31 December (New Year)
31 December ya new year ka Jashn asal me christian mazhab aur gair Muslim culture ka hissa hai. Islam me na to 31 December ka koi tasavvur hai aur na hi naye saal ke Jashn ka.
31 December aur Christian Tareekh.
Gregorian calander ko pope Gregory XIII ne 1582 me christian tareekh ke tor par introduce Kiya. Ye system asal me christian mazhabi dino ka markaz hai, Jaise christian aur Easter. 31 December ka Jashn ( new year Eve) bhi asal me christian mazhabi aur duniavi rawayat ka hissa hai.
ISLAMIC CALANDER.
islam me hijri calander ka istimal hota Hai, Jo chand ki rawayat par mabni hai, ye calander purely islamic tareekh aur Mazhabi dino ke liye hai, jaise Ramazan, eid-ul-Fitr, Eid-ul-Adha.
Allah ï·» ne farmaya: Aur tum un logo ki taraf mat jhuko jo zulm karte hai, warna tumhe bhi Aag ka azaab Chhu lega.
(Surah HUD 113)
Is ayat me Allah ne farmaya tum zulm karne walo ki taraf mat jhuko, zulm ka matlab hai shirk, jaisa ke Allah ï·» ne farmaya: beshak Shirk sabse bada zulm hai. (Surah luqman 13)
Is ayat se ye saaf ho gaya ke aap kisi bhi gair mazhab culture ya fastival ka kisi bhi mamle agar sath dete hai ya hissa bante hai. To Aap Surah hud ki 113 ayat ke khilaaf ja rahe hai.
Gair muslim rawayat ka hissa banne se ek Momin ki shanakht khatam hoti hai, aur wo apne Deen ki asal talimaat se door hota hai.
Nabi ï·º ne farmaya: jo kisi Qom ki musabihat ikhtiyar ki to wo unhi me se hai.
(Abu Dawood 4031)
31 December ka Jashn mana kar, badhai dekar, ya kisi aur tarike se ussa hissa banne wala shaks Deen se door ho kar unhi me se ho jata hai.
31 December ki raat ka mahol Aksar sharab, dance, music aur be-hayai se bharpur hota hai, ye tamam chize Islam me Bohot sakhti se mana hai.
Allah ï·» ne farmaya: Aur shaitan ka rasta ikhtiyar mat karo, beshak wo tumhara khula dushman hai.
(Surah Al-Baqarah 208)
Nabi ï·º ne farmaya: sharab Har burai ki Jad hai.
(Ibn-e-majah 3371)
Sharab aur nafs parasti me mubtala hona Momin ke liye zulm aur Gunah hai.
Nabi ï·º ne farmaya: har nai cheez bida'at hai, aur har bida'at gumrahi hai, aur har gumrahi jahannam me le jati hai.
(Nasai 1579)
Musalmano ko is baat se aagah rehna chahiye aur ek dusre ko Aaga karna chahiye.
- 31 December ka Jashn christian aur duniavi rawayat hai, Islam se iska koi talluk nahi hai.
- Is Jashn me hissa lena ya ise support karna gair muslimo ki musahibat hai, jo Islam me Haram hai.
- Apni asli shanakht aur islamic values par Qayam rahen, aur gair muslim rawayat ki nakal se bache.