Ek dafa nabi ï·º ek ansari shaks ke paas se guzre, is haal me ke wo apne ek bhai se keh rahe the ke tum itni sharm kyu karte ho? Aap ï·º ne is ansari se farmaya: isko iske haal par rahne do kyun ki Haya bhi Imaan ka hi ek hissa hai.
Sahih Bukhari 24.
Ye hadees Haya ki fazilat aur Ahmiyat ko wazeh karti hai.
Qur'an me Allah ï·» ne farmaya: aur jo log apni sharmgaho ki hifazat karte hai.
Surah mominoon 5
Ye ayat Haya ko momino ki sifat me bayan karti hai aur ye Zahir karti hai ke haya sirf zahiri sharm-o-haya nahi balke Akhlaqi aur ruhani pakizgi ka ek behtreen zariya hai.
Dusri jagah Allah ï·» ne farmaya: musalman aurto se keh do ke wo apni nigahe nichi rakhe aur apni asmat me fark na ane de, aur apni zeenat ko Zahir na kare aur apne girebano par odhniya dale rahen.
Surah Noor 31
Ye ayat ye Zahir karti hai ke haya ka Talluk dil aur amal dono se hai.
Nabi ï·º ne farmaya: imaan ke 70 se zyada shobe hai. Aur haya imaan ki hi ek shaakh hai.
Sahih Muslim 152 / int 35
Is hadees se ye wazeh hota hai ke haya ka Talluk imaan se hai aur Haya imaan ki mazbooti ki Alamat hai.
Ek aur hadees me nabi ï·º ne farmaya: Haya se hamesha bhalai paida hoti hai.
Sahih Bukhari 6117
Is hadees se ye maloom hota hai ke Haya insan ki zindagi ke tamam maamlat me bhalai ka zariya banti hai.
Hame Haya ki 3 kisme nazar Ati hai. Ham unko likh rahe hai.
1. Allah ï·» se Haya.
Ek hadees me nabi ï·º ne farmaya: Allah se Haya karo jaisa ke Usse Haya karne ka Haq hai.
Tirmizi 2458
Insan ko chahiye ke wo Allah se Haya kare, iska matlab ye hai ke insan Allah ki na-farmani se bache Aur apne Amaal me khasiyat-e-ilahi ko barkarar rakhe.
2. Logo se Haya.
Nabi ï·º ne farmaya: jo koi Allah aur akhirat ke din par imaan rakhta hai wo apne padosi ko taklif na pohchate.
Sahih Bukhari 6018
Is hadees se ye sabit hota hai ke insan ko apne padosiyo se bhi haya karni chahiye, Aur unke huqooq ka Aihteram karna chahiye. Unke gharo me Bina ijazat dakhil nahi hona chahiye aur apni nigah niche rakh kar apni sharmgaho ki hifazat karni chahiye.
3. Apne nafs se haya.
Insan ko apne nafs se bhi haya rakhni chahiye, ye is baat ki guarantee hai ke wo akele me bhi gunaho se bachega.
Note:
Ye hadees hame Haya ki ahmiyat aur haya ke imaan ke sath Talluk ko samjhati hai. Qur'an aur hadees se ye sabit hota hai ke haya ek aisa akhlaq hai jo insan ko har kism ki burai aur gunah se rokta hai. Hame chahiye ke ham apne kirdar me haya ko farog den. Aur ise apni zindagi ka lazmi hissa banaye take hum ek kamil momin ban sake.