Nabi ï·º ne farmaya: islaam ki buniyad panch (5) chizo par rakhi gai hai.
1. Gawahi dena ke Allah ï·» ke siwa koi mabood nahi, aur mohammad ï·º Allah ï·» ke sache rasool hai.
2. Namaz Qayam karna.
3. Zakaat dena.
4. Hajj karna.
5. Ramzaan ke roze rakhna.
Sahih Bukhari hadees no 8
Is hadees ke andar 5 buniyad batai gai hai, hun Pancho ko ek ek karke samajhne ki koshish karte hai.
1. Gawahi dena.
Islaam ka sabse pehla aur sabse aham rukan hai ke Allah ki tauheed ka iqraar kiya jaye, aur nabi ï·º ki risalat par imaan laya jaye, ke nabi ï·º Allah ke sache paigambar hai, iska matlab ye hai ke sirf khaalis Allah ï·» hi ibadat ke layak hai, aur hamari zindagi ka har Amal Allah ï·» ki Raza hasil karne ke liye hona chahiye, aur nabi ï·º ko Allah ï·» ka sacha rasool Maan kar Hume nabi ï·º ke tarike aur unki sunnato par mazbooti ke sath Amal karna chahiye.
2. Namaz Qayam karna.
Hadees me namaz ko islaam ka dusra rukan karar diya gaya hai, jo har roz Allah ï·» ki ibadat aur Allah ke sath bando ka connection banaye rakhne ka zariya bhi hai, iska maksad sirf jismani ibadat nahi, balke insan ke dil ko bhi Allah ki taraf mayal karna hai,
Yani jab namaz padhi jaye to jism ke sath insan ka dil bhi Allah ki taraf mutawajje ho.
3. Zakaat dena.
Zaak insan ke kamaye hue maal ko paak kar deti hai, iska ye bilkul matlab nahi hai ke haram ki kamai me se zakaat Ada kardi jaye to maal paak ho jayga. Nahi. Balke halal kamai me se zakaat Ada ki jaye To Allah ï·» us Halal kamai me barkat kar dega.
Zakaat garibo ki madad karne ka bhi ek zariya hai, iska maqsad ye hai ke insano me jo log gareeb hai unko upar la kar apne barabar khada kiya jaye. Kyu ke Islam equality par zor deta hai. Aur jo zakaat dete hai wo Allah ï·» ke kareeb hote hai, aur dunia ke fitno se mehfooz hote hai.
4. Hajj karna.
Hajj karna har us musalman par wahi hai jo itni takat rakhta hai ke wo hajj kar sakta hai. Iska maqsad Allah ï·» ki ibadat ke liye Maal, jism aur apne waqt ko kharch karna hai,
Hajj insano ki barabari aur unity ki misaal pesh karta hai, jahan saari dunia se log sirf ek hi maqsad ke liye jate hai aur sabka ek hi libaas hota hai. Wahan kon kis duniavi muqaam par hai aur kon gareeb is cheez ko Allah ï·» ne wahan khatam kar diya.
Jaisa ke humne upar bataya ke Islaam equality ko pasand karta hai aur isi par zorr deta hai.
5. Ramzan ke roze.
Roza insan ke sabr , taqwa aur khud par kaabu ka ek imtihaan hai, Roza insan ke dil aur jism ko sukoon deta hai, Aur taqwe ko mazboot karta hai, aur bande ko Allah ï·» ke kareeb le jata hai.
Ye 5 rukan islaam ki buniyad hai, inke Bina insan ka imaan adhura hai.
Islaam sirf Aqide ka mazhab nahi hai, balke ye Amal par zyada zor deta hai, kalma shart hai, lekin iske sath namaz, roza, hajj, zakaat ye Islam me farz ibadat hai.
Ye Pancho rukan insan ki zindagi ke har pehli ko samete hue hai. Zakaat garibon ki madad karti hai aur maal me barkat ka zariya banti hai.
Aur roza insan ke nafsiyati taqwe ko mazboot karta hai.
Note:
Har insan ko apna aqida mazboot karna chahiye in 5 rukan par, Allah ke siwa kisi ki ibadat nahi karni chahiye, aur Allah ke nabi ï·º ki ittiba khuloos ke sath karni chahiye, zakaat zarur Ada karni chahiye, kyu ke zakaat Dene ke kabil Aap ko Allah ne isi liye banaya hota hai ke aap ke zariye Allah mohatajo aur mazlumo ki madad kare.