Bismillah Ka Mafhoom Aur Barkat | Quran Aur Hadith Ki Roshni Mein

 BISMILLAHIR RAHMANIR RAHIM 


Jara dimaag par jor dal kar soche ki aap Bismillah ka lafz Jo bolate Hain uska matlab kya hai? 

An image with the Arabic phrase "Bismillah" written in calligraphy, accompanied by the Urdu translation "Suru Allah ke naam se jo bada meharban, nihayat Raham wala hai" meaning "In the name of Allah, the Most Gracious, the Most Merciful.


To Aaj ham Bismillah ka Mana janenge in'sha Allah.


Sabse pehle Allah rabbul izzat se ye dua hai:-

Aey Allah! mein aap se nafa dene wala ilm, aur paak rozi aur qubool hone wala a'amal mangta hun.

Bismillah ka Mana hai shuru Allah ke naam se, isko tasmiyah kehte hai.


 -Quran masjid bhi Bismillah se suru Hui aur iske alawah, aur Nabi Sal Allaahu Alayhi wa sallam ki ek hadeesh hai baaz uloma iqram ne Hassan qarar diya hai, Nabi Sal Allaahu Alayhi wa sallam ne farmaya:- "har wo kaam ho ahmiyat rakhta hai aur agar uski ibtidah Bismillah se nahi ki jati to wo kaam naqeesh hota hai.

Yani matluwa barkat uske aandr payi nahi jati, isliye muhadish ka jo tareeqa kaar tha ke jab wo kitab likhte uske suru mein Bismillah likhte.


-yeh bhi Nabi Sal Allaahu Alayhi wa sallam ke Tariqe ke mutabiq hai, kyuki woh aapne letter ( khatoon) ko isse suru karte hai.


•اللّٰہِ 

'Allah' lafz e jalala hai ye Allah rabbul alamin ke Asma mein se hai aur ye Allah rabbul alamin ke jaati naam hai aur iske alava baki naam hai woh Allah rabbul izzat ke sifati naam hai.

Allah us ek Rab ka title hai jo sab kuch create aur fashion karta hai, Wohi zuljalal aur Aliyon-Wala hai. Yeh uska naam hai jiske baad uske sabhi dusre naam aate hain. 


Allah ﷻ ne farmaya: Alif laam Raa. Yeh ek kitab hai jo hum ne tumhari taraf nazil ki hai, taaki tum logon ko unke Rab ke hukm se andheron se ujale ki taraf, us (Allah) ke raaste ki taraf nikalu, jo Izzat wala, sab khubiyon wala hai.

Jiski milkiat mein har vah chij hai jo aasmanon mein hai aur jo jameenon mein hai aur kafiron ke liye ek sakht ajab ki khabar hai.

 ( Surah ibrahim ( 14 ): 1-2 )


 الرَّحمٰنِ الرحیم

Rahman aur Rahim ka matalab "Raham karna" hota hai.

Rahman aur Rahim mein jo cheez janna chahiye wo ye hai:-

RAHMAN ke ander rahmat ka jo mana Paya jata hai woh tamam logo ko Shamil hai.

Ar-Rahman (Sabse Mehriban) Allah ke naamon mein se hain jo sirf uske liye hai, jo zuljalal aur Aliyon-Wala hai, aur unhein kisi aur par lagu nahi kiya ja sakta. Ar-Rahman ka matlab hai woh jiske sifaat mein bahut bada aur extensive rehmat hai. Allah tamam makhluq, kafir, muslim par Allah rabbul alamin rahmat farmata hai.


RAHIM ke ander rahmat ka jo mana paya jata hai us mein rahmat ki limit hoti hai, Allah rabbul izzat sirf mominon par hi Raham karne wala hai Akhirat ke din.


Ar-Rahim, jo rehmat ka dene wala hai, ek aisa naam hai jo Allah ke liye hai, jo zuljalal aur Aliyon-Wala hai, aur yeh naam kisi had tak dusron par bhi lagaya ja sakta hai. Iska matlab hai woh jo bahut hi badi aur vyaapak rehmat rakhta hai, aur Rahim woh hai jo us rehmat ko dusron par nazzil karta hai (yaani un par rehmat karta hai). Toh jab yeh do naam, Ar-Rahman aur Ar-Rahim, saath aate hain, toh iska matlab hai woh jo apni marzi se apne bandon par rehmat karta hai.

Allah ﷻ ne farmaya: wo jise chahe aazab de aur jis par chahe raham karne, aur usi ke taraf tum Laut aaye jaaoge. 

( Surah al Ankaboot aayat 21 )


{ Al usool us Salasa wa Adiltatuha by shaykh muhammad bin Abdul wahhab}

Tafsir Ibn Abi Hatim mein hai ki Hazrat Uthman bin Affan Radi Allaahu anhumaa ne Rasool Allah Sal Allaahu Alayhi wa se Bismillah Ar-Rahman Ar-Rahim ke bare mein sawal kiya. Aapne farmaya, "Yeh Allah Taala ka naam hai, Allah Taala ke bade naam aur ismein itna qareeb hai jaise ki aankh ki siyahi aur safedi hai." Ibn Marduyah mein bhi yehi riwayat hai.

Ibn marduyah ye bhi riwayat karte hai ke Rasool Allah Sal Allaahu Alayhi wa sallam ne farmaya jab isha Alaihi wa sallam in ke walidah ma'alam ke saath baithaya to is ne kaha likhe بِسمِ اللّٰہِ Hazrat isa alaihissalam ne kaha بسم اللہ kya hai? Ustad ne jawab Diya main nahi Janta aap ne farmaya: ''ب" se muraad Allah ta'aala ka  'بہا' yani bulandi hai aur "س" se muraad is ki suna yani Noor aur roshni hai aur "م " se muraad is ki milkiyat yani badshahi hai aur "اللہ " kehte hai ma'aboodon ke ma'bood aur "رحمن" kehte hai duniya mein raham karne wale ko, "رحیم" kehte hai Akhirat mein karam aur Raham karne wala.

Ibn Jareer mein bhi yehi riwayat hai, lekin sanad ki roos se yeh be-hadr gareeb hai. Mumkin hai kisi sahabi ya ghair se marwi ho, aur yeh bhi mumkin hai ki Banee Israeel ki riwayaton mein se ho, mafroof hadith na ho. Wallahu A'alam (Aur Allah sabse zyada jaanta hai).


Ibn Marduyah mein manqool hai ki Rasool Allah (sallallahu alaihi wasallam) ne farmaya, "Mujh par ek aisi aayat utri hai jo kisi aur nabi par, siwaay Hazrat Sulaiman (alaihis-salaam) ke, nahi utri. Woh aayat Bismillah Ar-Rahman Ar-Rahim hai." Hazrat Jabir (radiallahu anhu) farmate hain, "Jab yeh aayat 'Bismillah Ar-Rahman Ar-Rahim' utri, to badal mashriq ki taraf chhat gaye, hawaen sakin ho gayin, samundar thehar gaya, jaanwaron ne kaan lagaye, shayateen par aasmaan se shole girae, aur Parwardigar-e-Alam ne apni izzat aur jalaal ki kasam khaakar farmaya ki jis cheez par mera yeh naam liya jayega, usmein zaroor barkat hogi."


Hazrat Ibn Masood (radiallahu anhu) farmate hain ki jahannam ke unnees darogho se jo bachna chahta hai, woh Bismillah Ar-Rahman Ar-Rahim padhe. Iske bhi unnees haroof hain, har haroof har farishte se bachao ban jayega. Yeh Ibn Atiyyah ne bayan kiya hai, aur iski taayid ek aur hadith bhi hai jismein aap ne farmaya, "Maine tees se oopar farishton ko dekha ki woh jaldi kar rahe the". Yeh Hazoor (sallallahu alaihi wasallam) ne us waqt farmaya tha jab ek shakhs ne "Rabbana lakal hamd, hamdan kathira, tayyiban mubarakan feeh" padha tha, ismein bhi tees se oopar haroof hain, itne hi farishte utre. Isi tarah "Bismillah" mein bhi unnees haroof hain, aur wahan farishton ki tadad bhi unnees hai, wagera wagera.


Masnad Ahmed mein hai ki An-Hazrat (sallallahu alaihi wasallam) ki sawari par aap (sallallahu alaihi wasallam) ne farmaya, "Yeh na kaho, isse shaytan phoolta hai aur khayal karta hai ki goya usne apni quwat se giraya." Haan, "Bismillah" kehne se woh makhi ki tarah zaleel aur past ho jata hai. Nasa'i ne apni kitab "Amal Yom Wal-Lail" mein aur Ibn Marduyah ne apni tafsir mein bhi isey nqal kiya hai, aur sahabi ka naam Usamah bin Umair bataya hai. Ismein yeh likha hai ki "Bismillah" keh kar Bismillah ki barkat se shaytan zaleel ho jayega. Isi liye har kaam aur har baat ke shuru mein "Bismillah" keh lena mustahab hai. Khutbah ke shuru mein bhi "Bismillah" kehni chahiye. Hadith mein hai ki jis kaam ko "Bismillah Ar-Rahman Ar-Rahim" se shuru na kiya jaye, woh be-barkat hota hai. Paakhanah mein jaane ke waqt "Bismillah" padh le. Hadith mein yeh bhi hai ki wuzu ke waqt bhi padh le.


Masnad Ahmed aur Sunan mein Abu Hurairah, Sa'id bin Zaid, aur Abu Sa'id (radiallahu anhum) se marwi hai ki Rasool Allah (sallallahu alaihi wasallam) ne farmaya, "Jo shakhs wuzu mein Allah ka naam na le, uska wuzu nahi hota." Yeh hadith hassan hai. Kuchh ulama wuzu ke waqt shuru mein "Bismillah Ar-Rahman Ar-Rahim" padhna wajib batate hain. Kuchh mutlaq wajob ke qayil hain. Janwar ko zabh karte waqt bhi iska padhna mustahab hai. Imam Shaf'i aur ek jamaat ka yehi khayal hai. Kuchh ne yaad aane ke waqt aur kuchh ne mutlaqan isey wajib kaha hai. 

Khaate waqt bhi Bismillah padhna mustahab hai

Sahih Muslim mein hai ki "Rasool Allah (sallallahu alaihi wasallam) ne Hazrat Umar bin Abu Salma se farmaya (jo aap ki parvarish mein Hazrat Ummul Momineen Umm Salma ke pehle khawand se the) ki 'Bismillah' kaho, aur apne dahaney haath se khaya karo, aur apne samne se nuwala uthaya karo."

Kuchh ulama is waqt bhi 'Bismillah' ka kehna wajib batlate hain. Biwi se milne ke waqt bhi 'Bismillah' padhni chahiye.

Sahihain mein Hazrat Ibn Abbas se marwi hai ki "Rasool Allah (sallallahu alaihi wasallam) ne farmaya, jab tum mein se koi apni biwi se milne ka irada kare, to yeh padhe 'Bismillah, Allahumma jannabna ash-shaitan, wa jannab ash-shaitan ma razaqtana' - yaani, 'Aye Allah, humein aur jo humein tu de, usse shaitan se bacha'."

Farmate hain ki agar is jamma se hamal thehr jaye, to is bachche ko shaitan kabhi nuksan nahi pahuncha sakega. Yahan se yeh bhi maloom hota hai ki 'Bismillah' ki 'ب' ka ta'alluq kis se hai. Nahviyon ke is mein do qaul hain, aur dono hi taqreeban hum-khyal hain.


"Khada hona, baithna ho, khana ho, pina ho, Quran ka padhna ho, wuzu aur namaz wagairah ho, in sab ke shuru mein barkat hasil karne ke liye, imdad chahne ke liye, aur qubooliyat ke liye, Allah Taala ka naam lena mashru hai, Wallah Aalam.


Ibn Jareer aur Ibn Abi Hatim mein riwayat hai, Hazrat Ibn Abbas (radiallahu anhu) farmate hain ki jab sabse pehle Jibraeel (alaihis-salam) Muhammad (sallallahu alaihi wasallam) par wahy lekar aaye, to farmaya, 'Aye Muhammad, kahein "Audhu billahi al-samee al-aalim min ash-shaitan ar-rajim", phir kaha, "Kahein Bismillah ar-Rahman ar-Rahim". Maqsad yeh tha ki uthna, baithna, padhna, sab Allah ke naam se shuru ho."


"Alif-Lam-Lam-Ha" yaani "Allah" ka naam, Rab Taala ka khaas naam hai. Kahaa jaata hai ki yeh Ism-e-Azam hai, kyunki yeh sabhi umdaa sifaton ke saath mauzoon hota hai. Jaise ki Quran Pak mein hai, "Huwa Allahu al-ladhi" - yaani, "Wahi Allah hai jis ke siwa koi ma'bood nahi, jo zahir-o-batin ka jaanne wala hai, jo Rehman aur Raheem hai".


Yeh Allah hai jis ke siwa koi ibadat ke laayak nahi, jo Badshah hai, Pak hai, Salaamati wala hai, Aman dene wala hai, Muhafiz hai, Ghaleb hai, Zabardast hai, Burai wala hai, aur woh har shirk se aur shirk ki cheez se Pak hai. Wahi Allah paida karne wala, maada ko banane wala, soorat bakhsne wala hai. Uske liye behtareen paakiza naam hain, aasmaan-o-zameen ki tamama cheezein uski tasbeeh bayan karti hain. Woh izzaton aur hikmaton wala hai.


In aayaton mein tamama naam sifaati hain, aur "Allah" hi ki sifat hain, yaani asli naam "Allah" hai.


"Allah" hi woh naam hai jo siwaaye Allah Taala ke kisi aur ka nahi. Yahi wajah hai ki aaj tak Arab ko yeh bhi maloom nahi ki iska istiqaq kya hai.

{ Tafseer ibne kathir }


Hazrat ibn-e-abbas رضي الله أن se riwayat hai: ke Jibraeel alaihissalam jub aap ke paas akar wahi sunane se pehle bismillah padte, tab aap samajh jate ke ye nai surah hai. 

(Al-mustadrak hakim 844)


Syedna Abu huraira razi Allah Hu tala anhu kahate Hain ki Rasool Allah sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya:- "jiska wuzu nahin iss ki namaz nahi aur jo shakhs wuzu ke suru mein Allah ka naam na le ( Bismillah) is ka wuzu nahi.

( Abu Dawood 101)


"Hazrat Abdullah bin Umar (radiallahu anhuma) se riwayat hai ki Tabook mein Nabi (sallallahu alaihi wasallam) ko jibnah (paneer) pesh kiya gaya, to Aap ne chhuri mangwai aur phir Bismillah padh kar use kaata."

( Abu Dawood 3819)


NOTE: 

Bismillah ka lafz har kaam ko Allah ke naam se shuru karne ki ahmiyat aur Barkat ko darja deta hai. Nabi ﷺ ne farmaya hai ke har kaam ho bismillah se shuru na ho, usme Barkat nahi hoti. Is lafz ke zariye hum apne kaamo ko qubuliyat aur Allah ki rehmat se nawazte hai. 

Bismillah se har mushkil Aasaan hoti hai, aur har kaam me Barkat aati hai, jo har din ki zindagi me Allah ki madad aur rehmat ko shamil karta hai. 

By: J.B.J 

Post a Comment (0)
Previous Post Next Post