Jahez ka Masla aur Islam ka Nuqta-e-Nazar.
Islam ne insani zindagi ke har pehlu me rehnumai di hai, aur muashrati buraiyon ka hal Qur'an aur hadees ke zariye faraham kiya gaya hai. Jahez ka masla bhi unhi buraiyon me se ek hai jo aksar gharo aur rishto ko mutassir karta hai.
Jahez ka Mafhoom:
Jahez ka matlab hai wo maal-o-asbab jo walidain apni beti ko shadi ke waqt dete hai, ye riwaz aksar muashrati dabaw ke zariye ikhtiyar kiya jata hai. Jo gareeb walidain ke liye ek bada bojh ban jata hai, Islam is kism ke jabri aur galat riwajon ki sakhti se mukhalifatt karta hai.
Qur'an Majeed Insaf, masawwat aur aurat ke muqaam ko badhawa dene ka dars deta hai. Jahez ka Talluk aksar zulm aur beti ke walidain par extra bojh dalne se hota hai, jo Qur'an ki talimaat ke khilaaf hai.
Allah ﷻ ne mard par aurat ka kharch farz kiya hai.
Allah ﷻ ne farmaya: mard aurto par qiwam hai, is wajah se Allah ne ek dusre par fazilat di hai, aur is wajah se ke mard apna maal kharch karte hai.
(Surah nisa 34)
Is ayat se wazeh hota hai ke mard ka farz hai ke wo aurat ke liye har zaruri cheez faraham kare. Shadi ke baad ghar ka saman aur zaruriyat shohar ke zimme hoti hai, na ke ladki ke walidain ke.
Allah ﷻ ne farmaya: aur ek dusre par zulm mat karo.
(Surah Al-Baqarah 279)
Jahez ka system jo aksar ladki ke walidain par na-insafi hai, ek tarah ka zulm hi hai. Qur'an ke khilaf hai.
Nabi ﷺ ne farmaya: wo nikah sabse zyada ba-barkat hai, jisme kharch kam ho.
(Mishkat 3097)
Is Hadees se ye wazeh hota hai ke shadi me kam se kam kharch karna chahiye, jo jahez ke system ko rad karta hai. Aur kam kharch wale nikah me hi Allah barkat ata farmata hai.
Ek aur hadees me hai: walime ka wo khana sabse bad-tareen khana hai jisme sirf maal-daaro ko dawat di jaye, aur mohtajo ko na bulaya jaye.
(Sahih Bukhari 5177)
Shadi ke baad walima karna sunnat hai, lekin isme bhi dikhawa ya fizool kharchi se bachna chahiye aur Gareebo miskino ko bhi dawat deni chahiye. Take nikah mazeed barkat aur sawab wala ho jaye.
Jahez ke Nuksan:
- Gareeb walidain jahez ke liye Karz lete hai, jo unki zindagi ko azab bana deta hai. To jahez lene se inkar karna chahiye take ladki ke walidain par bojh na pade, aur ye bojh dalne dalwane wala bojh nahi zulm kar raha hai.
- Is riwaz ki wajah se aksar betiyon ko bojh samjha jata hai, jo Islam ki talimaat ke bilkul khilaf hai.
- Jahez aur mehngai ki wajah se shadiyo me deri hoti hai, jo fitno ka sabab banti hai.
- Isman ne mehar ko aurat ka haq karar diya hai, jo shohar par wajib hai. Qur'an ne isko kuch is tarah bayan kiya hai. Aur Aurto ko unke mehar Khushi se dedo. (Surah nisa 4)
- Walidain aur ghar ke afraad par lazim hai ke shadi ko asan aur sasta banaye, aur isme Deen aur akhlaqiyat ko tarjeeh den.