Nabi ï·º ne farmaya:
Islam ki buniyad 5 chizon par kayam ki gai hai, awwal gawahi dena ke Allah ke siwa koi mabud nahi, aur beshak hazrat Mohammad ï·º Allah ke sache rasool hai, aur namaz kayam karna, aur zakat Ada karna, aur Hajj karna, aur Ramzan ke roze rakhna.
Sahih Bukhari hadees no 8
Islam ki 5 buniyad.
Ye Pancho rukan wo hai Jin par har musalman ka iman tika hota hai.
Chaliye isko quran aur hadees ki roshni me samajhte hai.
1. La ilaha illallah, Muhammadur Rasoolullah.
Ye kalma e shahadat hai,
Allah ne farmaya: Allah ke siwa koi mabood nahi, wahi zinda hai aur sabko thaamne wala hai.
Surah Al-Baqarah 255
Ye ayat La ilaha illallah, ki dalil hai, ke Allah ke siwa koi mabood nahi hai.
Dusri jagah Allah ne farmaya: humne nabi Rï·º ko tamam jahano ke liye rehmat bana kar bheja hai.
Surah Al-anbiya 107
Aur ek hadees me nabi ï·º ne farmaya: logo ko is baat ki dawat di ke wo Allah ï·» ki wahdaniyat ko Mane, aur ye shahadat den, ke muhammad ï·º Allah ke rasool hai.
Sahih Bukhari 1395
Ye dalile is baat ki gawahi deti hai. Ke ye Kalma e shahadat Deen ki buniyad hai, aur iman ka darwaza isi kalme ke iqrar se khulta hai.
2. Namaz kayam karna.
Quran me Allah ne farmaya: namaz momino par mukarrar waqt pe farz ki gai hai.
Surah an-nisa 103
Dusri jagah Allah ne farmaya: namaz ka maksad Allah ki yaad ko kayam karna hai.
Surah taha 14
Aur nabi ï·º ne farmaya: namaz Deen ka sutoon hai.
Mustadrak Al-hakim 2408
In dalilo se ye pata chalta hai ke namaz hamesha uske mukarrar waqt par padni chahiye,
Aur namaz Allah ke sath har roz apne talluk ko jodne aur mazboot karne ka tarika hai.
3. Zakat dena.
Allah ï·» ne zakat ka zikr quran me namaz ke sath bar bar Kiya hai.
Allah ne farmaya: namaz kayam karo aur zakat do.
Surah Al-Baqarah 43
Dusri jagah Allah ne farmaya: zakaat Ada karne se maal paak hota hai, aur roohani tarakki hoti hai
Surah tawbah 103
Hadees me nabi ï·º ne farmaya: zakaat Islam ka sutoon hai.
Ye hadees hum likh chuke hai. Aap isi par touch karke isko details ke sath padh aur samajh sakte hai.
In dalilo se ye pata chalta hai ke zakat dena bhi utna zyada zaruri hai jitna ke namaz padhna. Allah ï·» ne namaz ke sath aksar zakat ka hukm diya hai. Aur ye bhi pata chalta hai ke zakat sirf maal ko hi paak nahi karta bake garibo ki madad ka sabab bhi hai. Jo muashre me insaf ko kayam rakhta hai.
4. Hajj karna.
Quran me Allah ï·» ne farmaya: logo ko hajj karne ki dawat do wo paidal aur sawar ho kar hajj karenge.
Surah hajj 27
Dusri jagah Allah ne farmaya: jo istitaat rakhta hai us par Allah ke liye Hajj karna farz hai.
Surah al-imran 97
Ek hadees me nabi ï·º ne farmaya: jis shaks ne Haji kiya aur gunaho se bacha Raha, to wo aisa wapas lota jaise Aaj hi Paida hua ho.
Sahih Bukhari 1521
In dalilo se ye pata chalta hai, ke hajj har us insan pe farz hai, jiske paas itna maal hai ke wo hajj kar sakta hai. To usko Allah ke liye us maal se Hajj karna chahiye. Jiske paas itna maal nahi hai ke wo hajj na kar sake, to jab Uske paas Allah ke fazl se maal ho jaye to us par bhi hajj farz ho jata hai. Aur bhi pata chalta hai ke agar hajj karne ke baad insan ne gunah na kiye to wo gunaho se is kadar paak ho jata hai jitna ke paida hua bacha.
5. Ramzan ke roze.
Allah ne farmaya: roze tum par farz kiye gaye hai, take tum Allah ka taqwa ikhtiyar karo.
Surah Al-Baqarah 183
Dusri jagah Allah ne farmaya: ramzan ka mahina wo mahina hai jisme quran ko Allah ne nazil Kiya.
Surah Al-Baqarah 185
Ek hadees me nabi ï·º ne farmaya: jisne imaan aur sawab ki niyat se ramzan ke roze rakhe, uske pichle gunah maaf kar dijiye jate hai.
Sahih Bukhari 1901
In dalilo se ye pata chalta hai ke roze Allah ne farz kiye hai, aur roze rakhne se taqwa hasil hota hai. Aur ramzan wo Barkat ka mahina hai jisme Allah ne quran ko nazil Kiya hai. Is mahine me Allah musalmano ko aise moke deta hai ke wo apne gunaho ko maaf karwa ke aur magfirat talab kare.
Note:
Ye hadees musalmano ko Allah ke Deen par mazbuti se amal karne ki talim deti hai.