Jihad Ki Fazilat aur Shaheed Ka Muqaam | Qur'an aur Hadees Ki Roshni Mein

Nabi ﷺ ne farmaya: jo shaks Allah ki raah me jihad ke liye nikla, Allah uska zaami ho gaya. Allah ﷻ farmata hai isko meri zaat par yaqeen aur mere paigambaro ki tasdeeq ne sarfarosh ke liye ghar se nikala hai. Mai is baat ka zaami hun ke ya to isko wapas kar dun sawab aur maal-e-ganimat ke sath ya shaheed hone ke baad jannat me dakhil kar dun. Nabi ﷺ ne farmaya aur agar me apni ummat par is kaam ko dushwar na samajhta to lashkar ka sath na chhodta aur meri khwahish hai ke Allah ki raah me mara jaun, fir Zinda kiya jaun, fir mara jaun, fir Zinda kiya jaun, fir mara jaun. 

(Sahih Bukhari 36)

An Islamic-themed illustration depicting a soldier in traditional Arabian attire, symbolizing Jihad, with radiant light representing faith and spiritual rewards. The background shows a serene setting with palm trees, a desert, and a mosque in the distance.

Jihad ka matlab hai Allah ki Raza ke liye apne maal, jaan aur waqt ko qurban karna.

Allah ﷻ ne farmaya: aur jin logo ne Allah ki raah me apni jaan aur maal se jihad kiya, unka darja Allah ke nazdeek sabse buland hai. 

(Surah Tauba 20)

Is ayat me Allah ne jihad ke muqaam ko bohot buland bataya hai. 

Aur is hadees me bhi jihad ki fazilat ko wazeh kiya gaya hai. 

  • Allah ﷻ ne khud apne raahi ka zami hone ka wada kiya hai. 
  • Jihad karne wale ke liye do Anjaam hai aur dono hi behtreen hai. 
  1. Zinda wapas ana sawab aur maal-e-ganimat ke sath. 
  2. Shaheed hona aur jannat me dakhil hona. 
  • Hadees me Allah ki zaat par yaqeen aur uske paigambar ki tasdeeq ka zikr hai. 
  • Jo shaks khud ko Allah ke hawale karta hai uska har Anjaam behtreen hota hai. Chahe wo dunia me ho ya Akhirat me. 
  • Allah ﷻ ka zaami hone ka matlab hai ke wo insan ki har fikr aur khof ko khatm kar deta hai. 
Nabi ﷺ ne apni shiddat-e-khwahish ka izhar kiya ke wo Allah ki raah me baar-baar qurbani dena chahte hai. 
Isse ye maloom hota hai ke nabi ﷺ ke dil me Allah ke liye is kadar Mohabbat thi ke Aap apni jaan ko Allah ke liye baar-baar qurban karne ki tamanna rakhte the. 
Aap ﷺ ne apni Ummat ke liye dishwariyon ka khyal rakha aur is wajah se lashkar ka hamesha sath nahi diya. 
Isse ye sabaq milta hai ke ek leader ko apni Qom ki sahulato ka khyal rakhna chahiye. 


Ye Hadees Qur'an ke Is Huqum ki wazahat karti hai.: 

Allah ﷻ ne farmaya: aur Allah ke raste me jihad karo jaise jihad karne ka haq hai.

 (Surah hajj 78)

Jaisa ke hum upar bata chuke hai ke jihad ka asal matlab hai Allah ki Raza ke liye apni puri koshish aur mehnat karna. Iska dayra bohot wasee hai, jo sirf jung tak mehdood nahi balke apne nafs, maal, ilm aur waqt ko Allah ki rehmat aur Deen ki tarakki ke liye lagana bhi jihad ke zail me ata hai. 

Is ayat me Allah ke raste me jihad karne ke haq ka zikr hai. Iska matlab hai bande apni jaan, maal aur Jazbaat ko puri ikhlasiyat aur shiddat ke sath Allah ke Huqm ki takmeel kare. 

Yahan "Haq'' ka Talluk ikhlas (saaf niyat) sabr aur istiqamat se hai. 

 Qur'an ke is Huqum ka amali izhar nabi ﷺ aur Sahaba-e-kiram ne kiya. Wo apni zindagiyan sirf Allah ki Raza ke liye lagate, apna maal, waqt yahan tak ke jaan bhi quraban karte the. 

Aaj ke dour me jihad ka matlab hai har wo koshish jo Deen ko zinda rakhne aur failane ke liye ki jaye, jaise Taleem dena, zulm ke khilaaf khada hona, aur apne nafs ki buraiyon ka muqabla karna. 


Allah ﷻ ne farmaya: jo log Allah ki raah me qatal kiye jaye, unhe murda na kaho balke wo Zinda hai, magar tum Sha'oor nahi rakhte. 

(Surah Al-Baqarah 154)

Is ayat me shaheed ka muqaam bayan kiya gaya hai. Shaheed wo log hai jo Allah ki raah me apni jaan qurban karte hai. Allah ke nazdeek wo murda nahi balke zinda hai. 

Dunia ki nazar me wo dunia chhod dete hai, lekin Allah ke nazdeek wo ek behtreen zindagi me dakhil hote hai. Jo jannat ki zindagi hai. 

Shaheed ki zindagi ruhani nahi balke ek asal Haqikat hai, jo dunia ke log nahi samajh sakte. 

Iska matlab hai ke shaheed Allah ki rehmat aur in'aam ke maze le raha hota hai. Aur uska darja dunia ki kisi bhi zindagi se zyada buland hai. 

Is ayat me tum Sha'oor nahi rakhte ka matlab hai ke insan ki soch aur idrak Akhirat ke muamlat ko samajhne se kasir hai. Jo baat Allah ne shaheed ke muqaam ke liye bayan ki hai, wo insani samajh ki Reach ke bahar hai. 


Nabi ﷺ ne farmaya: Allah ﷻ ke nazdeek shaheed ke liye 6 inamaat hai. 

  1. Khoon ka pehla qatra girne ke sath hi uski magfirat ho jati hai. 
  2. Wo jannat me apni jagah dekh leta hai. 
  3. Qabr ke azaab se mehfooz rehta hai. 
  4. Azeem ghabrahat wale din( Qayamat ke din) sukoon me rahega. 
  5. Iske sar par izzat ka taaj rakha jayga. 
  6. Fir 72 hooro se uski shadi ki jaygi, aur iske 70 rishtedaro ki iske silsile me shafa'at qubul ki jaygi. 
Tirmizi 1663

Note: 

Is hadees me jihad, shaheed ke muqaam, Aur Allah par yaqeen ke bare me tafseel se samjhaya gaya hai. Nabi ﷺ ka apni Ummat ke liye Shafqat ka izhar, aur Allah ki raah me qurbani ki tammana har Momin ke liye rehnumai hai. Ye hadees insan ko dunia ke fareb se door karke Akhirat ke liye Tayyar karti hai. 

Post a Comment (0)
Previous Post Next Post