Nabi ﷺ ne farmaya: jo shaks Shab-e-Qadr Imaan ke sath mehaz sawab aur akhirat ke liye Zikr-o-Ibadat me guzare, Uske guzishta Gunah Baksh diye jate hai.
Sahih Bukhari 35
Is Hadees ko Qur'an-o-Hadees ki roshni me samajhte hai.
Allah ﷻ ne farmaya: beshak humne is Qur'an ko Shab-e-Qadr me nazil Kiya, aur tum kya jaano Shab-e-Qadr kya hai? Shab-e-Qadr Hazaar mahino se behtar hai, isme farishte Apne Rub ke Huqum se har kaam ke liye utarte hai, ye salamati ki raat hai, tulu-e-fajr tak.
(Surah Al-Qadr 1-5)
Isse wazeh hota hai ke Shab-e-Qadr ek Azeem raat hai jisme ibadat ka sawab ek hazar mahino( takriban 83 saal) ki ibadat se zyada hai. Is raat kiya gaya zikr aur ibadat bande ke gunaho ki maafi ka zariya ban sakta hai.
Ek hadees me nabi ﷺ ne farmaya: Ramzan ke mahine me ek aisi raat hai jo hazaar mahino se behtar hai, jo shaks iski khair aur barkat se mehroom raha, wo mukammal tor par mehroom hi Raha.
(Musnad Ahmad 7148/8979)
Ye hadees mazeed wazeh karti hai ke Shab-e-Qadr me ibadat karne wale ko be-panah ajr-o-sawab milta hai.
Nabi ﷺ ne farmaya: jo shaks Shab-e-Qadr me imaan ke sath aur husul-e-sawab ki niyat se ibadat me khada ho uske tamam pichhle gunah baksh diye jaynge.
(Sahih Bukhari 1901)
Shab-e-Qadr Ramzan ke mahine ki sabse afzal raat hai. Aur is liye is raat ka ajr-o-sawab is mahine se bhi zyada hoga.
Points:
- Is hadees me imaan aur sawab ki niyat ki shart hai, iska matlab hai ke ibadat khalis Allah ke liye ho, riya kari ya duniavi mafadat ke liye na ho, Allah ﷻ sirf khaalis niyat se ki gai ibadat ko qabool karta hai.
- Gunaho ki maafi se Murad sagira (chhote) gunah hai. Jaisa ke dusri hadeeso me wazahat moujood hai, kabira (bade) gunaho ke liye khaas TAUBA zaruri hai. (In hadeeso ko hum ane wali post me bataynge insha Allah)
- Ek hadees me nabi ﷺ ne farmaya: Shab-e-Qadr ko Ramazan ke mahine ki akhri taaq raato me talash karo. ( Sahih Bukhari 2017)