Munafiq Ki Alamatain: Quran aur Hadees Ki Roshni Mein Tafseel

 Nabi ï·º ne farmaya: munafiq ki Alamate 3 hai. 

(1)

Jub baat kare jhoot bole.

(2)

Jub wada kare uske khilaf kare.

(3)

Aur jub usko ameen banaya jaye to khayanat kare.

(Sahih Bukhari 33)

Munafiq Ki Alamatain: Quran aur Hadees Ki Roshni Mein Tafseel

1): jub baat kare jhoot bole: 

Jhoot bolna munafiq ki buniyadi alamat hai, kyu ke jhoot insan ke kirdar ki kharabi ko Zahir karta hai aur haq-o-sachai ke usoole ke khilaaf hai. 

Allah ï·» ne farmaya: Allah ki la'nat ho jhoot bolne walo par.

(Surah Al-imran 61)

Ek or jagah Allah ï·» ne farmaya: jhoot wahi log ghadte hai jo Allah ki ayto par iman nahi rakhte.

(Surah nahal 105)

Aur ek hadees me nabi ï·º ne farmaya: sachhai neki taraf rehnumai karti hai aur neki jannat ki taraf le jati hai. Aur jhoot burai ki taraf le jata hai aur burai jahannam ki taraf le jati hai. 

(Sahih Bukhari 6094)


2): jub wada kare to Wade ke Khilaaf kare:

Wada khilafi bhi munafiq ki alamat hai kyu ke insan ki gair sanjidgi aur be-wafai ko Zahir karti hai. 

Allah ï·» ne farmaya: aur ahad ko pura karo beshak ahad ke bare me sawal kiya jayga. 

(Surah israeel 34)

Munafiq ke bare me Allah ï·» ne farmaya: aur unme se kuch wo hai jinhone Allah se wada kiya ke agar Allah ne hume apne fazl se nawaza to hum Sadqa karenge aur nek banenge, fir jub Allah ne unhe nawaza to wo bakheel ban gaye aur apne wade ke khilaaf ho gaye. 

(Surah tauba 75-76)


3): jub uske pas amanat rakhi jaye to khayanat kare: 

Amanat me khayanat karna munafiq ki badi alamat hai, kyu ke ye imandari ke khilaaf waezi aur buzdilana amal hai. 

Allah ï·» ne farmaya: beshak Allah tumhe Huqum deta hai ke amanat unke haqdaro ko pohchao.

(Surah nisa 58)

Amanat me khayanat ko munafiq ki sifat karar dete huwe Allah ne farmaya: unhone khayanat ki jubke Allah ne apne fazl se Rasool ï·º ke zariye unhe daulat se nawaza.

(Surah tauba 74)


Munafiq Aur Momin me Fark.

Nabi ï·º ne munafiq ki 3 sifat bayan karke musalmano ko khabardar kiya ke wo in amaal se bache, kyu ke ye tino sifat iman ke khilaf hai. Momin hamesha sach bolta hai, wada pura karta hai, amanat me khyanat nahi karta.


Note: 

ye hadees insan ko khud apne amaal ka Jayza lene ka moka deti hai, Qur'an aur hadees ki roshni me waze hota hai ke jhoot, wada khilafi aur khayanat aise gunah hai jo insan ke iman ko kamzor aur kirdar ko nuksan pohchate hai. Musalmano ko chahiye ke wo hamesha in sofato se door rahe aur hamesha sadiq, dayanat aur Wada wafai ke usoolo par amal kare. 

Post a Comment (0)
Previous Post Next Post