Ramzan me nabi ﷺ ki sakhawat aur jibraeel alaihissalam ke sath quran ka daur.

 Nabi ﷺ sab logo me sabse zyada jawad (sakhi) the aur ramzan me dusre auqat ke mukable jub jibraeel alaihissalam aap ﷺ se milte, to bohot hi zyada jood o karam farmate. Jibraeel alaihissalam ramzan ki har raat me Aap ﷺ se mulakat kiya karte the, aur nabi ﷺ unke sath quran ka daur kiya karte the, garz nabi ﷺ logo ko bhalai pohchane me barish lane wali hawa se bhi zyada jood o karam farmate the.

Sahih Bukhari hadees no 6

Is hadees ko hum 4 hisso me samajhne ki koshish karte hai.


1. Hissa nabi ﷺ sab logo me sabse zyada sakhi the.

Ye hissa nabi ﷺ ki sakhawat ko bayan karta hai ke nabi ﷺ me har insan ke sath sakhawat karne wali Aam khubi thi. Jo hamesha logo ke sath sakhawat kiya karte the, aur jab ramzan ka mahina ata to Aap ﷺ ki sakhawat aur bhi zyada urooj par pohach Jaya karti thi. 

Quran me Allah ne sakhawat aur sadqa ke bare me farmaya hai: 

Tum hargiz neki ko nahi paa sakoge ke jab tak tum apni pasandida chizo ko Allah ke liye kharch na kardo.

Surah al-e-imran 92

Is ayat se ye pata chalta hai ke sakhawat ek bohot Azeem neki hai aur nabi ﷺ is Amal ko karne walo me sabse Azeem the, kyu ke nabi ﷺ sirf maal hi nahi balke apna waqt, apni mehnat, apna ilm bhi dusro ke liye waqf kar diya karte the.


Ek hadees me bhi hame ye milta hai ke.

Nabi ﷺ se jo chiz bhi mangi gai, aap ﷺ usko kabhi mana nahi Kiya karte the.

Sahih Bukhari 6034


2. Ramzan me nabi ﷺ bohot zyada jood o karam Farmaya karte the.

Ramzan ke mahine me nabi ﷺ ki sakhawat aur nikoyo me bohot zyada izafa ho jaya karta tha, 

Iski wajah ye thi ke ramzan ke mahine ki apni khaas fazilate hai, is mahine ka moka pa kar nabi ﷺ Allah ka qurb hasil karne ki poori koshish Kiya karte the. 


Allah ﷻ ne quran me farmaya:

Ramzan wo mahina hai jisme quran ko nazil Kiya Gaya.

Surah Al-Baqarah ayat 185


Is ayat me Allah ﷻ ramzan ke mahine ka is tarah zikr kar raha hai ke jisse ye sabit hota hai ke ramzan ka mahina bada mukaddas aur barkato wala mahina hai. Isi wajah se Allah ﷻ ne quran ko nazil ramzan ke mahine me hi Kiya.

Yani ramzan ek bohot badi azmat wala mahina hai, aur nabi ﷺ is mahine me apni nekiya aur ibadat ko mazeed izafe ke sath badha diya karte the.

Hadees me aya hai ke. Nabi ﷺ ne farmaya: jo shaks ramzan ke mahine me sawab ki niyat rakh kar qiyam karta hai to Allah ﷻ uske guzre hue gunaho ko maaf kar deta hai.

Sahih Bukhari 37


Ramzan ke mahine me. Nabi ﷺ khud hi bohot zyada ibadat, quran ki tilawat aur sadqa dene me bohot mashroof rahte the.


3. Jibraeel alaihissalam ramzan ke mahine ki har raat nabi ﷺ se mulakat kiya karte the.

Is hisse me ye bataya gaya hai ke ramzan ke mahine me Jibraeel alaihissalam ka nuzul hua karta tha, aap ﷺ jibraeel alaihissalam ke sath quran ka daur kiya karte the.


Quran me Allah ﷻ ne farmaya: rooh-ul-ameen yani jibraeel alaihissalam Aap ke Dil par nazil hue, take Aap logo ko Allah ﷻ ka dar sunane walo me shamil ho jaye.

Surah ash-shu'rah Ayat 193,194


Jibraeel alaihissalam Quran ke pehle moallim the, aur ramzan me aap ﷺ ke paas aa kar quran ka daur is wajah se karwaya karte the, take Quran ki yaad dihani ho jaye, aur quran ki tarteeb ko mazboot kiya ja sake.


Hadees me ata hai, ke nabi ﷺ ramzan me Jibraeel alaihissalam ke sath har saal quran ka daur kiya karte the, aur wafaat se pehle Aap ﷺ ne do martaba daur kiya.

Sahih Bukhari 4998


Ye Hadees is baat ki dalil hai ke nabi ﷺ ki zindagi ka ek mustakil hissa tha ramzan me quran ka daur karna. 


4. Nabi ﷺ logo ko bhalai pohchane me barish lane wali hawa se bhi zyada jood o karam farmate the.

Ye hissa nabi ﷺ ki sakhawat karne ki intensity ko barish lane wali hawa ki misaal dekar bayan karta hai, ke barish jub hoti hai to har taraf haryali aur tazgi chha jati hai.


Quran me Allah ﷻ ne farmaya: 

Jo kuch tum Allah ki raah me kharch karte ho Allah use badhata hai.

Surah Saba ayat 39.

Is ayat Hume ye samjhati hai ke Allah ﷻ ki raah me kharch karne se kami nahi ati, chahe wo maal ho, ya waqt, husn e sulook, ya zubani kalaam.

Balke usme barkat hoti hai Allah ﷻ apni rehmat se usko badha deta hai.

Aur nabi ﷺ ki sakhawat is Ayat ka ek behtreen namoona hai.


Ek hadees me nabi ﷺ ne farmaya: 

Upar Wala hath niche Wale hath se behtar hai.

Sahih Bukhari 1427


Yani ke Allah ﷻ sabse behtreen Ata karne wala hai, is hadees se ye bhi pata chalta hai ke Allah ﷻ se hi Har chiz ki talab rakhni chahiye aur usi se mangni chahiye. Kyu ke wo behtar dene wala hai. 


Note: 

Ye hadees nabi ﷺ ke ramzan ke mahine me Karne wale amal ke mayar ko samjhati hai, ye batati hai ke aap ﷺ ki sakhawat aur quran ke sath Aap ﷺ ke talluk, aur jibraeel alaihissalam ke sath nabi ﷺ ka quran daur karna Hume sikhata hai, ke hume bhi ramzan me ibadat, sakhawat, aur quran ki tilawat karne ka khaas ahtemaam karna chahiye, 

Is hadees me sirf ye nahi bataya ke ramzan fazilat wala mahina hai, balke ye bhi bataya ke nabi ﷺ ki seerat ko apni zindagi me utarne ki koshish har musalman ko karni chahiye.



Post a Comment (0)
Previous Post Next Post