Deen Mein Asani Aur Ibadat Mein Itidal – Sahih Bukhari Hadees No. 20 Ki Tafseer

 Nabi ﷺ jab logo ko kisi kaam ka hukm dete to wo aisa hi kaam hota jise karne ki logo me takat hoti, is par sahaba رضي ne arz kiya ke ya Allah ke nabi ﷺ Ham log to Aap jaise nahi hai, aap to masoom hai, aur aap ki Allah ﷻ ne sab agli pichli lagzishe maaf farma di hai, is liye hume apne se kuch zyada ibadat ka hukum farma dijiye, ye sun kar nabi ﷺ naraz ho gaye, aur Farmaya: me tum sabse zyada Allah se darne wala hun, aur tum sabse zyada Allah ko janne wala hun, pas tum mujhse badh kar ibadat nahi kar sakte.

Sahih Bukhari hadees 20.

Is Hadees ko tafseel se samajhne ki koshish karte hai.

Allah ﷻ ne Quran me baar-baar farmaya hai ke Deen me asani Paida ki gai hai, take is par insan asani se amal kar sake, 

Allah ﷻ ne farmaya: Allah tum par asani chahta hai, tum par tangi nahi chahta.

Surah Al-Baqarah 185

Allah ﷻ ne farmaya: Allah ne tum par Deen me koi tangi nahi Kari.

Surah hajj 78.

Nabi ﷺ ka amal quran ke mutabik tha, aur Aap ﷺ logo ko aise amal ka hukm dete jo unki takat ke mutabik hota tha, take wo Deen ko apni zindagi me shamil kar sake aur is par asani se amal kar sake. Us waqt sahaba رضي ko itna zyada asan lagta tha Deen par amal karna ke wo chahte the ke unko aur zyada amal ka hukm diya jaye. Aur Aaj ke waqt me musalmano ko Deen par amal karna itna mushkil lagta hai mano jaise unse unki zindagi hi chhin jaygi.


Zyada ibadat.

Zyada ibadat ki khwahish achi hai lekin insan ki takat se zyada hone se nuksan hota hai.

Nabi ﷺ ne farmaya: Deen ghulu (zyadti) se bacho, kyu ke tumse pehle ke log Deen me ghulu ki wajah se halaq ho gaye.

Abu Dawood 4608


Nabi ﷺ ki Narazgi.

Sahaba رضي ki niyat me koi shak nahi hai, lekin unki soch ye thi ke zyada ibadat karne se wo nabi ﷺ ke aur kareeb ho sakenge, Nabi ﷺ ne farma kar ye wazeh kar diya ke ibadat ki kasrat se zyada ahmiyat iski kaifiyat aur ikhlas ki hai.

Nabi ﷺ ne farmaya: beshak Allah ﷻ tumhare Amaal ko us waqt tak qubul nahi karta, jab tak wo khasil nahi ho, sirf Allah ﷻ ki Raza ki khatir na ho.

Sunan nissai 3142


Is Hadees me nabi ﷺ ne Allah ﷻ ki khasiyat ko bhi bayan kiya hai.

Allah ﷻ ne farmaya: kya ilm wale aur be-ilm wale barabar ho sakte hai?

Surah zumar 9

Dusri jagah Allah ne farmaya: take Allah ﷻ apke agle aur pichle gunaho ko maaf farma de aur Aap par ne-mato ko mukammal karde.

Surah fatah 2

Nabi ﷺ ki ye ma'rifat Unhe puri Ummat ke liye behtreen rehnuma banati hai, kyu ke nabi ﷺ ne hamesha aitedal ko tarjih di aur ummat ko bhi yahi sikhaya.


Nabi ﷺ ne farmaya: sabse Acha amal wo hai jo hamesha kiya jaye, bhale hi kam hi kyu na ho.

Sahih Bukhari 6464.

Is Hadees me nabi ﷺ ne Wazeh kar diya hai ke Ibadat ka maksad apne dil ko paak karna, Allah ki Raza Hasil karna hai, jo ki hamesha karte rahne se hota hai, zyada amal karne se nahi, kyu ke zyada amal karna insan ke liye mushkil hai, jo ki hamesha nahi ho sakta.


NOTE: 

1. Apni takat ke mutabik amal kare.

Deen Islam ibadat me asani aur aitedal ka Deen hai, zyada sakhti insan ko mayus kar sakti hai. Lekin iska ye matlab nahi ke insan duniavi kamkaj, mahol, rishte,ya karobar ki wajah se apne Deen ko jante bujhte bhi amal na kare. Amal quran hadees par mukammal hona chahiye. Ye unke liye hai jo Deen ko nahi jante jitna jante hai utna amal karne ki koshish karte hai, fir sikhte hai aur fir amal me late hai, un logo par ek sath sakhti bilkul na ki jaye.

2. Sirf Allah ki Raza ki khatir Amal kare, kyu ke Allah ﷻ unhi amal ko qubul karta hai jo sirf aur khalish Allah ke liye hote hai, aisa nahi ke insan ko koi pareshani ai ya musibat ayi to usne Allah ki taraf rukh kar liya aur pareshani musibat door ho gai to fir Allah ko bhul gaya. Nahi. Balke Allah pareshani dekar insan ko apni yaad dilata hai ke mere bande tujhe moka de raha hu sudhar ja.

3. Koi khaas amal jo insan roz kar sake, bhale hi wo chhota ho insan ko apni zindagi me bandh Lena chahiye, jo khalis ho Allah ki Raza ke liye ho aur hameshaa kiya jaye. Allah ﷻ ke khauf ko yad karna chahiye kyu ke Uski kudrat aur uska dar insan ke dilo ko naram karte hai.

Allah ﷻ ham sabke quran or sunnat par mazbooti se amal karne ki taufiq naseeb farmaye.

Ameen.


Post a Comment (0)
Previous Post Next Post