Allah Ki Raza Ke Liye Kharch Karne Ka Ajar: Sahih Bukhari Hadees Ki Tafseer

Hazrat Saad bin abi Waqqas رضي rivayat hai ke unhone nabi-e-kareem ko ye Farmate huwe suna: 

Tum Allah ki Raza ke liye jo bhi kharch karoge, uska tumhe Ajar Milega, yahan tak ke jo luqma Tum apni biwi ke muh me dalte ho, us par bhi ajar milega. 

(Sahih Bukhari 56)

A heartwarming Islamic illustration of a man offering food to his wife at a dining table, symbolizing love and care, with a glowing Quranic verse in Arabic in the background. The ambiance is warm and spiritual, highlighting the concept of family and spending for Allah's pleasure.

Ye hadees apne andar bohot jami aur gehre ma'ani rakhti hai, iske mukhtalif hisse Qur'an-o-sunnat ke sath Gehra Talluk rakhte hai. 

(1)

Tum Allah ki Raza ke liye jo bhi kharch karoge, uska tumhe Ajar Milega:

Allah ï·» ne farmaya: jo log apna maal Allah ki raah me kharch karte hai, uski misaal us daane ki si hai jo saat baliyan ugata hai, aur har baali me Sao daane hote hai. Aur Allah jise chahta hai, badhakar ata karta hai, aur Allah wasee Ilm wala hai. 

(Surah Al-Baqarah 261)

Ye ayat is baat ko wazeh karti hai ke Allah ki Raza ke liye kharch karne ka ajar Kai guna zyada hota hai. 

Nabi-e-kareem ï·º ne farmaya: Sadqa dene se maal kam nahi hota.

(Sahih Muslim 6592/ int 2588)

Ye hadees batati hai ke Jo maal Allah ki Raza ke liye kharch kiya jaye, uspar dunia aur Akhirat dono me barkat milti hai. 


(2)

yahan tak ke jo luqma Tum apni biwi ke muh me dalte ho:

Allah ï·» ne farmaya: aur uski nishaniyo me se ye hai ke usne tumhare liye tumhari hi Jins se biwiyan Paida ki take tum unse sukoon hasil karo, aur tumhare darmiyan mohabbat aur rehmat rakh di. 

(Surah Room 21)

Ye ayat batati hai ke miya-biwi ke Ta'alluq me Mohabbat aur khidmat Allah ki rehmat ke Hasool ka zariya hai. 

Nabi-e-kareem ï·º ne farmaya: tum me sabse behter wo hai jo apne ghar walo ke liye behtar ho, aur mai apne ghar walo ke liye tum sabse Behter hun. 

(Tirmizi 3895)

Ye hadees is baat ko wazeh karti hai ke apni biwi aur ahal-e-khana ke sath mohabbat aur khair khwahi ka sulook karna Deen ka Aiham hissa hai Aur is par ajar milta hai. 


(3)

Allah ki Raza ke liye Kharch Karne Ki Niyat:

Qur'an me hai: Hum to tumhe Sirf Allah ki Raza ke liye khila Rahe hai, hum tumse na kisi badle ki khwahish rakhte hai, aur na shukriya ki. 

(Surah dahar 9)

Ye ayat batati hai ke amaal ki qubuliyat ki buniyad Niyat hai. 

Nabi-e-kareem ï·º ne farmaya: Amaal ka daromadar niyato par hai, har insan ko wahi milega jiski usne niyat ki. 

(Sahih Bukhari 1)

Allah ï·» ne farmaya: aur kareebi Rishtedaro, miskino aur musafiron ko unka haq do.

(Surah israeel 26)

Ye Ayat batati hai ke Rishtedaro par kharch karna, aur miskino par, aur musafiron ki madad karna Allah ke nazdeek behtreen amal hai. Lekin baat yahi hai ke Aap ki niyat Sirf Allah ki Raza ho. Tab Apki duniya aur Akhirat dono me bhalai hai. 


NOTE:

Ye hadees Hume taleem deti hai ke har kharch chahe wo kitna hi mamooli kyu na ho, Agar Allah ki Raza ke liye kiya jaye to wo ba'ais-e-ajar ban jata hai. Yahan tak ke biwi ya Ghar walo ke sath mohabbat aur un par kharch karna bhi ibadat hai, ba-sharte ke niyat Allah ki Raza ho. Qur'an aur hadees ki ye talimaat hume yaad dilati hai ke Deen Islam ek jami nizaam-e-zindagi hai. Jo dunia aur Akhirat dono hi pehluon ko Khoob ahmiyat deti hai. 



Post a Comment (0)
Previous Post Next Post