Nabi ï·º ne farmaya: mujhe dozakh dikhlai hai to usme zyadatar aurte thi jo kufr karti hai. Kaha gaya huzoor kya wo Allah ke sath kufr karti hai? Nabi ï·º ne farmaya: ke khawind (husband) ki na-shukri karti hai, aur ahsaan ki na-shukri karti hai, agar tum umr bhar inme se kisi ke sath aihsaan karte raho, fir tumhari taraf se kabhi koi inke khyal me na-gawari ki baat ho jaye to foran keh uthegi ke maine kabhi bhi tujhse koi bhalai nahi dekhi.
Sahih Bukhari 29
Is s hadees ko hum Qur'an aur hadees ki roshni me samajhne ki koshish karte hai.
1. Is hadees me dozakh me zyadatar aurto ka zikr is baat ki nishani hai ke Jin aurto ne apne shohar ke sath na-shukri ki ya shohar ke sath na-gawar bato ki surat me shikayat ki unke liye sakht saza hai. Ye is baat ki taraf ishara hai ke shohar ke sath bure sulook ki surat me khawateen apne amal ki jawab deh hai.
2. Ahsan ki na-shukri ki misaal dete huwe is hadees me, is baat ki wazahat ki gai hai ke shohar apni biwi ke sath bohot bohot si bhalaiya karta hai. Lekin kabhi kabhi halaat ya kisi wajah se nahi kar pata, to aurat shikayat karti hai, aisi na-shukri ki wajah se azab ka khof Zahir kiya gaya hai.
3. Qur'an aur hadees khawateen ko shohar ke sath husn-e-sulook aur Allah ke Ahkam ki nasihat dete hai. Shohar ke sath na shukri aur ahsan ki na shukri karna khawateen ke liye na-pasandida amal hai. Aur iska asar dunia aur Akhirat dono me dekhne ko milega.
Allah ï·» ne farmaya: aur mard aurto par nigehbaan hai is liye ke Allah ne ek dusre par fazilat di hai, aur is liye bhi ke mard apne maal se kharch karte hai, fir nek aurte farma-bardar hoti hai, shohar ki gair-mojudgi me Amanat ki hifazat karti hai,
(Surah nisa 34)
Ye ayat batati hai ke mard aurat ke nigehbaan hai aur ghar ke mamlat chalane aur unki hifazat ka zimma unka hai. Aurat apne shohar ke haq ko samajhti hai aur imandari ke sath apna farz ada karti hai.
Allah ï·» ne farmaya: aurto ke sath achha sulook karo agar tum unhe na-pasand karo, bohot mumkin hai ke tum kisi cheez ko bura jano, aur Allah ne isme tumhare liye bhalai rakh di ho.
(Surah nisa 19)
Is ayat me bataya gaya hai ke mardo ko aurto ke sath shafqat aur husn-e-sulook se pesh ana chahiye, chahe kabhi na-pasandgi ho, kyu ke Allah ki hikmat Allah ke faislo me chhupi hoti hai.
Allah ï·» ne farmaya: wo tumhara libaas hai aur tum unke libaas ho.
(Surah Al-Baqarah 187)
Shohar aur biwi ek dusre ke liye mohabbat, hifazat aur tasalli ka zariya hai. Dono ek dusre ki zarurat puri karte hai, aur ek dusre ki kamzori ko sambhalte hai.
Nabi ï·º ne farmaya: agar me kisi ko sajda karne ka kehta to aurto ko huqum deta ke apne shohar ko sajda kare, kyu ke Allah ï·» ne biwi par shohar ka bohot haq Rakha hai.
(Abu Dawood 2140)
Is hadees se ye sabak milta hai ke shohar ka apni biwi par bohot bada haq hai. Nabi ï·º ne sajde ka zikr sirf is baat ko samjhane ke liye kiya ke shohar ka muqaam biwi ke liye kitna zyada bada hai, sajda sirf Allah ke liye hai lekin ye hadees is baat ko wazeh karti hai ke biwi ko apne shohar ki izzat karni chahiye aur adab karna chahiye, uske huqooq ka khyal rakhna chahiye aur uski baat ko ahmiyat deni chahiye.
Nabi ï·º ne farmaya: jo Aurat mar jaye aur uska shohar usse khush ho to wo jannat me dakhil hogi.
(Tirmizi 1161)
Nabi ï·º ne bayan kiya ke agar ek aurat apni zindagi me shohar ko khush rakhe, uske huqooq ada kare, uska dil jeet le, to Uska Anjaam jannat hai. Ye hadees biwi ke liye uske shohar ki Khushi aur Razamandi ki ahmiyat ko bayan karti hai. Jo uske Deen aur dunia dono ke liye behtreen hai.
Note:
Qur'an aur hadees dono ye dars dete hai ke na sirf aurte shohar ke huqooq ada kare, balke mard bhi apni biwiyo ke sath shafqat, insaf aur husn-e-sulook ka mamla kare. Is liye ek behtreen zindagi ke liye dono ko apne huqooq aur apni zimmedario ka khyal rakhna chahiye.
Agar dono Allah ke ahkaam aur nabi ï·º ki talimaat par mazbuti se amal kare, to dunia aur akhirat dono me kamyabi hasil hogi.
Insha Allah