Hazrat Abu huraira رضي الله أن se riwayat hai ke nabi ﷺ se puchha gaya: kaunsa amal afzal hai? Aap ﷺ ne farmaya: Allah aur uske rasool ﷺ par iman lana, fir arz kiya gaya: uske baad kaunsa? Farmaya: Allah ki raah me jihad, arz kiya gaya: uske baad kaunsa? Farmaya: Hajj mabrur.
Sahih Bukhari 26
Ye hadees Hume 3 azeem amaal ki ahmiyat aur unki tarteeb bayan karti hai. Nabi ﷺ ke alfaaz se malum hota hai ke imaan, jihad aur Hajj mabrur sabse Afzal amaal hai.
1. Iman bil-lah aur uske rasool ki fazilat.
Imaan Deen ki buniyad hai aur tamam nek amaal ki qubuliyat ka daromadar isi par hai.
Allah ﷻ ne farmaya: aye iman walo Allah aur uske rasool ﷺ par imaan lao.
(Surah nisa 136)
Iman ki mazbooti ke bagair koi bhi neki Allah ke yahan qubool nahi hogi.
Nabi ﷺ ne imaan ke bare me farmaya: imaan ke 70 se zyada shobey hai sabse afzal LA ILAHA ILLALLAH kehna hai.
(Sahih Bukhari 9)
Iman ka takaza ye hai ke insan apne dil, zuban aur Amal se Allah aur uske rasool ﷺ ki itaat kare.
2. Jihad Fi sabeelilah ki Fazilat.
Jihad Deen ki sarbulandi ke liye ki jane wali koshish ko kehte hai
Allah ﷻ ne farmaya: Allah ki raah me jihad karo jaise jihad karne ka haq hai.
(Surah hajj 78)
3. Hajj-e-Mabrur.
Hajj-e-Mabrur aisa Hajj hai jo Allah ki Raza ke liye ho, aur isme koi gunah ya riya shamil na ho.
Allah ﷻ ne farmaya: Aur logo par Allah ke liye Hajj farz hai, jo iski isti'taat rakhta ho.
(Surah Al-imran 97)
Nabi ﷺ ne farmaya: jisne Hajj kia Aur is dauran koi fahash ya gunah na kiya, to wo aise lotega jaise maa ke pet se paida hone ke din tha.
(Sahih Bukhari 1521)
Hajj ka amal insan ke gunaho ko mita deta hai, aur insan ko jannat ka mustahiq banata hai.
Nabi ﷺ ne farmaya: Hajj-e-Mabrur ka badla sirf jannat hai aur kuch nahi.
(Sahih Bukhari 1773)
Note:
Ye hadees hame ye sikhati hai ke zindagi ke sabse Aham kaam wo hai jo Allah ki khushnudi Aur Deen ki sarbulandi ke liye kiye jaye, pehle imaan ko mazbut kare fir Deen ki hifazat ke liye jidd-o-jahad kare aur Akheer me apni ruhani islah aur qurbani ke zariye Allah ke kareeb hone ki koshish kare.
Ye amal na sirf dunia me kamyabi ka zariya hai balke Akhirat me bhi Aala darjaat ka sabab banenge.