Hadith-e-Jibraeel: Imaan, Islam aur Ihsaan ki Mukammal Wazahat.

Ek din nabi ï·º logo me tashreef Farma the ke Aap ke paas Ek shaks Aya aur puchne laga ke imaan kise kehte hai? Aap ï·º ne farmaya: ke imaan ye hai ke tum Allah ï·» ke wajood aur iski wahdaniyat par imaan lao, iske Farishto ke wajood par aur Allah ki mulaqat barhaq hone par aur uske Rasoolo ke barhaq hone par Aur marne ke baad dobara uthne par imaan lao. Fir Usne Puchha Ke Islam kya hai? Aap ï·º ne fir jawab diya ke Islam ye hai ke tum khaalis Allah ki ibadat karo aur uske sath kisi ko Shareek na banao, aur namaz Qayam karo aur zakaat do aur Ramzan ke roze rakho. Fir usne Aihsaan ke Mutallik puchha. Aap ï·º ne farmaya: Aihsaan ye hai ke tum Allah ki ibadat is tarah karo Goya Tum use dekh rahe ho agar ye darja hasil na ho to fir ye to samjho ke wo tumhe dekh raha hai. Fir usne puchha ke Qayamat Kab ayegi? Aap ï·º ne farmaya: ke iske baare me Jawab dene wala puchhne wale se kuch zyada nahi jata, albatta mai tumhe iski nishayan batla sakta hun. Wo ye hai ke laundi apne Aaqa ko janaygi aur jub siyah oonto ko charane wale, makanaat ki tameer me ek dusre se baazi le jane ki koshish karenge, yaad rakho Qayamat ka ilm in Paanch cheezo me hai, jinko Allah ke siwa koi nahi janta, fir aap ne ye ayat parhi ke Allah hi ko Qayamat ka ilm Hai ke wo Kab ayegi. Fir wo puchhne wala peeth fer kar jane laga. Aap ï·º ne farmaya: ke use fir wapas bula kar lao, log daur pare lekin wo kahi nazar nahi aya, aap ï·º ne farmaya: wo jibraeel alaihissalam the, jo logo ko inka Deen sikhane aaye the. 

(Sahih Bukhari 50)

A serene Islamic-themed illustration with a mosque silhouette, a crescent moon, and a glowing spiritual ambiance, symbolizing faith and guidance.

Ye Hadees-e-Jibraeel hai jo imaan, Islam, aisaan air Qayamat ke buniyadi umoor par roshni dalti hai. 

(1)

Imaan Ki Tareef:

Aap ï·º ne imaan ki wazahat karte huwe farmaya ke imaan Ye hai. 

  • Allah ke wajood aur wahdaniyat par imaan rakhna. 
  • Farishto ke wajood par imaan lana. 
  • Allah ï·» se mulaqat (Qayamat) par imaan lana. 
  • Rasoolo par imaan lana. 
  • Marne ke baad dobara uthne par imaan lana. 
Allah ï·» ne farmaya: yaqeenan Jo log Allah par, uske farishto par, uski kitabo par, uske rasoolo par aur Aakhirat ke din par imaan late hai, wahi Haqeeqat me momin hai. 

(Surah Al-Baqarah 177)

Nabi ï·º ne farmaya: imaan ye hai ke tum Allah, uske farishto, uski Kitabo, uske rasoolo, aur Akhirat ke din par imaan lao, aur takdeer ke achhe ya bure hone par Yaqeen rakho. 

(Sahih Muslim 8)


(2)

Islaam Ki Tareef:

Islaam ka Matlab hai. 

  • Khaalis Allah ki ibadat karna. 
  • Allah ke sath Kisi ko Shareek na Thehrao.
  • Namaz Qayam karna. 
  • Zakaat Ada Karna. 
  • Ramzan ke roze Rakhna. 



(3)
Aihsaan Ki Tareef:

Allah ï·» ne farmaya: beshak Allah tumhare sath hai tum Jahan kabhi bhi ho, aur wo tumhare Amaal ko Dekh raha hai. 
(Surah hadees 4)


Nabi ï·º ne farmaya: Allah ki Raza hasil karne ke liye amal is tarah karo, Goya ke Tum use dekh rahe ho, agar tum ye tasawwur nahi kar sake to kam-se-kam yahi tasawwur karlo ke Allah tumhe dekh raha hai. 
(Musnad Ahmad 184)


(4)
Qayamat ke Bare Me Sawal:
Jub Qayamat ke bare me sawal hua. To aap ï·º ne farmaya: iske baare me jawab dene wala sawal puchhne wale se zyada nahi janta. 

Allah ï·» ne farmaya: Qayamat ka Ilm Allah hi ke paas hai, aur wahi janta hai ke barish kab hogi, aur Maa ke pet me jo kuch hai use wahi janta hai. 
(Surah Luqman 34)

Nabi ï·º ne farmaya: panch cheeze aisi hai jinka ilm sirf Allah ke paas hai: 1) koi nahi janta ke kal kya hoga. 2) koi nahi janta ke maa ke pet me kya hai. 3) koi nafs nahi janta ke wo Kal kya karega. 4) koi nahi janta ke kis zameen me wo marega. 5) aur  barish kab hogi. 
(Sahih Bukhari 1039)


(5)
Qayamat ki Nishaniya:
1. Laundi Apne malik ko Janaygi:
Ye nishani walidain aur Aulad ke talluk me ulat-pher ko Zahir karti hai, yani aulad walidain ki izzat nahi karegi aur unke tabe nahi rahegi. 

2. Oont charane wale log badi badi imarato ko banane me ek dusre se muqabla karenge:
Ye maal-o-daulat ki farawani aur Duniavi Muqabla ki Alamat hai. 
Nabi ï·º ne farmaya: Qayamat Qayam na hogi yahan tak ke ek shaks dusre ko Qabr ke paas se Guzre ga aur kahega, Kaash! Mai iski jagah hota. 
(Sahih Bukhari 7115)


(6)
Jibraeel Alaihissalam Ka Aana:
Nabi ï·º ne farmaya: wo jibraeel alaihissalam the, jo logo ko unka Deen sikhane Aaye the. 

Allah ï·» ne farmaya: is Qur'an ko Rooh-ul-ameen (jibraeel) le kar Nazil huwe hai. 
(Surah Shoora 193)



NOTE:
Ye hadees Deen ke Teen Buniyadi Sutoon (imaan, Islam, Aihsaan) aur Qayamat ke bare me rehnumai Faraham karti hai. Iski talimaat hame Deen ko mukammal taur par samajhne Aur Is par Amal Karne ka Dars Deti hai. 

Post a Comment (0)
Previous Post Next Post