Muslim aur Muhajir ki Pehchaan – Sahih Bukhari Hadees No. 10 ka Tafseelat Se Bayan

 Nabi ﷺ ne farmaya:

Musalman wo hai, jiski zuban aur hath se musalman mehfooz rahe, aur muhajir wo hai jo in kamo ko chhod de jinse Allah ne mana farmaya hai.

Sahih Bukhari hadees no 10

Ye hadees nabi ﷺ ki jaami talimaat me se ek hai jo Allah ﷻ ke Deen ke amal karne wale aur akhlaqi pehluo par nazar dalti hai.


Is hadees ko hum 2 hisso me samajhne ki koshish karte hai.

1. Musalman.

Nabi ﷺ ne farmaya: Musalman wo hai, jiski zuban aur hath se musalman mehfooz rahe.

Isme 2 alfaz hai, zuban aur hath.

Zuban: 

Zuban ke zariye logo ko takleef Dena Islam me bohot bada gunah hai, isko kabira gunaho me rakh gaya hai. Jhut bolna, gibat, chugli, kisi par ilzaam lagana, aur aisi bate karna jinse logo ko taklif ho.

Jabki musalman ki zuban mohabbat, khairkhwahi, aur narmi ka zariya banni chahiye.

Allah ﷻ ne farmaya: aur logo se baat karo to achi baat karo.

Surah Al-Baqarah 83


Aur nabi ﷺ ne farmaya: jo shaks Allah ﷻ aur Qayamat par iman rakhta ho to wo acchi baat kare, ya khamosh rahe.

Sahih Bukhari 6475

2. Haath: 

Kisi ko hath  se nuksan pohchana, chori, maar-peet, ya dusro ki chizo par kabza kar lena, Islam me sakhti se Haraam hai, sahaba رضي aur tabieen hamesha dusro ki bhalai kiya karte the, kisi ko taklif pohchane se bohot zyada parhez kiya karte the.

Kisi musalman ka iman tab tak mukammal nahi hoga jabtak wo apni zuban aur hath ko dusro ko taklif aur nuksan Dene wali chizo se mehfuz na rakhle.


2.Hadees ka dusra hissa hai muhajir.

muhajir wo hai jo in kamo ko chhod de jinse Allah ne mana farmaya hai.

Jub Deen ka shuruati daur tha tab Allah ke Deen ki khatir sahaba رضي Makka se madina hijrat kar liya karte the. Lekin is hadees me hijrat ko Alag mayno me bayan kiya gaya hai, asal muhajir wo hai jo gunaho ko chhod kar Allah ﷻ ke raste par chalna shuru karde.

Gunao se bachna: 

Allah ﷻ ne farmaya: aur khuli aur chupi Be-Hayai ke kareeb bhi mat jao.

Surah an-am 151

Dusri jagah Allah ﷻ ne farmaya: aur sharab, jua, buto ki puja, aur faal ke teero se bacho.

Surah ma'idah 90


Ek hadees me nabi ﷺ ne farmaya: kaamil momin wo hai jiska akhlaq sabse behtreen ho.

Sahih Bukhari 3559

Muhajir sirf wo nahi jo zahiri amal karta ho, asal muhajir wo hai, jiske Zahir aur baatin dono nek aur parhezgar ho. Yani uske amal se to wo gunaho se bachta ho. Sath hi apni rooh aur soch ko bhi paak saaf rakhta ho.

Note:

Is hadees se hume 2 buniyadi sabak hasil hote hai.

1. Musalman ka iman tab tak mukammal nahi hota jabtak ke uski zuban aur hath se dusre log mehfooz na ho jaye.

2. Muhajir asal wo hai jo apni marzi aur khwahishat ko chhod kar Allah ke bataye raste par mazbuti se chale.

Post a Comment (0)
Previous Post Next Post