Nabi ï·º ne farmaya: 4 adate jis kisi me bhi ho to wo khalish munafiq hai, aur jis kisi me in charo me se ek adat ho to wo bhi munafiq hi hai, jub tak ise na chhod de.
(1)
Jub ise ameen banaya jaye to khayanat kare.
(2)
Baat karte waqt jhoot bole.
(3)
Jub kisi se ahad kare to use pura na kare.
(4)
Aur jub Lade (jhagda kare) to Gaaliyon par utar aye.
Sahih Bukhari 34
Is hadees ko aur zyada behtar samajhne ki koshish karte hai. Qur'an ke zariye.
Allah ï·» ne farmaya: Aur Allah gawahi deta hai ke munafiq jhoothe hai.
(Surah munafiqun 1)
Ye ayat us waqt nazil hui jub munafiqin zahiri tor par nabi ï·º ke sath hone ka dawa karte the, lekin dil me qufr chhupaye rakhte the,
Jhoot bolna munafiqat ki sabse badi alamat hai, kyu ke jhoot insan ke Akhlaq ko khatam kar deta hai, aur uska aitemad khatam ho jata hai.
Musalman ke liye zaruri hai ke wo har haal me sach bole chahe wo uske liye kitna hi mushkil kyu na ho.
Allah ï·» ne farmaya: aur in mese kuch ne Allah se ahad kiya tha, fir jub Allah unhe apne fazal se maal diya to wo bakheel ban gaye apne ahad se palat Gaye.
(Surah tauba 75-76)
Is ayat me un logo ka zikr hai jo tangi ke waqt Allah se wada karte hai ke Agar Allah ï·» ne inhe maal-o-daulat di to wo Allah ki raah me kharch karenge. Lekin jub Allah unhe apne Fazal se nawazta hai, to wo bakheel ban jate hai aur Wada todte hai.
Ahad ka todna Allah ke nazdeek nafaq (munafiqat) hai. Chahe wo ahad insano ke sath ho ya Allah ke sath.
Har musalman ko chahiye ke wo wado ka khyal kare aur Allah ke sath wafadari kare.
Allah ï·» ne farmaya: beshak Allah tumhe Huqum deta hai ke amanat unke hakdaro tak pohcha do.
(Surah nisa 58)
Is ayat ka huqum Aam hai, jo sirf maal-o-daulat ki amanat tak mehdood nahi, balke har kism ki zimmedari aur farz ki adaigi ko shamil karta hai.
Khayanat ka matlab hai kisi cheez me dhoka Dena ya Zimmedari ko sahi se ada na karna.
Har musalman ka farz hai ke wo Zimmedari ko samjhe aur Amanat ka haq ada kare, chahe wo chhoti ho ga badi.
Allah ï·» ne farmaya: aur imaan walo ke liye bad-zubani na karo.
(Surah hujurat 11)
Is ayat me Allah ï·» musalmano ko ek dusre ke sath izzat aur shaistagi se pesh ane ka huqum deta hai.
Gaali-galoch aur bad-zubani akhlaqiyat ke khilaaf hai aur isse nafrat aur fasaad paida hota hai.
Munafiq hamesha ladai me zuban ka bura istimal karta hai, jubke ek musalman ko tahammul aur narmi ka muzahira karna chahiye.
Har musalman ko chahiye ke wo apni zuban aur rawayye ko behtreen banaye aur shaistagi ka muzahira kare.
Aur ek hadees hai jisko humne isse pehle hi tafseel ke sath explain Kiya hai.
Note:
Islam in char alamato ko munafiq ki pehchan batata hai, aur inka zikr mukhalifatt ayat me is liye hai ke musalman in adato se door rahe.
Jhoot, wada khilafi, khayanat aur bad-zubani sirf insani rishte ko kamzor nahi karte, balke insan ke Deen aur Akhirat ko bhi kharab karte hai.
Har musalman ke liye zaruri hai ke wo apne Akhlaaq aur rawayye ko Qur'an-o-sunnat ke mutabik banaye.