Harqal (Rome ke badshah) ne unse kaha: maine tumse puchha tha ke is rasool ke manne wale barh rahe hai ya ghat rahe hai? To tumne jawab me batlaya ke wo barh rahe hai. (Theek hai) Imaan ka yahi haal rahta hai yahan tak ke wo poora ho jaye. Aur maine tumse puchha tha ke koi iske Deen me aa kar firse bura jaan kar chhodta hai? To tumne kaha: nahi. Aur imaan ka yahi haal hai. Jub iski Khushi dil me sama jati hai to fir isko koi bura nahi samajhta.
(Sahih Bukhari 51)
Ye Hadees sahih Bukhari ki hadees number 7 ka ek hissa hai. Alhamdulillah, humne is hadees ko mukammal tafseel ke sath bayan kiya hai aur ise Qur'an aur hadees ki roshni me wazahat ke sath samjhaya hai.
Aap is hadees ko padhne aur samajhne ke liye mohabbat aur ikhlas ke sath Tayyar kiye gaye mazmoon tak rasai hasil kar sakte hai.