Islam Me Walima Ka Tareeqa Aur Ahmiyat

 Walima

Walima Islam ki ek aham sunnat hai, jo shadi ke waqt Khushi ka izhar aur Allah ki di hui nemato ka shukr Ada karne ke liye kiya jata hai, walime ka maksad shohar aur biwi ke rishte ko tamam logo me Zahir karna hota hai, dosto, rishtedaro, garibo, miskino ko shamil karna aur khair o barkat ki dua lena hota hai.

Allah ï·» ne mehman nawazi ko bohot hi behtreen amal karar diya hai, lekin walime ka zikr saaf Alfazon me quran me nahi hai, lekin kuch hidayat milti hai.

Allah ï·» ne farmaya: aur nek log Allah ki mohabbat me miskin, yatimo, aur kaidiyon ko khana khilate hai

Surah duhar 8

Ye ayat mehman nawazi aur dusro ko khilane ki fazilat bayan karti hai.


Walime ki Sunnat:

Hazrat anas رضي الله أن وردة se marvi hai ke nabi ﷺ Abdur Rahman bin auf رضي الله أن وردة ke hatho me zard rang ka Nishan dekha to pucha, ye kya hai? To unhone kaha, maine ek ansari aurat se shadi ki hai aur mehar me sone ki guthli di hai. Nabi ﷺ ne farmaya: Allah tumhare nikah me barkat de Walima karo, khwah ek bakri ke sath hi kyu na ho.

Sahih Bukhari 2048.


Walime ka Tarika: 

1. Walima nikah ke bad kiya jata hai,ye sunnat hai ke pehle shohar - biwi tanhai ikhtiyar karen aur iske bad walima kare.

2. Walime me fizul kharchi aur dikhawe se bachte hue mehmano ki dawat karni chahiye, aur dawat ka intizam bhi Deeni aur akhlaqi hona chahiye.

3. Walime me rishtedar, dost, ahbab, aur Gareeb, miskin yatimo ko bulaya jaye take sab par Allah ki nemat ka asar ho. Aur Allah ï·» khush ho.

Nabi ï·º ne farmaya: sabse bura khana wo hai jo walima me pesh kiya jaye, jahan zarurat-mando ko bulaya nahi jata aur amiro ko dawat di jati hai. 

Sahih Muslim 1432


Note: 

Walime ka maksad Islam ki talimaat ko zinda karna hai, na ke dunia ko dikhawa karna.

Apni haisiyat ke mutabik walima karna chahiye, jisme garib miskin zarurat-mand shamil ho, jisse Allah ki Raza Hasil ki ja sake.

Walima Allah ke nabi ï·º ki sunnat hai, isme har insan ko sadgi khuloos aur nemato ke Liye Allah ï·» ka shukr karna chahiye.

Allah ï·» hame quran or Sunnat par amal karne ki taufiq Ata farmaye.

Ameen.

Post a Comment (0)
Previous Post Next Post