Kaaba Ki Tasveer Wale Musalle Par Namaz padhna kaisa Hai? Islamic Perspective

2.Question 


>: Ja-namaz wale musalle par agar kaba ki tasveer ya design ho to kya us par namaz ho jaygi? 


Answer:


>: Qur'an me Musalle par qabe ki tasveer ya design ko lekar koi seedha zikr nahi milta hai. Lekin Qur'an aur hadees me Hume kufr, shirk se bachne aur Allah ke samne khulus aur ikhlas ke sath ibadat karne ka huqum diya gaya hai. 


Allah ï·» ne farmaya: masjiden sirf Allah ke liye hai , to Allah ke sath kisi aur ko na fukaro. ( Surah jinn 18)


Is ayat se samajh ata hai ke ibadat me sirf Allah ki taraf tr awajjo honi chahiye, aur koi cheez jo tawajjo ko mutassir kare usse bachna chahiye. 


Nabi ï·º ne ek marta ek aisi chadar me namaz padhi jisme naksh the aur design bhi tha, namaz se farig ho kar nabi ï·º ne us chadar ko hata diya aur Farmaya: is chadar me naksh, design hai isne mujhe namaz se Gafil kar diya, amr bin huzaifa ko wo chadar wapas karwai aur simple chadar mangwai.( Sahih Bukhari 373)


Is hadees se wazeh hota hai ke tasweer ya aisi chize jo ibadat me khalal dalti hai usne parhez karna chahiye. 




Note: 


Tasweer ya design wale musalle ko istimal karne ke bajaye sada musallam istimal karna afzal aur zyada sawab ka sabab hai. Islam me ibadat ka matlab khulus aur Allah ke samne tawajjo se hai, is liye har wo cheez jo ibadat me khalal ka sabab bane usse door rehna chahiye. 

Post a Comment (0)
Previous Post Next Post