Nabi ﷺ ne farmaya:
jis shaks me ye 3 bate hongi wo iman ka maza pa lega,
1. Allah ﷻ aur nabi ﷺ uske nazdik sabse zyada mehboob ho.
2. Wo kisi bande se Sirf Allah ﷻ ke liye mohabbat kare.
3. Jise Allah ﷻ ne kufr se nijat di ho wo dobara kufr karene ko aisa bura samjhe jaise Aag me girne ko bura samajhta hai.
Sahih Bukhari hadees 21
Is hadees me 3 Nukaat hai hai. Ham in tino Nukaat ko quran or hadeeso ki dalilo se samajhne ki koshish karte hai.
1. Allah ﷻ aur uske rasool ﷺ ki mohabbat:
Iman ka sabse pehle aur buniyadi takaza ye hai ke insan Allah aur ke rasool ﷺ se sabse zyada (har chiz) se zyada mohabbat kare, quran me,
Allah ﷻ ne farmaya: keh dijiye ke agar tumhare walidain, tumhari aulad, tumhari biwiyan, tumhare rishtedar, tumhare maal jo tumne kamaye, tumhare karobar jike nuksan se tum darte ho, aur tumhare ghar jo tumhe pasand hai, ye sab Allah aur uske rasool ﷺ aur Allah ki raah me jihad se zyada aziz hai, to intizar karo yahan tak ke Allah tum par apna azaab le aye.
Surah tauba 24
Is Ayat se ye saaf ho jata hai ke Insan ke liye Allah aur uske rasool ﷺ ki mohabbat har chiz se zyada afzal honi chahiye, iske bina imaan kamil nahi ho sakta.
Nabi ﷺ ne farmaya: tum mese koi us waqt tak momin nahi ho sakta jab tak me uske liye uske walidain, aulad aur tamam logo se zyada mehboob na ho jaun.
Ye 15 number ki hadees Hum details me alhamdulillah Quran or sunnat ki roshni me explain kar chuke hai. Aap Sahih Bukhari 15 par touch karke wo post read kar sakte hai.
2. ALLAH ﷻ ke liye mohabbat karna:
Dusri shart ye hai ke insan har musalman ko apna bhai jane aur usse Sirf Allah ﷻ ki Raza ke liye mohabbat kare, na ke dunia ke fayde ya kisi or garz ki khatir.
Allah ﷻ ne farmaya: beshak sabhi momin apas me bhai bhai hai.
Surah hujurat 10
Ek aur hadees me nabi ﷺ ne farmaya: Qayamat ke din Allah ﷻ farmayga kahan hai wo log jo mere jalal ki wajah se Ek dusre se mohabbat Kiya karte the? Aaj me unhe apne saaye me jagah dunga, jis din mere saaye ke siwa koi saya na hoga.
Sahih Muslim 6548/INT2566
3. Kufr se nafrat aur use Aag ki tarah bura samajhna:
Iman ki lazzat hasil karne ki tisri shart ye hai ke insan kufr ko is tarah bura jane jis tarah aag me jalne ko samajhta hai, Allah ﷻ ne kufr ko sabse bada zulm karar diya hai.
Allah ﷻ ne farmaya: beshak shirk( kufr ) sabse bada zulm hai.
Surah luqman 13
Ek momin ka dil hamesha kufr aur shirk se bachne ki koshish karta rahta hai, aur wo har haal me iman par sabit kadam rahne ki koshish aur dua karta rahta hai.
Qur'an me Zikr hai: aye hamare Allah hamare dilon ko iman ke bad tedha na kar, aur hame apni taraf se rahmat ata farma.
Surah Al-imran 8
Nabi ﷺ ne farmaya: jo la ilaha illallah kehta hai aur kufr aur shirk se bacha rahta hai, wo jannat me dakhil hoga.
Sahih Muslim 130/INT 23
NOTE:
is hadees se hame ye sikhne ko milta hai ke iman ka asli maza tab hasil hoga jub hum in 3 chizo par amal karenge.
1. Allah ﷻ aur uske rasool ﷺ ki mohabbat sabse zyada ho.
2. Ham ek dusre se sirf Allah ki Raza ke liye mohabbat kare.
3. Ham kufr ko itna zyada bura samjhe jaise hum Aag me gir kar jalne ko bura samajhte hai.
Iman ki ye 3 sharte hame apne amal aur niyat ko Allah ﷻ ki Raza ke mutabik zindagi jine ka dars deti hai, take ham dunia aur akhirat me Kamyab ho sake.
Allah ﷻ hame apne iman ko mazboot karne aur iman ki asal Lazzat ko hasil karne ki taufiq naseeb farmaye. Ameen.