Masjid me Nikah
Islam ke mutabik masjid sabse zyada pakiza aur maqbul jagah hai, nikah jaise mukaddas amal ko masjid me karna uski ahmiyat ko badhata hai.
Masjid ki fazilat.
Nabi ï·º ne farmaya: Allah ke nazdik dunia ki sabse zyada mukaddas aur makbul jagah masjid hai.
Sahih Muslim 671
Ye hadees ye sabit karti hai Allah ko masjid is liye pasand hai kyu ke wahan sirf ibadat hoti hai, kitna bhi gunahgar insan ho masjid me jakar har gunah se khud ko bachane ki puri koshish karta hai. Aur log gunah se bach jate hai.
Nikah Ka Ailan.
Nabi ï·º ne farmaya: nikah ka Ailan karo aur nikah masjid me karo.
Tirmizi 1089
Quran me Allah ï·» ne farmaya: nabi ï·º Apni marzi se kuch nahi kehte, wo to sirf wahi kehte hai jo Allah chahta hai.
Surah najam ayat 3.4
Is hadees aur quran ki ayato se ye baat sabit hoti hai ke nabi ï·º ka Farman Allah ki marzi hoti hai, yani Allah jo chahta hai nabi ï·º se kehalwata hai, is buniyad par Nabi ï·º ke farman par Amal karna har musalman ke liye bohot zyada zaruri hai.
Masjid me Nikah ke Fayde.
Masjid me nikah karne se fizul kharch, aur biddati fizul rasmo se bacha ja sakta hai.
Nabi ï·º ne farmaya: sabse zyada barkat wala nikah wo hai jisme kharch kam ho.
BAYHAQI- 6566
Masjid me nikah karne se Be-Hayai aur be-pardagi se bhi bacha ja sakta hai, jo Nikah ghar ya shadi hall me hote hai wahan aurte sabse pehle apna parda utar deti hai. Meckup ko Zahir kiya jata hai. In tamam gunaho se bacha ja sakta hai.
Note:
Nikah ko mehnga aur rasmi banane ke bajaye masjid me sadgi ke sath anjam dena chahiye,
Nabi ï·º ke farman ke mutabik nikah ka Ailan karna chahiye take log isse ba-khabar ho jaye,
Nikah ke mouke par khutba, quran ki tilawat, dua, honi chahiye take nikah aur zyada barkat wala ho.
Masjid me nikah karne se fizul kharch aur rasmo se bach kar Deen ke usoolo par amal kiya ja sakta hai,
Allah Ta’ala humein deen ke mutabiq nikah karne aur uske ahkam par amal karne ki taufeeq de. Ameen.