Hazrat Umarؓ Ki Deen Mein Mazbooti: Sahih Hadith Ki Tafseer Aur Wazahat

 Nabi ﷺ ne farmaya: 

Mai ek waqt so raha tha maine khwab me dekha ke log mere samne pesh kiye ja rahe hai, aur wo kurte pehne huwe hai, kisi ka kurta seene tak, kisi ka isse nicha hai, fir mere samne Umar bin Khattab Laye gaye, inke badan par jo kurta tha ise wo ghaseet rahe the yani inka kurta zameen tak niche lamba tha, sahaba رضي ne pucha ya RasoolAllah ﷺ iski kya tabeer hai? Nabi ﷺ ne farmaya: isse Deen Murad hai.

Sahih Bukhari 23

Is hadees me nabi ﷺ ke ek khwab ka zikr hai jo Allah ﷻ ki taraf se wahi ki ek kism hoti hai, is khwab me kurte ko Deen ka istiara (symbol) banaya gaya hai, jo kurta chhota hai iska matlab hai Deen me kamzori ya iska kam darja, aur jo lambi hai wo Deen me mazbuti aur taqwe ki alamat hai, hazrat Umar رضي ke kurte ka zameen tak niche lamba hona unke Deen ki mazbooti aur taqwe ki alamat hai, ye Umar رضي ke buland martabe aur deen-dari ka sabut hai jo unhe Allah ﷻ ke nabi ﷺ ke nazdeek hasil tha.


Qur'an me Allah ﷻ ne farmaya: agar tum Allah ke Deen ki madad karoge to Allah tumhari madad karega aur tumhare yaqeen ko mazboot karega. 

Surah Muhammad 7

Hazrat Umar رضي ki zindagi is ayat ki behtreen tafseer hai, Islam kubul karne ke baad hazrat Umar رضي ne apni puri zindagi Allah ﷻ ke Deen ki madad aur usko Qayam karne ke liye laga di.


Ek hadees me nabi ﷺ ne farmaya: Agar mere baad koi nabi hota, to wo Umar bin Khattab hote.

Tirmizi 3686

Is Hadees se hazrat Umar رضي ki deen-dari Aur unka azeem martaba Zahir hota hai.

Ek aur hadees me nabi ﷺ ne farmaya: Allah ﷻ ne haq ko Umar bin Khattab رضي ki zuban par aur Dil par jaari kar diya hai. 

Tirmizi 3682

Ye hadees umar رضي ki Deen me samajh aur mazbuti ko wazeh karti hai. 


Aur is baat ko tamam ke tamam log taslim karte hai ke jub Hazrat Umar bin Khattab رضي ne Islam qubul kiya to Islam ko quwwat mili.

Nabi ﷺ ki Dua:  aye Allah islam ko un dono shaksho me se ek ke zariye quwwat de jo tere nazdeek zyada mehboob ho Abu jahal ya Umar bin Khattab.

Tirmizi 3681

Nabi ﷺ ne Allah ﷻ se Dua mangi to Allah ﷻ ne Hazrat Umar رضي ko Hidayat di Aur unke Islam qubul karne ke baad musalmano ne Deen ki tabligh zyada shiddat aur izzat ke sath karni shuru ki.

Hazrat Umar رضي ki khilafat me hi islamic State Sabse zyada badhi Aur Deen ka parcham bhi lehrata nazar aya.


NOTE:

ye hadees Hazrat Umar رضي ki Deen me mazbuti aur istiqamat ko Zahir karti hai, unka Martaba itna buland tha ke unka Har Amal Allah ke Deen ki tarakki aur izzat ka sabab Banta. Nabi ﷺ ke khwab ki tabeer ne ye sabit kar diya ke hazrat Umar bin Khattab رضي ka Talluk Allah ﷻ ke Deen ke sath Bepanah tha, Aur unka muqaam musalmano ke Liye Ek azeem Misaal hai.


Post a Comment (0)
Previous Post Next Post