Hazrat Abu Sayeed khudri رضي الله أن se riwayat hai ke nabi ﷺ ne farmaya: jannati jannat me Dakhil honge aur jahannami jahannam me, fir Allah ﷻ farmayga: in logo ko jahannam se nikalo jin logo ke dilo me raai ke dane ke barabar bhi imaan hoga. Pas wo jahannami nikale jaynge halanke wo jal kar siyah ho chuke honge, fir inhe Hayat ya (zindagi) ke dariya me dala jayga, ( raavi maliq ko shak tha ke hayat kaha ya haya ) to wo is tarah ugne lagenge jaise dana sailab ke kinare ugne lagta hai, kya tumne nahi dekha ke wo zard rang ka muda hua ugta hai?
Wahib ne kaha hamse amr ne (al-hayat) yani zindagi ka zikr kiya aur kaha raai ke dane ke barabar bhi khair hoga.
Sahih Bukhari hadees 22
Ye hadees jannat, jahannam, aur Allah ﷻ ki rahmat par roshni dalti hai.
1. Jannat aur Jahannam:
Is hadees me jannat aur Jahannam ka zikr hai jo is bat ki dalil hai ke ye dono muqam insan ke amal ke mutabik hamesha ke liye hai.
Allah ﷻ ne farmaya: aur jo log Allah ﷻ se darte rahe unko giroh dar giroh jannat ki taraf laya jayga.
Surah zumar 73
Dusri jagah Allah ﷻ ne farmaya: Aur kafiro ko ko giroh dar giroh jahannam ki taraf laya jayga.
Surah zumar 71
2. Iman ki Ahmiyat:
Is hadees me raai ke dane ke barabar iman ka zikr hai, jo ye sabit karta hai ke Allah ﷻ ke nazdeek iman ki bohot zyada Ahmiyat hai chahe wo kitna hi mamuli chhota kyu na ho.
Allah ﷻ ne farmaya: jo zarra barabar bhi neki karega Allah ﷻ use dekhega.
Surah zalzalah 7
Nabi ﷺ ne farmaya: Jo La Ilaha illallah kahe wo jannat me dakhil hoga.
Sahih Bukhari 1186
3. Allah ﷻ ki rahmat aur magfirat:
Is hadees me Allah ﷻ ki bohot badi rahmat ka zikr hai, ke wo musalmano aur momino ko chahe unka iman kitna hi kamtar ho apni rahmat se dekhna chahe to dekh lega. Aur unki magfirat karega.
Allah ﷻ ne farmaya: aur meri rahmat ne har chiz ko gher liya hai.
Surah A'raf 156
Allah ﷻ ne farmaya: beshak Allah tamam gunaho ko maaf kar deta hai.
Surah zumar 53
Nabi ﷺ ne farmaya: Allah ﷻ ko apne bande ki tauba se , tum mese kisi aise insan ki nisbat kahi zyada khush hota hai, jo Gumshuda sawari ko sunsaan jagah pane par khush hota hai.
Sahih Muslim 6961/INT 2747
4. Hayat ka dariya:
Is hadees me nehar-ul-hayat ka zikr hai, isse ye pata chalta hai ke Allah ﷻ jahannamio ko bahar nikal kar dariya me daal kar dobara paak saaf karke nai zindgi dega.
Allah ﷻ ne farmaya: aur wo hame misaal deta hai aur khud apni paidaish ko bhul jata hai, kehne laga in haddiyo ko kon zinda karega Jo gal kar khatm ho gai hai, Qul yuhyiha allazi ansha'aha awwala marratin. Kehdo tumhe wo paida karega jisne tumhe pehli baar paida kiya.
Surah Yaseen 78.79
5. Sailab ke kinare dane ki misaal:
Ye misal bayan karti Hai ke Jo log Allah ki rahmat se mayus ho jate hai, unko mayus nahi hona chahiye, kyu ke Allah unko nai zindgi dene par qadir hai.
Allah ﷻ ne farmaya: aur tum zameen ko murda dekhte ho aur jub hum is par baarish barsate hai to wo ubharti, phoolti, khil-khilati hai aur har tarah ki behtreen chize ugane lagti hai.
Surah hajj 5
Nabi ﷺ ne farmaya: Allah ﷻ ne mujhe jo hidayat aur ilm ke sath bheja hai, uski misaal zabardast barish ki hai.
Sahih Bukhari 79
NOTE:
Ye hadees Allah ﷻ ki rahmat, iman ki Ahmiyat aur Allah ke azaab se bachne ke mauke ko samjhati hai, har musalman ko Chahiye ke wo apne iman ko mazbut banaye aur momin banne ki koshish kare, aur hamesha Allah ki rahmat aur magfirat ki ummeed rakhe, kyu Allah ki rahmat aur Gazab par Gaalib hai.