allah ke Fazl Aur inke Imaan ki wajah se ye bhi Akhirkar Jannat me Dakhil Ho jaynge.
(3)
Jis Shaks Ke Dil Me Jao Ke Dane Barabar Bhi Imaan Ho:
Ye Wo Log hai jinka Imaan in Dono se zyada Mazbut hota hai. Ye Aksar Nek Amal Karte hai, Aur Allah ke Huqum Ki Itaat karte hai. Inka imaan Aur Amal jahannam se door Rakhne me Madadgaar hota hai. Lekin Kabhi kabhi gunah kar baith te hai.
Ye log Shayad Jahannam me na bhi jaye, ya agar jaye bhi to bohot hi mukhtasar Waqt ke liye, aur fir jannat me Dakhil Ho Jaynge.
Ye hadees is baat ko wazeh karti hai ke imaan rakhne Wale chahe Kamzor hi kyu na ho, Allah ki rehmat se mehroom nahi honge.
Tauheed Aur Imaan ki ek Chingaari bhi insaan ke liye Nijaat ka zariya ban sakti hai. Lekin uske liye zaruri hai ke insan Shirk se door rahe.
Ye baat Samajhni Zaruri hai ke Sirf Imaan Ka hona kaafi nahi hai agar uske sath Amaal-e-Saleh na ho.
Allah ﷻ ne farmaya: Jo log imaan Laye Aur nek amal kiye, unke liye aise baag hai jinke niche Nehre Beh rahi hai.
(Surah bayyina 7)
NOTE:
Allah ki Rehmat Ke Darwaze Sabke Liye Khule hai, lekin jitna zyada imaan aur nek amal hoga, utna hi Allah ki taraf se Yadav Inaayat milegi.