Ibne Abbas رضی اللہ عنہ ne unse aur (apne sahabzade) ali bin Abdullah se farmaya. "Tum dono Abu Saeed khudri رضی اللہ عنہ ki khidmat me jao aur unse hadees suno. "Chunanche hum hazir huwe. Us waqt Abu Saeed apne (razai) bhai ke sath baagh me the aur baagh ko paani de rahe the. Jub aapne hume dekha to hamare paas tashreef laye aur chadar odh kar ghut maar kar baith gaye. uske baad bayan farmaya:
"Hum masjid-e-nabvi ki eentain (hijrat-e-nabvi ke baad tameer-e-masjid ke liye) ek ek karke dho rahe the, lekin Ammar رضی اللہ عنہ do do eentain laa rahe the. Itne me Nabi-e-Kareem ﷺ udhar se guzre aur unke sir se ghubaar ko saaf kiya. Fir farmaya:"Afsos! Ammaar ko Ek baaghi Giroh qatal karega. Ye to unhe Allah ko taraf bula raha hoga, lekin wo use jahannum ki taraf bula rahe honge.
(Sahih Bukhari 2812)
Ye hadees nihayat Aiham hai kyu ke isme Nabi-e-Kareem ﷺ ne ek peshan-Goi farmai hai.
Hadees me bayan kiya gaya hai ke Hazrat ibne Abbas رضی اللہ عنہ ne apne bete Ali bin Abdullah ko Hazrat Abu Saeed khudri رضی اللہ عنہ ke paas bheja take wo nabi ﷺ ki hadees sune. Hazrat Abu Saeed khudri رضی اللہ عنہ ne waqia bayan kiya ke masjid-e-nabvi ki tameer ke doran tamam sahana eento ko utha rahe the, magar Hazrat Ammar رضی اللہ عنہ do do eentain utha rahe the. Nabi-e-Kareem ﷺ ne unki mehnat ko dekh kar unke sir se ghubaar saaf kiya aur farmaya ke unhe ek Baaghi giroh qatal karega, halanke wo unhe Allah ki raah par bulaynge magar wo Giroh jahannum ki taraf bulayga.
Allah ﷻ ne farmaya: aur hum tumhe zarur Aazmaynge khof, bhook, jaan-maal, Aur phalo ki kami se, aur sabr karne walo ko khush-khabri dedo.
(Surah Al-Baqarah 155)
Ye ayat Hazrat ammar رضی aur dusre sahana رضی اللہ عنہ ke sabr o istikam ki aks hai, Hazrat ammar رضی اللہ عنہ ka do do eentain uthana unki qurbani aur mehnat ko zahir karta hai jo Allah ke raste me mushkilat ko bardasht karne ki behtreen misaal hai.
Allah ﷻ ne farmaya: jo shaks hidayat wazeh hone ke baad Rasool ki mukhalifat kare aur momineen ke raste ke khilaaf chale, hum use wahi rasta ikhtiyar karne denge jo usne apnaya hai aur use jahannum me daal denge, jo bohot buri jagah hai.
(Surah nisa115)
Ye ayat un logo ko nasihat karti hai jo Hazrat ammaar رضی اللہ عنہ jaise Allah ke raste par bulane wale Sahabi ko nuksaan pohchate hai.
Nabi-e-Kareem ﷺ ki ye peshan-Goi Tarikhi tor par puri hui jub Hazrat Ammar رضی اللہ عنہ Jung-e-siffeen me Shaheed huwe. Wo us waqt Hazrat Ali رضی اللہ عنہ ke Lashkar me the.
Ye Jung-e-siffeen Hazrat Ali رضی اللہ عنہ aur Hazrat Muawiya رضی اللہ عنہ ke Beech hui thi.
Yahan Par hadees bhi puri ho gai aur peshan-Goi bhi jo nabi ﷺ ne farmai thi.
Lekin Kuchh Log Jane-Anjane me Hazrat Muawiya رضی اللہ عنہ Par Baaghi giroh ka ilzaam lagate Hai. Aur Kehte hai ke Hazrat Muawiya رضی اللہ عنہ ke Lashkar ne Hazrat Ammaar رضی اللہ عنہ ko Shaheed kiya, to Baaghi Giroh kon huwa?
Is masle ko insha Allah hum Tafseel se Samajhne ki koshish karenge.
Sabse pehle Hadees ke Alfazon ko Zeh-Nasheen kar lijiye.
Allah ke nabi ﷺ ne farmaya: Ammar رضی اللہ عنہ ko Ek Baaghi Giroh Qatal Karega, Ye Unhe Allah ki taraf Bula Raha Hoga, Aur wo Ise Jahannum Ki Taraf Bula Rahe Honge.
Ye Alfaaz Hi Hadees ke Khulase Ko Bayan Karenge.
Jung-e-siffeen Me Hazrat Ali رضی اللہ عنہ Aur Hazrat Muawiya رضی اللہ عنہ Amne samne The. Aur ye Dono Akele nahi the, Dono hi Ke Sath bohot bade Bade Lashkar The.
Hazrat Ali رضی اللہ عنہ Ka Lashkar:
Hazrat Ali رضی اللہ عنہ ke Lashkar me zyadatar wo log the jo khilafat-e-Rashida Ke tehat muttahida Ummat ke nazariye par Yakeen Rakhte the. Inke Lashkar Me Shamil Giroh kuch yun the.
(1)
Ahl-e-Qufa:
Hazrat Ali ra ka Dar-ul-Khilafa Qufa Tha, Aur Qufa ke Logo ki Akshariyat unke sath thi. Ye unka sabse bada Aur buniyadi Sipahi Giroh tha.
(2)
Ahl-e-Basra:
Jung-e-Jamal ke baad basra ke ek bade Tabke Ne Hazrat Ali رضی اللہ عنہ ki baiyt kar li thi aur unke sath Shamil Ho Gaye the.
(3)
Ahl-e-Yaman:
Yaman ke Log Hazrat Ali رضی اللہ عنہ dor me islami khilafat ke zair-e-asar the, aur unke Lashkar me shamil the.
(4)
Arab ke Qabail:
Arab ke mukhtalif Qabail jin me zyadatar wo the jo Hazrat Ali رضی اللہ عنہ ki khilafat ko Jayaz tasleem karte the, ye log bhi unke Laskar ka Hissa the.
Hazrat Muawiya رضی اللہ عنہ Ka Lashkar:
Hazrat Muawiya رضی اللہ عنہ ke Lashkar me zyadatar Shaam ke Log shamil the, kyu ke unka dar-ul-hukumat Damishq Tha aur shaam unke zer-e-intizaam tha. Unke Lashkar me shamil Giroh Kuch yun The.
(1)
Ahl-e-Shaam:
Hazrat Muawiya رضی اللہ عنہ ko Shaam me governori ka taweel Tajurba Hasil Tha, Aur shaam ke log Unke wafadar the. Ye unka sabse bada aur mazboot sipahi Giroh tha.
(2)
Ahl-e-Homs:
Homs Shaam ka Ek Aiham Shehar tha, Aur Homs ke log bhi Hazrat Muawiya رضی اللہ عنہ ke sath the.
(3)
Ahl-e-Urdan Aur Filisteen:
Urdan aur Filisteen ke ilake Jo shaam ke Kareebi ilake the, in ilako ke log bhi Hazrat Muawiya رضی اللہ عنہ ke sath the.
(4)
Ahl-e-Jazeera:
Jazeera (iraq aur Shaam ke Darmiyani ilake) ke kuch Qabile bhi Hazrat Muawiya رضی اللہ عنہ ke sath the.
"Tarikh al-Tabari": Yah ek mukhtasar tareekhi kitaab hai jo Hazrat Ali اور Hazrat Muawiya رضی اللہ عنہ ke darmiyan jangon aur unke supporters ke bare mein tafseel se likhi gayi hai.
"al-Bidaya wa'l-Nihaya": Yah bhi Ibn Kathir ki tareekhi kitaab hai jisme is jang ke hawaale se detailed references milte hain.
Jung-e-siffeen Ke doran Arab Qabail ki wafadari jo-gharafiai aur qabaili buniyado par taqseem thi. Kuch Qabile Hazrat Ali رضی اللہ عنہ ke sath the. Kuch Hazrat Muawiya رضی اللہ عنہ ke sath.
Ye jung Siyasi Aur ijtihadi ikhtilafat par mabni thi, aur dono Taraf Sahaba-e-Kiram moujood the. Is jung ko Islam ke Andar Ek bohot badi Azmaish ke tor par dekha jata hai.
Jung-e-siffeen bagair kisi wazeh Fateh ke khatam hui aur tehlil (tehkeem) ka faisla kiya gaya. Jiske baad mazeed tanaza'at paida huwe. Ek bohot bade Tabke ko tehkeem ka faisla raas nahi Aya aur Usne Hazrat Ali رضی اللہ عنہ Ke sath Bagawat Kardi. Aur tabka Khwarij Bana.
Yahan par hume ye samajh aa gaya ke Jung ke Lashkaro me dono taraf kai kai giroh Shamil the.
Aur Allah ke nabi ﷺ ne jo peshan-Goi ki us me bhi giroh ke Alfaz hai. Na ke Lashkar ke.
Hazrat Ammaar bin yasar رضی اللہ عنہ jinke neze se Shaheed huwe unka naam Abu Al-Ghadiya Al-Juhani tha.
Abu Al-Ghadiya Al-Juhani Hazrat Muawiya رضی ke Lashkar me the.
Lekin Rukiye Abhi khulasa pura hona baki hai.
Ab Hum Ek hadees pesh karte hai Apke samne jo Is masle par bohot Aiham hai.
Muhammad bin Amr رضی اللہ عنہ kehte hai ke jub Hazrat Ammaar bin yasar رضی اللہ عنہ Shaheed huwe to amr bin hazm Hazrat amr bin Aas رضی اللہ عنہ ke paas gaye aur unhe bataya ke Hazrat Ammaar bin yasar رضی اللہ عنہ Shaheed ho gaye hain, "Aur Nabi ﷺ ne farmaya tha ke Ammar رضی اللہ عنہ ko ek Baaghi giroh Qatal Karega." Ye sun kar Hazrat Amr bin Aas رضی اللہ عنہ inna lillah padhate huwe ghabra kar uth khade huwe, aur Hazrat Muawiya رضی اللہ عنہ ke paas chale gaye. Hazrat Muawiya رضی اللہ عنہ ne unse puchha tumhe kya hua? Unhone bataya ke Hazrat Ammar رضی Shaheed ho gaye hai. Hazrat Muawiya رضی اللہ عنہ ne farmaya ke Hazrat Ammar رضی اللہ عنہ to Shaheed ho gaye hai lekin tumhari ye halat? Unhone ne farmaya ke maine Nabi-e-Kareem ﷺ ko faramate huwe suna ke Ammar ko ek Baaghi giroh qatal karega. Hazrat Muawiya رضی اللہ عنہ ne kaha tum apne peshab me girte ho, kya humne unhe Qatal kiya hai? Unhe to Hazrat Ali رضی اللہ عنہ Aur unke sathiyon ne khud Qatal kiya hai. Wahi unhe Jung me lekar Aye aur hamare nezo ke darmiyan La Dala.
(Musnad Ahmad 17931)
Jub Hazrat amr bin Aas رضی اللہ عنہ ne Hazrat Muawiya رضی اللہ عنہ ko nabi ﷺ ki peshan-Goi sunai aur Hazrat Ammaar رضی اللہ عنہ ke Qatal ka zikr kiya, to ye baat unke Lashkar ke liye jazbati tor par mushkil thi, kyu ke unke Qatal ka zikr nabi ﷺ ki ek mashhoor aur sabit shuda hadees ke zariye kiya gaya tha.
Hazrat Muawiya رضی اللہ عنہ ka jawab "Tum apne peshab me girte ho kya humne unhe Qatal kiya hai? Dar Asal ye ek koshish thi ke wo ye samjhaayen ke unka Lashkar direct Qatal nahi hai. Unhe is baat ko moawza kar ke samjhaya:
Hazrat Muawiya رضی اللہ عنہ ne farmaya: ke Hazrat Ammar رضی اللہ عنہ ko Samne Laya gaya tha, Wo Hazrat Ali رضی اللہ عنہ ke Laskar ke sath the Aur unke Lashkar walo ne Unke zabardasti Unhe Aage la dala tha. Is liye ye zimmedari un par nahi aati. Hazrat Muawiya رضی اللہ عنہ ka aisa kehne ka maqsad jazbati ko sambhalna, jung ke halat ko samjhna, aur Lashkar me ghubar aur confusion se bachana tha. Halanke wo jante the ke Unka qatal unhone Lashkar ke kisi giroh se huwa hai. Magar Wo us waqt Apne Lashkar ko jazbaat aur Ghubaar se sambhalna chahte the.
Note:
Lashkar Aur Giroh me fark hota hai aur jo Hadees me Alfaaz hai wo Baaghi Giroh ke hai na ke pure Lashkar ke.
Lashkar (Army):
Lashkar ek badi tadaad par mushtamil hota hai jisme mukhtalif Giroh, Qabile aur Afraad shamil hote hai. Ye ek majmui tanzeem hai jo kisi ek Qayadat ke tehat kaam karti hai, jaise ke Jung-e-siffeen me Hazrat Ali رضی aur Hazrat Muawiya رضی اللہ عنہ ke Lashkar.
Giroh (Faction):
Giroh ek chhota aur makhsoos hissa hota hai, jo kisi Bade Lashkar ya tanzeem me moujood hota hai, ye giroh apne Alag nazariye, Amaal aur Alag kirdar ki buniyad par pehchana jata hai.
Hadees ke Alfaaz hai ke " Amaar ko baaghi Giroh qatal karega" ye is baat ki taraf Ishara karta hai ke wo Giroh jisne Hazrat Ammaar رضی اللہ عنہ ko Qatal kiya, unka kirdar Bagawat (Haq ke khilaaf khada hona) par mabni tha. Iska ye matlab nahi hai ke pura Lashkar hi baaghi hai. Balke Lashkar ke andar moujood Koi Giroh aise amal ke murtakib tha Jo Baaghiyana tha.
Ab yahan par ye to saaf ho gaya ke Hazrat Muawiya رضی اللہ عنہ Jinke bare me Allah ke Rasool ﷺ ne behtreen Duaen ki thi. Allah ne unko is Amal se mehfooz rakha hai.
Hazrat Muawiya رضی اللہ عنہ ke mehfooz Hone ki Ek peshan-Goi bhi hai jo Allah ke nabi ﷺ ne Ki thi Sahih Bukhari 2704 me is hadees ki peshan-Goi Hazrat Ammaar رضی اللہ عنہ ke Shaheed hone ke takreeban 4 saal baad puri hui.
Us peshan-Goi me nabi ﷺ ne farmaya: hasan رضی اللہ عنہ ko dekh kar ye mera beta musalmano ke Do Azeem Giroh me Sulah karwayega.
Aur ye peshan-Goi Hazrat ammar رضی اللہ عنہ ke Qatal ke takreeban 4 saal baad puri hui.
Jisme Hazrat Muawiya رضی اللہ عنہ ke Giroh ko bhi musalman farmaya gaya hai.