Shirk Bada Zulm Hai: Ek Qur’ani Ayat Aur Hadees Ka Tazkara

Jub surah an'aam ki ye ayat utri jo log iman laye aur unhone apne imaan me gunaho ki amaizish nahi ki, to nabi ﷺ ke sahaba رضي ne kaha, ya Rasool ﷺ ye to bohot hi mushkil hai hum ne se kon aisa hai jisne gunah nahi kiya. Tab Allah ﷻ ne surah luqman ki ye ayat utari ke beshak shirk bada zulm hai. 

(Sahih Bukhari 32)

Ek khula Quran lakri ke rehal par rakha hua, jisme Surah An’aam (82) aur Surah Luqman (13) ki ayatein dikhayi de rahi hain, halka aur sukoon bhara Islami mahaul aur naram roshni ke sath

Is hadees ko samajhne ke liye hum ise asan tarike se pehle likh dete hai. Uske baad isko explain karenge. Insha Allah 

Hadees yu hai: jub ye ayat nazil hui: jo log iman laye aur apne iman ki halat me gunaho ki amaizish na ki, wahi aman me hai aur wahi hidayat yafta hai. (Surah an'aam 82) Sahaba-e-kiram ne arz ki: aye Allah ke rasool ﷺ humme kon aisa hai jisne zulm na kiya ho? Nabi ﷺ ne farmaya: iska matlab wo nahi jo tum samajh rahe ho, balke iska matlab shirk hai, kya tumne luqman ki ye nasihat nahi suni: beshak shirk bada zulm hai.


Allah ﷻ ne farmaya: jo log iman laye aur apne iman me zulm ki amaizish na ki wahi aman me hai aur wahi hidayat yafta hai. 

(Surah an'aam 82)

Ye ayat is baat ki taraf ishara karti hai ke sirf wahi log Allah ki taraf se haqiqi aman aur hidayat paynge jo apne iman ko zulm(gunah) se paak rakhe. 

Sahaba-e-kiram رضي ne is ayat ko aam gunaho ke bare me liya ho pareshan ho gaye ke humme kon aisa hai jo kabhi bhi gunah na kare? Kyu ke insan kamzor hai aur gunaho se bachna mushkil hai. 

Nabi ﷺ ne unki pareshani door karte huwe wazahat ki ke yahan zulm se murag aam gunah nahi balke shirk hai. Is wazahat ke liye aap AAP ﷺ ne is ayat ka zikr kiya: beshak shirk bada zulm hai. (Surah luqman 13)


Zulm ka mafhoom: arabic me zulm ke kai mayne hai. Jisme se ek ye hai ke cheez ko uske gair munasib muqaam par rakhna. 

  • Allah ke sath kisi ko sharik karna sabse bada zulm hai, kyu ke ye Allah ke haq ko kisi aur ko dene ke mutabik hai. 

Iman ki buniyad Tauheed par hai, aur shirk iman ki jad ko khatm kar deta hai. 

  • Allah ﷻ ne farmaya: beshak Allah shirk ko maaf nahi karega, iske alawa Jo chahe maaf kar dega.

(Surah nisa 48)


Is hadees se ye pata chalta hai ke sahaba-e-kiram Qur'an ki ek ek ayat ko bohot gehrai se samajhne ki koshish karte the aur agar kisi me wazahat na hoti to foran nabi ﷺ se puchte the. 

Nabi ﷺ ka tarika tha ke mushkil mukamaat ko wazeh kare jaise ke is hadees me zulm ko shirk ke tor par bayan kiya hai. 


Note: 

Is hadees ke zariye hume ye sabak milta hai ke iman ki hifazat ka sabse aham hissa shirk se bachna hai. Aam gunaho ke liye TAUBA ki gunjaish hai, magar shirk ko Allah maaf nahi karta. Is liye ek musalman ko apni ibadat aur Aqide me ikhlas aur tauheed par Qayam rehna chahiye.

Post a Comment (0)
Previous Post Next Post