Quran Ki Hifazat Aur Rasool ﷺ Ki Wahi Ke Sath Tawajjo.

 Unhone ibn e Abbas رضي الله أن وردة se kalaam e ilaahi, Laa tuharrik bihi, ki tafseer ke silsile me suna: ke Nabi ﷺ wahi ke nuzul ke waqt bohot sakhti mehsoos kiya karte the, aur uski Alaamato me se ek ye Alamat thi ke wahi ke nuzul ke waqt nabi ﷺ apne honth hilate the. 

Ibn e Abbas رضي الله أن وردة ne kaha ke mai apne honth hilata hun jis tarah nabi ﷺ honth hilate the. 

Saeed kehte hai, Mai bhi apne honth hilata hu jis tarah ibne Abbas رضي الله أن وردة ko maine honth hilate dekha hai, fir unhone apne honth hilaye, ibn e Abbas رضي الله أن وردة ne kaha: fir ye ayat nazil hui, 

Aye Mohammad ﷺ quran ko jaldi yad karne ke liye apne honth na hilao, iska jama karna aur padha Dena hamara zimma hai. 


Hazrat ibn e Abbas رضي الله أن وردة kehte hai ke iska matlab nabi ﷺ ke dil me quran ko jama karna aur padha Dena Allah ﷻ ka zimma hai, fir jab hum padh chuke to us padhe hue ki ittiba karo. Ibn e Abbas رضي الله أن وردة iska matlab ye hai ke aap khamoshi ke sath sunte raho, uske baad iska matlab samjha dena hamare zimme hai, fir yaqeenan ye hamari zimmedari hai ke aap isko mehfooz kar sako.

Fir iske baad jub jibraeel alaihissalam Nabi ﷺ ke paas wahi lekar aate the to Nabi ﷺ tawajjo se sunte the, fir jub jibraeel alaihissalam chale jate to aap ﷺ usi tarah padhte the jis tarah jibraeel alaihissalam padte the.

Sahih Bukhari hadees no 5.


Khulasa: 

Is hadees me quran ke nuzul aur nabi ﷺ ke quran ko yaad karne ke bare me bataya gaya hai. Is hadees ko hum thoda aur details me samajhne ki koshish karte hai. 


1. Wahi ka nuzul aur nabi ﷺ ki khasiyat.

Jab nabi ﷺ par wahi nazil hoti thi to iski sakhti bohot zabardast hua karti thi to iska tajurba nabi ﷺ ko hua karta tha, is hadees me ye bataya gaya hai ke nabi ﷺ quran ko yad karne ke liye wahi ke dauran hi apne honth hilaya karte the, take quran ko usi waqt yaad kar liya jaye, 


Quran me Allah ﷻ ne farmaya, apni zuban ko mat hilao, beshak iska jama karna aur padhana hamara zimma hai, jab hum isko padh chuke tab tum iski pairvi karo, fir iski wazahat bhi hamare zimme hai.

Surah al-qiyamah 16,17,18,19

Yani Nabi ﷺ ko quran yaad karwana, samjhana, aur mehfooz karna In sabhi ki zimmedari Allah ﷻ ne li hai, 

Nabi ﷺ ko huqum dia gaya ke jibraeel alaihissalam jub qurat padhe to aap use khamoshi se suno, uske baad aap uski pairvi karo.

Yahan quran ki hifazat ka zimma Allah ne liya hai. Ye is baat ki dalil hai.


2.hadees me hazrat ibn e Abbas رضي الله أن وردة bayan karte hai ke Allah ﷻ ne nabi ﷺ ko is baar ki tasalli di ke Aap iski fikr na kare, quran ko apke dil me mehfooz karna Allah ﷻ ki zimmedari hai.

Yani Allah ﷻ ne nabi ﷺ ke liye Aasani ki ke aap wahi ke waqt aad karne ki koshish par bharosa na kare.

Yani ke ye baad wahi ki azmat ko Zahir kiya gaya hai ke Allah ke quran ko aur iske mayno ki hifazat Allah ﷻ khud karega. 


3. Jibraeel alaihissalam ke chale Jane ke baad nabi ﷺ qirat ko bilkul usi tarah doharaya karte the jis tarah jibraeel alaihissalam padhte the.

Hazrat Ayesha رضي الله أن وردة bayan karti hai: wahi ki pehli halat khwab ki shakal me thi, jo bhi khwab me Allah ﷻ unko dikhta wo sach sabit hota tha, fir jibraeel alaihissalam nazil hone lage jo wahi lekar ate, aur nabi ﷺ usko yaad kiya karte the.

Sahih Bukhari hadees no 4953


Kuch Nukaat:

1.Allah ﷻ ne khud quran ki hifazat ka wada farmaya hai, jaisa ke quran me hai: 

Beshak hamne ye Quran nazil Kiya hai aur hum hi iske muhafiz hai.

Surah Al-hijt ayat 9


2. Nabi ﷺ ki itaat. 

Wahi ke waqt mukammal khamoshi ikhtiyar karke wahi ko tawajjo dekar sunna, 

Ye nabi ﷺ ke wahi ke sath bohot gahre talluk ko Zahir karta hai. 


3. Allah ﷻ ne ye bhi wada kiya hai ke quran ke mayne aur aur iske paigam ko wazeh karke samjha dena bhi Allah ﷻ ki hi zimmedari hai, 

Isi wajah se nabi ﷺ ne Nabi ﷺ ne quran ke Ek ek Alfaaz ko usi tarah yaad kiya jis tarah jibraeel alaihissalam Aap ﷺ ko sunaya karte the, aur quran ki tashreeh bhi tamam logo ko faraham farmai.


Note: 

Ye Hadees Hume quran ki nuzul ke waqt ki ahmiyat batati hai, aur nabi ﷺ ka wahi ke sath kitna dhyan se tawajjo dekar usko suna hai, isse ye pata chalta hai ke quran ko khamoshi ke sath bohot dhyan aur tawajjo dekar Sunna chahiye, iske sath ye hadees is baat ki bhi dalil hai ke Allah ﷻ ne quran ko mehfuz rakhne ki zimmedari khud li hai, 

Is hadees se sabse important ye sabak hasil hota hai, ke quran ko bohot hi tawajjo ke sath aur khamosh rah kar sunna chahiye aur sunne ke baad usko samajhne ki koshish karni chahiye, aur fir us par amal karne ki koshish karni chahiye. 





Post a Comment (0)
Previous Post Next Post