Ek din nabi ï·º logo me tashreef Farma the ke Aap ke paas Ek shaks Aya aur puchne laga ke imaan kise kehte hai? Aap ï·º ne farmaya: ke imaan ye hai ke tum Allah ï·» ke wajood aur iski wahdaniyat par imaan lao, iske Farishto ke wajood par aur Allah ki mulaqat barhaq hone par aur uske Rasoolo ke barhaq hone par Aur marne ke baad dobara uthne par imaan lao. Fir Usne Puchha Ke Islam kya hai? Aap ï·º ne fir jawab diya ke Islam ye hai ke tum khaalis Allah ki ibadat karo aur uske sath kisi ko Shareek na banao, aur namaz Qayam karo aur zakaat do aur Ramzan ke roze rakho. Fir usne Aihsaan ke Mutallik puchha. Aap ï·º ne farmaya: Aihsaan ye hai ke tum Allah ki ibadat is tarah karo Goya Tum use dekh rahe ho agar ye darja hasil na ho to fir ye to samjho ke wo tumhe dekh raha hai. Fir usne puchha ke Qayamat Kab ayegi? Aap ï·º ne farmaya: ke iske baare me Jawab dene wala puchhne wale se kuch zyada nahi jata, albatta mai tumhe iski nishayan batla sakta hun. Wo ye hai ke laundi apne Aaqa ko janaygi aur jub siyah oonto ko charane wale, makanaat ki tameer me ek dusre se baazi le jane ki koshish karenge, yaad rakho Qayamat ka ilm in Paanch cheezo me hai, jinko Allah ke siwa koi nahi janta, fir aap ne ye ayat parhi ke Allah hi ko Qayamat ka ilm Hai ke wo Kab ayegi. Fir wo puchhne wala peeth fer kar jane laga. Aap ï·º ne farmaya: ke use fir wapas bula kar lao, log daur pare lekin wo kahi nazar nahi aya, aap ï·º ne farmaya: wo jibraeel alaihissalam the, jo logo ko inka Deen sikhane aaye the.
(Sahih Bukhari 50)
Ye Hadees-e-Jibraeel hai jo imaan, Islam, aisaan air Qayamat ke buniyadi umoor par roshni dalti hai.
(1)
Imaan Ki Tareef:
Aap ï·º ne imaan ki wazahat karte huwe farmaya ke imaan Ye hai.
- Allah ke wajood aur wahdaniyat par imaan rakhna.
- Farishto ke wajood par imaan lana.
- Allah ï·» se mulaqat (Qayamat) par imaan lana.
- Rasoolo par imaan lana.
- Marne ke baad dobara uthne par imaan lana.
(Surah Al-Baqarah 177)
Nabi ï·º ne farmaya: imaan ye hai ke tum Allah, uske farishto, uski Kitabo, uske rasoolo, aur Akhirat ke din par imaan lao, aur takdeer ke achhe ya bure hone par Yaqeen rakho.
(Sahih Muslim 8)
(2)
Islaam Ki Tareef:
Islaam ka Matlab hai.
- Khaalis Allah ki ibadat karna.
- Allah ke sath Kisi ko Shareek na Thehrao.
- Namaz Qayam karna.
- Zakaat Ada Karna.
- Ramzan ke roze Rakhna.