Hazrat Abdullah bin amr رضي الله أن se riwayat hai ke ek shaks ne nabi ﷺ se puchha: Islam me konsa amal sabse behtar hai?
Nabi ï·º ne farmaya: kisi ko khana khilana aur Salam kehna chahe tum use jante ho ga na jante ho.
Sahih Bukhari 28
Ye hadees akhlaqi aur muashrati Ahmiyat ko ujagar karti hai, is me 2 bade Amaal ka zikr kiya gaya hai.
1. Khana khilana:
Mohatajo, miskino aur aam logo ko khana khilana muashrati ta'awun aur sakhawat ki alamat hai, ye Islam ki wo talimaat hai jo garibi ka khatma karti hai, aur insani hamdardi ko farog deti hai.
2. Salam Aam Karna:
Salam musalmano ke darmiyan mohabbat, sakhawat aur Aman wa sukoon ko badhane ka zariya hai. Salam karne se dilo me narmi paida hoti hai aur dushmani khatm hoti hai.
Allah ï·» ne farmaya: aur wo Allah ki mohabbat me miskin, yateem aur kaidiyon ko khana khilate hai.
(Surah ud-dahar 8)
Is ayat se maloom hota hai ke Allah ke nazdeek khana khilane ka amal intihaai mehboob hai, khaas kar un logo ko jo zarurat-mand ho.
Allah ï·» ne farmaya: aur jub tumhe salam kiya jaye to usko behtreen Salam karo, ya kam az kam us jaisa hi keh do.
(Surah nisa 86)
Nabi ï·º ne farmaya: tum Jannat me dakhil nahi ho sakte jub tak iman na lao, aur tum iman nahi la sakte jub tak apas me mohabbat na karo, kya me tumhe wo amal na batau jisse tum mohabbat karne lagi? Apne darmiyan Salam ko Aam karo.
Sahih Muslim 194/ int 54
Amal:
- Ye hadeese hame sikhati hai ke muashre me Aman wa sukoon aur mohabbat ko aam karne ke liye amali koshish zaruri hai, jaise Salam ko Aam Karna, zarurat-mando ki madad karna.
- Khana khilane ki taleem garibo aur mohatajo ki madad par zor deti hai, ye amal na sirf ajar ka bais banta hai balke muashrati Oonch-neech ko bhi kam karta hai.
- Salam ke zariye ajnabi logo se bhi tallukat banaye ja sakte hai, aur muashre me ek khush gawar mahol Qayam hota hai.