Nabi-e-kareem ï·º ne farmaya: jub Aadmi apne ahl-o-ayal par kharch kare aur uska maqsad (Allah ki Raza) ho to ye uske liye Sadqa hai.
(Sahih Bukhari 55)
Ye hadees nabi ï·º ki zindagi ke behtreen usoolo me se ek Aiham usool ki wazahat karti hai.
(1)
Jub Aadmi Apne Ahl-o-ayal par Kharch Kare:
Allah ï·» ne farmaya: mard Aurto ke zimmedar hai is wajah se ke Allah ne ek dusre par fazilat di hai aur is wajah se ke wo apna maal kharch karte hai.
(Surah nisa 34)
Ye ayat wazeh karti hai ke ahl-o-ayal par kharch karna mard ki Aiham zimmedario me shamil hai.
Nabi-e-kareem ï·º ne farmaya: tum mese har shaks nigraan hai aur har nigraan se uski raiyyat ke bare me puchha jayga.
(Sahih Bukhari 893)
Ye hadees Zahir karti hai ke ghar ke sarbarah par lazim hai ke wo apne ahl-o-ayal ki zarurat ka khyal rakhe.
(2)
Aur Iska Maqsad Allah Ki Raza Ho:
Allah ï·» ne farmaya: aur unhe yahi huqum diya gaya tha ke wo sirf Allah ki ibadat kare, Deen ko usi ke liye khalis karte huwe.
(Surah bayyina 5)
Ye ayat batati hai ke har nek Amal, B-shamool kharch karna, Allah ki Raza ke liye hona chahiye.
Nabi ï·º ne farmaya: Amal ka daromadar Niyat par hai, har insan ko wahi milega jiski usne niyat ki.
(3)
To Ye Uske Liye Sadqa Hai:
Allah ï·» ne farmaya: tum neki ko nahi pa sakte jub tak apni pasand-deeda cheezon me se kharch na karo.
(Surah Al-imran 92)
Ye ayat batati hai ke kharch karna neki aur sadke ke darje me shamil hai, ba-sharte ke Ye amal Khalis niyat se kiya jaye. Allah ki Raza ke liye.
Nabi-e-kareem ï·º ne farmaya: insan ka Apne Baal-bachho ke liye kharch karna bhi Sawab hai.
(Sahih Bukhari 4006)
Ye hadees batati hai ke apne ghar walo par kharch karne Ka bhi Allah ï·» Insan ko ajr-o-sawab Deta hai, Agar niyat durust ho.
Nabi-e-kareem ï·º ne farmaya: jo maal tum Allah ki raah me kharch karte ho, jo apne ghar walo par kharch karte ho, jo ghareeb par kharch karte ho, aur jo apne ghulam par kharch karte ho- in sab me sabse Afzal wo hai jo tum apne ghar walo par kharch karte ho.
(Sahih Muslim 2311/ int 995)
Ye hadees batati hai ke Apne Ghar walo par kharch karna, dusri kaafi jagah karch karne se behtar aur afzal hai.
Allah ï·» ne farmaya: jo tum kharch karte ho wo tumhare apne liye hai,aur tum sirf Allah ki Raza ke ke liye kharch karo.
(Surah Al-Baqarah 272)
Ye ayat niyat ki ahmiyat aur Akhirat ke Ajr-o-sawab ko wazeh karti hai.
NOTE:
Ye hadees Hume 3 Aiham Usool Sikhati hai.
- Ahl-o-ayal ki kafalat karna ek Deeni Farz hai.
- Niyat ko Khalis Rakhte huwe Allah ki Raza ke liye Har Amal ko Anjaam dena Bohot zyada Zaruri hai.
- Khalis Allah ki Raza ki niyat se kharch kiya gaya maal Sadke Ke darje me Aata hai.