1) Question: kya Aankhen band karke namaz padh sakte hai?
1) Answer: namaz ke doran ankhe band karna ya ankhe band karke namaz padhna is masle me Olema ki do rai hai. Lekin hum hadees ki roshni me bhi samjhenge.
Baaz olema ke nazdeek namaz ke doran ankhe band karna galat hai kyu ki.
- Nabi ﷺ se namaz me akhen band karne ki koi riwayat sabit nahi.
- Ankhe band karne se nind ya Gaflat taari ho sakti hai. Jo namaz ke khushu wa Khuzu ko mutassir kar sakti hai.
- Baaz Olema ka kehna hai ke ankhe band karne se waswase aur khyalat zyada asar dalte hai.
Dusri ray ke mutabik agar ankhe band karne se Khuzu wa khushu me izafa ho to aisa karna jayaz hai. Kyu ke namaz ka asal maksad dil ki tawajjo aur Allah ki qurbat Hasil karna hai.
- Agar insan ankhe band karne se zyada khushu wa Khuzu ke sath namaz padh sake to aisa karna sahi hai.
- Shariyat me namaz ke doran ankhe band karne ki koi sharah moujood nahi hai.
Lekin nabi ﷺ ki zindagi me kai waqiyat huwe. Jisme se hum 2 hadeese pesh kar rahe hai.
Nabi ﷺ ne farmaya: mujhe is chadar ne namaz ke doran mashgool kar diya, is liye use hata do.
(Sahih Bukhari 373)
Nabi ﷺ ne farmaya kal raat ek jin meri namaz kharab karne ke liye aya maine irada kiya ke me use masjid ke sutoon se band dun, take subha tum sab use dekh sako. Lekin mujhe mere bhai suleman alaihis-salam ki dua yad aa gai. (Sahih Bukhari 3423)
In dono hadeeso se ye wazeh hota hai ke asal sunnat ye hai ke namaz ke doran ankhe khuli rakhi jaye kyu ke nabi ﷺ ankhe khuli rakh kar namaz padhte the. Aap ne chamakdar chadar Dekhi jisse namaz me khalal pada. Shaitan Jin dekha jo Nama kharab karne ki koshish kar raha tha.
Note:
Agar kisi shaks ko ankhe band karne se zyada khushu wa Khuzu hasil hota ho aur uski tawajjo Allah ki ibadat me mazbut hoti ho. To ek zarurat ke tor par ye jayaz hai. Lekin asal sunnat aur afzal tarika wahi hai jo Nabi ﷺ ka tha, yani ankhe khuli rakh kar namaz Ada karna.
Namaz ka asal maqsad dil ki tawajjo, Allah ki qurbat aur Khuzu wa Khushu hasil karna hai.
Har musalman ko is amal me zyada behtari lane ki koshish karni chahiye..