Taqatwar Momin aur Taqdeer Ka Yaqeen: Ek Islami Naseehat

 Hazrat Abu huraira رضي se rivayat hai ke" Nabi ï·º ne farmaya: takatwar momin Allah ke nazdeek kamzor momin ki nisbat behtar aur zyada mehboob hai. Jub ke khair dono me moujood hai. Jis cheez se tumhe haqiki nafa pohche usme hiras karo aur Allah se madad mango aur kamzor mayus hokar na baith jao, agar tumhe koi nuksan pohche to ye na kaho: kaash me is tarah karta to aisa aisa hota, balke ye kaho: ye Allah ki taqdeer hai wo jo chahta hai karta hai. Is liye ke hiras karte huwe kaash kehna shaitan ke darwaze ko khol deta hai. 

(Sahih Muslim 6774/ int 2664)

An elegant depiction of Islamic faith and resilience, symbolizing spiritual and personal growth through iman and determination.

Is hadees me bohot hi jami' aur gehri nasihat hai, jo momin ki shaksiyat, imaan aur amal ke mukhtalif pehluon ko wazeh karti hai. 

(1)

takatwar momin Allah ke nazdeek kamzor momin ki nisbat behtar aur zyada mehboob hai. Jub ke khair dono me moujood hai.

  • Yahan Momin se Murad sirf jismani quwwat nahi, balke iman ki mazbuti, sabr, azm aur hosla hai. Ek aisa Momin jo Deen ke kamo me Aage ho, ibadat me khushu aur khuzu ikhtiyar kare, aur dusro ki madad karne ki salahiyat rakhta ho, Allah ke nazdeek zyada mehboob hai. 
Allah ï·» ne farmaya: Allah muttaqiyon se mohabbat karta hai. 
(Surah Al-Baqarah 195)
Is ayat ka talluk taqwa se hai, jo Allah ke huqum par chalne aur haram chizo se bachne ka jazba hai. Momin jo apne amal aur imaan me mazbut hota hai, uske amal me taqwe ka izhar hota hai, aur Allah usse mohabbat karta hai. Taqwa hi Momin ki asli taqat hai jo use Allah ke kareeb karti hai. 

Allah ï·» ne farmaya: tum unke muqable ke liye apni isti'taat ke mutabik tayyari karo. 
(Surah anfal 60)
Ye ayat momin ko dunia me har kism ke challenges ke liye Tayyar rehne ki hidayat deti hai, chahe wo jismani quwwat ho, Ilmi salahiyat ho, ya iman ki mazbuti. Ek takatwar Momin jo Deen aur dunia ke maidan me mazbut hai, Allah ke nazdeek zyada makbul hai. 

Kamzor Momin bhi agar iman par Qayam hai to khair ka haamil hai. Kyu ke imaan apne aap me ek Azeem ne'mat hai. 

(2)
Jis cheez se tumhe haqiki nafa pohche usme hiras karo aur Allah se madad mango.

Ye Alfaz momin ko maqsad aur azm ki Talim dete hai. Haqiki fayde se Murad hai Akhirat ka fayda, Allah ki Raza ka hasool aur dunia me Deen ke mutabik zindagi Gulzarna.  

Allah ï·» ne farmaya: jub tum farig ho jao to mehnat karo aur apne rub ki taraf ruju(ibadat) karo. Aur apne parwardigar hi ki taraf dil lagai. 
(Surah Shahar 7-8)
Is ayat ka talluk momin ke azm aur istiqamat se hai. Allah hidayat deta hai ke farig waqt ko bekar na chhodo, balke Allah ki ibadat aur Deen ke kaam me lag jao. Ye Akhirat ke liye nafa kamane ka tarika hai. 

Allah ï·» ne farmaya: Allah ki rassi ko mazbuti se tham lo aur usi par bharosa Karo. 
(Surah hajj 78)
Is ayat me Momin ko hidayat di gai hai ke Allah ke Deen ko mazbuti se pakde raho, usko hidayat par chalo aur har mushkil me sirf Allah par bharosa Karo. Ye imaan ke mazbuti ka usool hai. 
Momin ko chahiye ke wo dunia aur akhirat ke fayde ke liye bharpur mehnat kare, aur har Haal me Allah se madad talab kare. 

(3)
kamzor, mayus hokar na baith jao.

Mayusi imaan ki kamzori ki alamat hai.

Allah ï·» ne farmaya: na kamzor pado, na gamgeen ho, tum hi galib rahoge, agar tum Momin rahoge. 
(Surah Al-imran 139)
Is ayat me Momin ko himmat aur yaqeen ki taleem di gai hai. Agar Momin apne iman par Qayam rahe aur Allah par bharosa kare, to wo har mushkil ka mukabla karke galib aa sakta hai. 

Allah ï·» ne farmaya: Allah ki rehmat se sirf kafir hi mayus hote hai. 
(Surah Yusuf 87)
Is ayat me mayusi ko kufr ki alamat bataya gaya hai. Momin ko chahiye ke Allah ki madad aur rehmat par hamesha yaqeen rakhe aur kabhi mayus na ho. 


(4)
ye na kaho: kaash me is tarah karta to aisa aisa hota.

  • Kaash kehna maazi par afsos aur taqdeer par shikayat karne ki alamat ban sakta hai, jo momin ke liye munasib nahi. 
Allah ï·» ne farmaya: koi musibat Allah ki ijazat ke bagair nahi ati, aur jo Allah par iman rakhe hai, Allah unke dil ko hidayat deta hai. 
(Surah tagabun 11)
Is ayat me Allah ï·» ne ye bataya hai ke Har musibat ya mushkil Allah ke ilm aur irade se hoti hai. Momin ko chahiye ke taqdeer par yaqeen rakhe, aur maazi ke afsos aur shikayat me mubtala na ho. Jo shaks Allah par yaqeen rakhta hai Allah uske dil ko tasalli aur hidayat ata karta hai. Take wo har mushkil ka samna sabr ke sath kare. 

Momin ko Chahiye ke mazi ki na-kamyo se sabak le Aur Allah ki Taqdeer par yaqeen rakhe. 


(5)
ye Allah ki taqdeer hai wo jo chahta hai karta hai.

Taqdeer par imaan Momin ke buniyadi Arqano me se ek hai, ye yaqeen insan ko sabr, shukr, aur tasleem-o-raza ki taraf le jata hai. 

Allah ï·» ne farmaya: beshak humne har cheez ko ek mukarrar andaze ke sath paida kiya hai. 
(Surah qamar 49)
Is ayat me Allah ne taqdeer ka bayan kiya hai ke dunia ki har cheez Allah ke ilm aur hikmat ke mutabik hai, koi bhi cheez na be-maqsad hai, aur na hi kisi cheez ka hona ya na hona Allah ke ilm se bahar hai. Momin ko Chahiye ke is Haqikat ko samjhe aur Allah ke faislo par Razamand rahe. 

Allah ï·» ne farmaya: ho sakta hai tum kisi cheez ko na-pasand karo, lekin wo tumhare liye behtar ho.
(Surah Al-Baqarah 216)
Is ayat me Allah ne samjhaya hai ke insan ki samajh mehdood hai, aur wo apni pasand aur na-pasand me har dafa sahi nahi hota. Allah ka ilm behtar hai aur uske faisle insan ke bhale ke liye hote hai, chahe wo samajh aye ya nahi. 


(6)
kaash kehna shaitan ke darwaze ko khol deta hai.

Shaitan insan ko uski na-kamiyo par afsos dilane, hasrat me mubtala karne aur Allah ki banai taqdeer par shak dalne ki koshish karta hai. 

Allah ï·» ne farmaya: shaitan ka maqsad Momino ko gham me mubtala karna hai. 
(Surah mujadala 10)
Is ayat me Allah ne momin ko shaitan ke fareb ke mutallik Aagah kiya hai. Shaitan ka maqsad Momino ke dil me waswase dalna, unhe maazi par afsos, mustaqbil ki fikar, aur haal ki Musibato ke gham me mubtala karna hai. Take wo Allah ki rehmat se door ho jaye aur unka yaqeen kamzor ho jaye. 

NOTE:
Is hadees ka ye matlab bilkul nahi hai ke kamzor momin Allah ko pasand nahi ya mehboob nahi hai. 
Hadees me ye wazeh kiya gaya hai ke takatwar momin, jo jismani, imaani, aur akhlaqi tor par mazbut ho, Allah ke nazdeek behtar aur zyada mehboob hai. 
Lekin hadees ka Agla jumla: jub ke khair dono me hai-- ye batata hai ke kamzor Momin bhi khair aur bhale ke hamil hai. Kyu ke uska imaan aur Allah ki taraf rawayya usko bhi Allah ki rehmat aur mohabbat ka mustahiq banata hai. 

Ye hadees momino ko is baat ki targeeb dilati hai. 
  1. Apne aap ko har maidan me mazbut banane ki koshish kare, iman, amal, ilm aur jismani kuwwat ke lihaz se. 
  2. Kamzori ka matlab ye nahi ke Allah ki rehmat se door ho gaye, balke apne imaan aur amal ko behtar banane ki koshish zaruri hai. 
Is hadees ka maqsad momin ko motivate karna hai ke wo Deen aur dunia ke har maidan me apni salahiyat ko badhaye aur mazbut imaan ke sath zindagi guzare. 

Post a Comment (0)
Previous Post Next Post