25 Desember (Christmas) ko christian log hazrat isa alaihissalam ki paidaish ka din mana kar celebrate karte hai, ye fastival asal me Christianity ke ek Aqide (doctrine) par mabni hai, jo unhe hazrat isa alaihissalam ko Allah ka beta samajhne par majbur karta hai. (Ma'az Allah). Islam ki nazar me ye Aqidah shirk (Allah ke sath kisi ko sharik therana) ke dayre me ata hai. Aur shirk Islam me sabse bada gunah hai.
Is liye musalmano ke liye christmas ki badhai dena ya is tyohar me hissa lena shariyat ki roshni me Haram hai.
Allah ï·» ne farmaya: Aur ye kehte hai, rehman ne beta banaya hai, tumne badi hi galat aur buri baat ki. ( Surah Maryam 88-89)
Allah ï·» ne farmaya: beshak Allah shirk ko Kabhi Maaf nahi karega, aur iske siwa jo chhote gunah hai chahe to maaf kar dega. (Surah nisa 48)
Christmas ki badhai dena goya ek aise Aqide ki tasdeeq karna hai jo shirk par mabni hai, ye gunah Allah ke nazdeek intihaai nafrat kaash hai.
Allah ï·» ne Qur'an me mushrikeen aur unke Aqide ke mukhtalif ka huqum diya hai.
Allah ï·» ne farmaya: aur un logo ki taraf mat jhukna jo zulm karte hai, warna tumhe bhi Aag chhu legi. (Surah hud 113)
Is ayat me zulm ka zikr hai. Yani jo shirk karte hai. Allah ke alawa kisi or ki ibadat karte hai, wahi zulm hai. Aur Allah ne warning di hai ke unki taraf mat jhukna. Jhukne se Murad hai un jaise mat bano. Yani musalmano ka Christmas celebrat karna ya badhai dena zulm ke kaam me madad dena hai. Jo haram hai.
Nabi ï·º ne farmaya: jisne kisi Qom ki musabihat ikhtiyar ki wo unhi mese hoga. (Abu Dawood 4031)
Is Hadees se ye wazeh hota hai ke agar koi christmas ya kisi aur mazhabi ki badhai deta hai ya usme sharik hota hai ya unki madad karta hai. To wo unhi mese hai musalmano mese nahi.
Imam Ibn Qayyim (ra) likhte hai: kisi mushriko ke gair islami tyohar ki mubarakbad-baad dena haram hai, jaise ke christmas ki badhai dena, ye ek aise gunah ke barabar hai jaise koi insan Islam ko reject karne ka izhar kare. ( Kitaab madarij as-salikeen)
Allah ï·» ne farmaya: aur jo shirk karega, beshak Allah ne us par jannat haram kardi, aur uska Thikana jahannam hai. ( Surah maida 72)
Note:
Musalmano ke liye zaruri hai ke wo apni pehchan aur Aqide ko mazbut rakhe aur kisi bhi shirk ya qufr ke Aqide ke hissedar na bane, christmas ya kisi gair-islami tyohar ki mubarakbad dena, Islam ke buniyadi Aqide-e-tauheed ke khilaaf hai, musalmano ko chahiye ke wo isse door rahe, aur sirf Allah ke huqum aur nabi ï·º ke tarike par amal kare.