Amaal Ka Daromadar Niyato Par Hai – Sahih Bukhari Hadees No. 54 Ka Tafsili Bayan

Hazrat Umar bin Khattab رضي se rivayat hai ke Nabi ﷺ ne farmaya:

"Amaal ka daromadar niyato par hai aur Har shaks ko Wahi milega jiski wo niyat kare. Pas jiski hijrat Allah aur uske rasool ﷺ ke liye ho, to uski hijrat Allah aur uske rasool ﷺ ke liye shumaar hogi. Aur jiski hijrat dunia hasil karne ya Kisi Aurat se nikah karne ke liye ho, to uski hijrat us cheez ke liye shumar hogi jiski taraf wo Hijrat kar raha hai. 

(Sahih Bukhari 54)

Minimalist Islamic-themed design with an open book and golden Arabic calligraphy of 'إِنَّمَا الْأَعْمَالُ بِالنِّيَّةِ' on a soft beige and white gradient background with geometric patterns.

Imam Bukhari (rahimahullah) ne sahih Bukhari me hadees ko ek khaas tartib aur hikmat ke sath jama Kiya hai. Aur kabhi kabhi ek hi hadees ko mukhtalif baabo me shamil kiya hai. 

Maslan:

Ye hadees sahih Bukhari wahi ke bayan ki pehli Hadees hai. Imam Bukhari ne is hadees ko wahi ke bayan me is liye shamil kiya take ye wazeh kar den ke tamam Amaal niyat par mabni hai. 

Is hadees ko dubara imaan ke bayan me shamil kiya, take imaan aur niyat ke baahmi talluk ko wazeh kiya ja sake, kyu ke niyat imaan ka hissa hai. 

Imam Bukhari ne mukhtalif baabo me hadees ko shamil karke ye dikhaya ke is hadees ko mukhtalif masail me istimal kiya ja sakta hai. 

Yahan par is hadees ko Niyat ki ahmiyat aur imaan ki sidqat ko bayan karne ke liye lagaya gaya hai. 

Is puri hadees ko samajhne ke liye aap Yahan Click Karke Read karke Samajh sakte hai. 

Jazakallahu Khair 

Post a Comment (0)
Previous Post Next Post