Nabi-e-kareem ﷺ se suna aap farmate the: Halal khula huwa hai aur Haram bhi khula huwa hai, aur in dono ke darmiyan baaz cheezen shubha ki hai jinhe bohot log nahi jante ( ke Halal hai Ya Haram). Fir jo koi shubha ki cheezon se bhi Bach Gaya usne apne Deen aur izzat ko bacha liya. Aur jo koi in Shubha ki Cheezon me padh gaya uski misaal Charwaha ki hai jo ( shahi mehfooz) charagah ke Aas-paas apne janwaro ko charaye. Wo kareeb hai ke kabhi us charagah ke andar ghus jaye (aur shahi mujrim karar paye).
Suno! Har Badshah ki ek charagah hoti hai. Allah ki charagah Uski zameen par haram cheezein hai. (Pas inse bacho)
Suno! Badan me ek gosht ka tukda hai, jub wo durust hoga to sara badan durust hoga, aur jub wo bigadh gaya to sara badan bigadh gaya. Sunlo' Woh Tukda Insaan Ka Dil Hai.
(Sahih Bukhari 52)
Ye hadees nabi-e-kareem ﷺ ek jami' aur gehri ma'ni rakhne wali nasihat par mabni hai.
(1)
Halal Aur Haram Dono Khule Huwe Hai:
Qur'an majeed me Allah ﷻ ne Haram Aur Halal ko wazeh tor par bayan kiya hai.
Allah ﷻ ne farmaya: aye logo' zameen me jitni bhi halal aur Pakiza chize hai unhe khao aur piyo, shaitan ke raste par na chalo, beshak wo tumhara khula dushman hai.
(Surah Al-Baqarah 168)
Allah ﷻ ne farmaya: tum par murdar, khoon aur Suwar ka gosht Aur Har woh chiz jis pe Allah ke siwa dusro ka naam Liya gaya ho Haram Hai.
(Surah Al-Baqarah 173)
(2)
Shubha Ki Cheezen Jinhe Log Nahi Jante:
Is hadees me bataya gaya hai ke Halal Aur Haram ke Darmiyan Shobha Hoti hai, jinhe Har shaks Wazeh tor par nahi pehchan sakta.
Allah ﷻ ne farmaya: Agar tumhe ilm na ho to tum Ilm Walo se puchho.
(Surah Nahal 43)
Nabi ﷺ ne farmaya: jo cheez Shak Me Dalti ho use Chhod Do, aur Wo cheez Ikhtiyar Karo Jo Shak me Na dale.
(Tirmizi 2518)
(3)
Shubha se Bachne Wala Apne Deen aur Izzat ko bacha Leta hai:
Shubha se Ijtinab insan ko gunaho se bachata hai aur Allah ke nazdeek Uske Imaan Aur Izzat me Izafa karta hai.
Allah ﷻ ne farmaya: Aur Jo Allah se darta hai Allah uske Liye Rasta Nikal Deta hai.
(Surah Talaq 2)
(4)
Shubha Me Padhne Wale ki Misaal Charwaha Ki Tarah Hai:
Ye misaal Hume Gunaho se door Rehne ki Ahmiyat Samjhati hai. Charwaha ka mehfooz charagah ke kareeb jana use Khatre me Daal deta hai, isi tarah shubha me padhne Wala Gunah ke Kareeb Ho jata hai.
Allah ﷻ ne farmaya: khabardar' Zina ke kareeb bhi na bhatakna, kyu ke wo badi Be-Hayai hai, aur bohot hi buri raah hai.
(Surah Israeel 32)
(5)
Allah ki Charagah Haram Cheezein hai:
Iska matlab hai ke Allah ki mukarrar karda Hado ki Khilaaf warzi na karo, kyu ke Ye mamnoo ilake Hai.
Allah ﷻ ne farmaya: ye Allah ki mukarrar karda Haden Hai, tum inke Kareeb bhi na Jana.
(Surah Al-Baqarah 187)
(6)
Badan me Ek Gosht Ka Tukda Hai:
Dil Insan Ke A'maal Ka markaz hai, aur iski islah Zaruri hai.
Allah ﷻ ne farmaya: Yaad rakho Allah ke Zikr Se hi Dilo Ko Sukoon Hasil Hota Hai.
(Surah ar-Ra'ad 28)
Nabi ﷺ ne farmaya: Allah tumhare Jismo ko Dekhta hai Na tumhari surton ko, lekin wo tumhare Dilon ko Dekhta hai. Aur Aap ne apni Ungliyon se Seene ki Taraf Ishara kiya.
(Sahih Muslim 6542 / int 2564)
NOTE:
Ye hadees hame Halal Aur Haram Ke fark Ko samajhne, shubha se bachne aur dil ki islah ki taraf Tawajjo Dene ki taleem deti hai. Qur'an aur hadees me in tamam Mozu'at par Tafseeli Rehnumai moujood hai, jo insaan ke deeni Aur Duniavi kamyabi ke liye zaruri hai.