Fitno Se Bachne Ki Hadees: Sahih Bukhari Hadees No. 19 Ki Tafseer Quran Aur Hadees Ki Roshni Mein

Nabi ï·º ne farmaya:

Ek waqt ayga jab fitno ka daur hoga, aur har musalman ke liye apne iman ko bachana mushkil hoga, aise me insan ka sabse behtarin maal uski bakriyan hongi, jinhe lekar wo pahado ki chotiyan, aur door daraz wadiyon me chale jaynge, take fitno se mehfooz rahkar apne iman ko bacha sake.

Sahih Bukhari hadees 19


Ye hadees is bat ki taraf ishara karti hai ke Jab Qayamat kareeb hogi to fitne aur azmaishe bohot badh jayngi.

Allah ï·» ne farmaya: aur us fitne se bacho jo tum mese sirf zalim logo ko hi nahi lagega.

Surah anfal 25.

Ye ayat is baat ko saaf bayan karti hai ke fitno ka asar puri qaum par hota hai, aur musalmano ko chahiye ke wo fitno se bachne ki koshish karen.

Is Hadees me pahado aur wadiyon ka zikr ye batata hai ke Musalman fitno se door rahne ke liye aise mahol me Jana pasand karenge Jahan wo apne iman ko mehfuz rakh sake.

Bakriyan dunia ka ek aisa maal hai jo fitno se door rahne me madad deti hai, nabi ï·º ke zamane me bakriyan rozi ka zariya thi, isse ye bhi bar samjhi ja sakti hai ke musalman aise kaam kare jiska wo khud Malik ho. Jisse fitno se bachna asan ho sake.

Allah ï·» ne farmaya: aiye iman walo apne aap ko aur apne ghar walo ko us aag se bachao jiska inghan insan aur patthar hai.

Surah at-tahreem 6

Isse pata chalta hai ke har musalman ko khud ko aur apne ghar walo ko fitno se bachane ki koshish karni chahiye, fitno se mehfooz rahne se imaan ko bachaya ja sakta hai, warna Allah ne us Aag ka zikr kiya hai jo insano aur pattharo se bhadkai gai hai.


Fitno se door rahne ki nasihat.

Allah ï·» ne farmaya: aur jab tum dekho ke log quran ke mutallik behuda bat kar rahe h to unse door ho jao.

Surah an'aam 68

Ye ayat saaf Zahir karti hai ke fitno se behas nahi karni chahiye.


Hadees me ata hai.

Nabi ï·º ne farmaya: ek waqt Aisa ayga ke musalman ka behtreen maal bakriyan hongi, jinhe lekar wo fitno se bachne ke liye, pahado aur jangalo me chala jayga.

Sahih Bukhari-7088

Nabi ï·º ne farmaya: khushnaseeb hai h wo insan jo fitno se bach gaya, aur jo fitno me mubtala hua fir usne sabr kia to uske liye khush-khabri hai. 

Abu Dawood -4263


Note: 

Ye hadees 3 bato par amal karne par hai.

1. Iman ki hifazat, 

Fitne ke waqt insan ko chahiye ke khud bhi bache aur apne ghar walo ko bhi bachaye, agar zaroorat pade to fitno se bachne ke liye hijrat bhi karna chahiye, 

2. Sadgi.

Bakriyan palne ka zikr sadgi aur dunia ki khwahishat se door karna sikhata hai, aaj ke daur me iska matlab ye bhi ho sakta hai ke insan kam maali khwahishat ke sath zindagi jiye.

3. Fitno se door.

Aise mahol se door rahna chahiye, jahan Allah ke Deen par amal karna mushkil ho, ya iman ko khatra ho.

Qur'an aur hadees Hume ye talim dete hai ke agar fitno ke halat ho, to iman ko mehfuz rakhne ke liye, har mumkin koshish karna farz hai, chahe iske liye dunia ki zarurato ki chizo ko chhodna pade.


Post a Comment (0)
Previous Post Next Post